Skip to main content

Gunnahgaar...

Jab insaan mayoosiyon k athaa samander main doob jaye to usay koi bhi khushi ki ramak us andhairay say nahi nikal sakti....Kyoon k umeed k dhagay kachay he is qadr ho chukay hotay hain k khushi ki kashti ko khainch he nahi pate aur phir wo humse dor bht dor hoti jati hay...

Apni zaat k mehvar k gird ghoomnay walay log duniya k tamam ranj o aalum say bachay rehtay hain kyoon k unko apni zaat main gum rehnay ki adat he is qadr ho chuki hoti hay k duniya me kia horaha hay iski parwa he nahi rehti....

Main jab tak apni dost thi ..apni raaz daan thi...tab tak totnay say mehfooz thi...jahan mere dost bante gaye  wahan kirchiyan hoti gain meri zaat ki...Main raang o boo ko apni muthi main qaid kerna chahti thi...per mere wajood k to sb rang he ur gaye...main nay samander kinaray rait ko muthi main band ker k khud ko bohat mazboot bohat taqatwar samjha magr jab muthi kholi to rait phisl k hatheli ko viraan ker gai...Maine jab kisi ko apna samjha wohi shaks meri zaat ko fana ker gaya...meri khush fehmiyan mere wajood ko deemak ki terha kha gain ....

Ab ye deemak zada wajood is duniya se dur ho jana chahta hay...jahan jazbay khokhalay, log khokhalay, aur dil beimaan hain...saadgi wasf nahi gunnah hay aur gunnahgar k liye duniya b jahanum aur akhrat bhi....

Fehmida Chaudhary
4th May 2015

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.