Skip to main content

Aik dam khali DIL........

Kuch dil bohat khas hotay hain aur is dil k malik bohat khas ul khas....Amoman pagal dekhne wale ye log bohat diyalo hotay hain...in k dilon main mohabat ka jazba laba lab bhara howa hota hay... aur wo her khas o aam ko faizyab kertay phirtay hain...gairon per bhi aur apno per bhi....

Aur kuch logon main khudgurzi kot kot k bhari hoti hay...wo behiss hotay hain aur inhain apnay ilawa koi aur nazar he nahi ata...wo nafrat bantay phirtay hain...jesay in k ilawa duniya main her shaks haqeer hay aur tehkeer ka mustahiq bhi.....

Mohabat lutanay walay log zindagi k aik mor per aker apnay ap ko badal daltay hain kyoon k wo her shaks ki asliat aur khudgarzi ko pehchan laitay hain aur un k liye ye he wo muqam hota hay jab wo apnay dil ko pather ker laitay hain..aur is pather dil ki charon atraaf ik faseel tameer ker laitay hain keh bahir ka koi shaks dil tak rasaai hasil na ker lay...kyoon k wo thak chukay hotay hain ....dhoka khanay se...perkhay janay say...azmaiye janey se....thukraiey janay se....

Amoman aisay log phir mohabat lafz se bhi dernay lagtay hain....aur phir in k dil jo mohabat kernay walay thay kabhi....wo na dobara mohabat ker patay hain aur na he nafrat ashna ban saktay hain...kyoon kabhi ye dil mohabat ki lae pay dharaktay thay....Nafrat ka jazba aisi dil ki zameen main panap he nahi sakta....Aur phir akhri muqam pay wo hotay hain aur un k khali dil....Na nafrat .....Na mohabat .....
Aik dam khali dil....
Bilkul Khali.....


Written by Fehmida Chaudhary
20th May 2015

Popular posts from this blog

Bolo na....

Akser aisa kyoon hota hy k jin khushyon ki hum tamana krte hain wo milne ka time jab aata hy to tishnigi berhne ki bajaye...hum khud ko mehsoosat se aari mehsos krte hain...Kis qadr pather ho jata hy insan pathron k sheher me reh k...Dekha gaya hy k jo log ajj behiss ya pather hojate hain wo kabhi bht he ziada hassass howa krty thay...apnay se ziada unko dosron ki perwa howa krti thi... Ye duniya aisa kr deti hy aisa kabhi socha bhi na tha...yahan rishte se ziyada paise se pyar kia jata hy....khaloos se ziada , matlab se mila jata hy...sach se ziada, jhoot per aetibaar kia jata hy... Tou kia bura krti thi main k maine in sb se dur rakha tha khud ko...kia bura kia tha k tmne mujhy mere tanhai k taj mehal se la kr is duniya k zandaan me la k khara ker dia...yehi dosti thi, yehi wafa thi, yehi pyar tha tmhara??? Bolo na....??? Fehmida Chaudhary 16 June 2014

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may ...

Bey'niazzi v/s behissi

Kya kaha...??? Main behiss hun??? Tumhain main hiss se aari lagti hun?? Wo jhunjhulaye howe andaz main chir k boli. Pehlay main hansti bolti thi to sb kehtay achi larkiyaan khamosh rehti hain. Maine kaam bolna shuru kerdia balkay youn kaho k ab zarooratun he bolti hun. Her insaan k sochnay ka andaz mukhtalif hota hy. Main kisi b behes main hissa leti to dosry ko b moqa deti bat ka. Apna apna point of view hy keh k bat khatum ker deti. Logon ko lgta main apni chalati. Phir logon k liye mene sun'na shuru ker dia. Apna point of view meray apny pass he store honay laga. Main khamosh reh k kisi ki sun k uska maan to berha sakti hun per jis bat pe dil o demagh raazi na ho. Main haan main haan nhi mila sakti.phir b koi khush na howa. Jo kaam kbhi mene kia he na ho wo b mujh pe daag dia jaye tb bhi chup... kisi ko lagta main taiz hun , kisi ko lagta upper chamber he khali hy...kisi ko janooni lgti tou kisi ko nafsiati. Main chup sunnti hun. Hansti hun khoob hansti hun.  ...