Skip to main content

Rabba'h mere dil da mehrum TU'n...

Haal e dil mehrum e raaz he jaan sakta hy...aur RAB se bara mehrum kon ho sakta hy...so usne apna sub kuch RAB ko he man ker zindagi ki dushwaar kitaab bnd ker k makafaat e amal department me shamil e dafter kerdi RAB k hazoor....aur waiting token le k beth gai result announce hone k intizar me...

Wo kuch bhi nhi bholi thi...yadon k dareechy ab bhi dheehan me waa kiye howe thay...wo pehla khawab jo maa baap k angan main usne dekha uski bunyaad Quran Pak ki wo ayaat thin jis me "Naik aurat k liye naik mard hain"  ki naveed di gai thi....aur phir usne bachpan se jawani tk ka safar isi ko manzil bna k teh kia usne....per is khawab ki kirchiyaan naye safar k pehle din he choor choor ho kr ankhoon me paywust ho gai thin....aur uski ankhoon se behta armano ka khoon koi na daikh paye ki koshish me aadhi se ziada zindagi guzar di usne....jab jabhi sarkush dil ne waawela machaya ,,,, khudko zimaydariyon ko anjam dene me masroof kr k laho lahan dil ko mazed zakhmi hone se bacha lia usne....usne kis hoslay se apne aapko zindagi ki dor me shamil rakha ye to wo janti thi ya uska RAB....

Haan ye baat sach hy k kisi munafiq , faraibi aur jhooty k saath rehne se bari aziat koi nhi...aison k saath se acha Tanha rehna hy..,

Aur phir ander bahir se aik jesi moam c nazuk larki,,,, her faraib per aur her nuqsan per jante bojhty anjaan c ban gai.,, aur her dukh ko apni gaud me samait ker muskurati rahi...aur her dukh uski shafeeq aagosh main panah paa k ltminaan ki neend sota raha....uski be khawab ankhain raat bhar apni raigani k ahsaas se nidhaal rehti aur jug ratay uska muqader bn k reh gaye....

Log uski udas ankhain aur muskurate lab dekh k hazar haa sawal pochty per wo lajawab kerny k fun me taaq ho chuki thi....

Us k jism k khali zandaan me uski khamoshiyaan gonjti aur dil k der o dewar se takra k wapis apni jaga pe ajatin...

Usne to her her moor pe apnay RAB ko pukara usko mehrum e raaz banaya per shayad uski duaon me kgaloos ki kami thi ya phir sajday bekaar thay....

Usne apni raakh hoti jawani ka hisaab bhi na manga RAB se kyoon k wo  to US k dar per sawali ban k gai thi....Wo jisko chahe daan kerta ya dhutkaar deta....USKI raza thi Wo ata kry ya thukra dy....

Aur wo Us k dar se dhutkaar di gai thi....

Uska  kassa khali ka khali raha....

Us k dil ki terha....


Written by FEHMIDA CHAUDHARY
3RD JULY 2015

Comments

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.