Skip to main content

Akhri manzil........

Ajj janay kesay afratafri ka sa aalam tha...meray veran sehan main dor dor tak ser he ser nazar arahay thay...aik azdaham sa tha logon ka kuch janay pehchanay aur kuch anjan....phir kuch aurton nay mujhay gusal dia aur safaid naya buraq jora zaib tan ker dia...main jaisay khud ko bohat halka sa feel ker rahi thi..lakh bolnay ki koshish kerti per muh say kuch ada he nahi ho paraha tha...sunta sub tha...koi meri badgoi ker rha tha tou koi tareef...aik alag sa he sama tha....main bas aik taraf aik naye bed numa bister per ankhain monday leti thi....phir janay kia howa her taraf shor sa mach gaya...samajh main kuch aisay he araha tha...log keh rahay thay k ab is k janay ka time agaya hay...isko rukhsat karo....phir dekhte he dekhte mujhay doli numa cheiz per char kandon par char logon nay utha lia....main hairan thi...ye kia ajab manzar hay....kia kahani hay....phir wo mujhay le k chaltay rahay chaltay rahay....aur akhir mujhay le ker Shehr e khamoshan pohanch gaye...tab ja k meri samajh main aye k main ajj maar gai hon...roohani moat tou bohat pehlay he hogai thi meri...per ajj jism ko bhi is duniya say rehai mil gai hay..tab main nay jana k ajj meri itni pazeerai kyoon ho rahi thi..mujhko pairon talay rondnay walay log mujhay apnay kandon per utha k laye thay...jo muh mor k guzar jatay thay unhon nay mujhay kafan pehnaye thay....kitni izzat ki hamil ho gai thi main achanak he...
Ajab sa he saroor mehsoos horaha tha mujhay is pazeerai per...room room khushi say jaisay raqs ker raha tha....dil main aik tamana si jagi.k main pehlay kyoon na mar gaye k itni pazeerai ki haqdar bohat pehlay he ho jati........hairan kyoon ho rahay hain app...kia murda log tamanaon say aari hotay hain ... nahi na...wo tou un tamanaon k saath dafan hotay hain jo unki pori nahi hoti...

Haan ajj main mari nahi hon....Ajj shayad main jee gai hon...Ajj mere murda wajood main jeenay ki kasak karwat le rahi hay....per ab kuch nahi ho sakta...k.....bohat dair ho chuki hay....bohat he ziada dair.....


Fehmida Chaudhary
13th July 2013

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.