Skip to main content

Posts

Showing posts from May, 2015

Aik dam khali DIL........

Kuch dil bohat khas hotay hain aur is dil k malik bohat khas ul khas....Amoman pagal dekhne wale ye log bohat diyalo hotay hain...in k dilon main mohabat ka jazba laba lab bhara howa hota hay... aur wo her khas o aam ko faizyab kertay phirtay hain...gairon per bhi aur apno per bhi.... Aur kuch logon main khudgurzi kot kot k bhari hoti hay...wo behiss hotay hain aur inhain apnay ilawa koi aur nazar he nahi ata...wo nafrat bantay phirtay hain...jesay in k ilawa duniya main her shaks haqeer hay aur tehkeer ka mustahiq bhi..... Mohabat lutanay walay log zindagi k aik mor per aker apnay ap ko badal daltay hain kyoon k wo her shaks ki asliat aur khudgarzi ko pehchan laitay hain aur un k liye ye he wo muqam hota hay jab wo apnay dil ko pather ker laitay hain..aur is pather dil ki charon atraaf ik faseel tameer ker laitay hain keh bahir ka koi shaks dil tak rasaai hasil na ker lay...kyoon k wo thak chukay hotay hain ....dhoka khanay se...perkhay janay say...azmaiye janey se....thukraiey ja

Umeed ka Jugnu.....

bohat mayoos lamhon main wo Jo teray Nam ka in umeed ka jugnu meri muthi main bund tha....aur....jaisay main dukh k , aazar k lamhaat main Tanha haalat se large howe kabhi kabhar muthi khol k is jugnu se roshni paati thi aur kul jahan se nibatne ka hosla bhi....aur wo roshni mere man angan main Charon janib chiragan kr jati thi... Us umeed k jugnu ko Maine rondh dala hy.... Wo umeed ka jugnu.... Jo mera wahid Sahara tha... Jo mera wahid pyara tha... Jo meri zindagi ki Bahaar tha... Phool tha... Aftaab tha... Jo kul asasaa e jaan tha... "HAY" se "THA" tak ka saffar itna mukhtasir bhi nahi k bhula don't sab kuch.... Written by Fehmida Chaudhary 15th May 2015

Kahan gai.....?

Abhi kuch din pehle tou yahan thi..Her waqt sajji sanwrey rehti thi...din ho k raat ho...khizaan ho k baahaar ho....akaili hun k dojja koi sath ho...khush hon k udas hun ....mjhay chori he Nhi thi kabhi....sath sath rehti thi....janay Ruth gai hy shayad...aur Ruthi bhi Aisi hy k wapis anay ka Nam he Nhi leti...wapis aye tou pochon us say "kahan gai thi ae meri Muskurahat.... Written by Fehmida Chaudhary 15th May 2015

Bohat udas hon main...

Zindagi say lartay lartay bohat thak gai hon main....ajj bohat udas hon main....dil kerta hay kisi aisi jaga chali jaon jahan se koi mujhay aur main kisi ko na dekh sakon...main sakoon se rona chahte hon..rote rote kisi achi yaad ko yaad ker k hasna chahti hon...ye meri bachpan se adat hay k rote rote hans perna aur hanste hanste ro perna...aur kabhi kabhi hanste he jaana aur phir betaa'haasha rote he jana...mujhay khud apni ajj tak samajh nahi ai hay...kabhi kabhi aisa bhi hota hay k hum khushq ankhon se bhi rotay hain...wo ansoo ankh se behnay ki bajaye ander he ander hamaray dil pe girtay hain...ye ankhon ka pani jab mustakil dil per girnay lag jaye to dil ko narm kernay k bajaye dil ko is qadr sakht ker daita hay k wo ansoo us pather jese dil main jazb to ho jatay hain magar us main koi narmi paida nahi hoti.. Mera dil bhi pather hay....is main jazb hain zabt k darya bohat.... Fehmida Chaudhary 9th May 2015

Apna pan....

Kon kehta hay yahan is duniya main zindagi apnon se hay...kon kehta hay k apna marta bhi hay to chaon main dalta hay ....apna is qabil chorta he kahan hay k ap dhoop chaon main farq mehsoos ker sakain...ye apnay hain to aag lag jaye aisay apnon ko...ye apnay hain to in se gair achay...kisi aik waqt to wo apna sahi chehra ya sahi roop dekha detay hain na...per ye apnay ye khoon k rishtay ye to chehray pe chehra  cher'ha k milte hain...kahan jaye insan...kis say faryad kry...kis k agay duhai day... Yahan koi kisi ka nahi hay....sirf kagaz k note he maa baap....behen bhai... dost hain.... yahan ab Allah ki ibadat bhi kon kerta hay...ab kagaz k noton ki parustish hay aur bus....itnay munafiq k bat kernay ko dil na karay...itnay faraibi k muh se bad dua niklay in k liye... apna ghum subse bhari lagta hay aur jo apni zaat se dosron ko deta hay insan wo ghum kia howa.... kahan hay amaan...kahan hay saibaan...kahan hay apna ...aur kahan hay apna pan.....is duniya main....??? ab sirf

Gunnahgaar...

Jab insaan mayoosiyon k athaa samander main doob jaye to usay koi bhi khushi ki ramak us andhairay say nahi nikal sakti....Kyoon k umeed k dhagay kachay he is qadr ho chukay hotay hain k khushi ki kashti ko khainch he nahi pate aur phir wo humse dor bht dor hoti jati hay... Apni zaat k mehvar k gird ghoomnay walay log duniya k tamam ranj o aalum say bachay rehtay hain kyoon k unko apni zaat main gum rehnay ki adat he is qadr ho chuki hoti hay k duniya me kia horaha hay iski parwa he nahi rehti.... Main jab tak apni dost thi ..apni raaz daan thi...tab tak totnay say mehfooz thi...jahan mere dost bante gaye  wahan kirchiyan hoti gain meri zaat ki...Main raang o boo ko apni muthi main qaid kerna chahti thi...per mere wajood k to sb rang he ur gaye...main nay samander kinaray rait ko muthi main band ker k khud ko bohat mazboot bohat taqatwar samjha magr jab muthi kholi to rait phisl k hatheli ko viraan ker gai...Maine jab kisi ko apna samjha wohi shaks meri zaat ko fana ker gaya...meri