Skip to main content

Khud aziati....

Khud aziati bhi aik terha ka ahtasaab department hay... per khud aziat pasand log bohat masoom log hotay hain ....ye jab kisi ka kuch nahi bigar saktay to ye khud ko he saza detay hain... k ye kam duniya ka sub se asan kam hay...apna ap apnay bas main to hay...is k liye hum kisi ko jawabday bhi nahi hotay....Logon ki nazar main shayad ye buzdili ho magar der haqiqat ye duniya  k sub se bahadur log hotay hain to apnay ap ko kasoorwar mantay hain ...Ajj kal k dor main itna bahadur kon hay jo apnay ap ko galat kahay...yahan to log ker k mukar jatay hain...be qasoor ko saza war tehrate hain aur qasoorwar ko be gunnah....ajeeb he nizam hay ye....

Mujhay us k qasoor bhi saray pata thay aur dil saza dene ko kerta tha na he baddua dene ko....Maine khudko aziat dene ka irada kerlia ... Khamoshi ikhtiar ker k ... be zubani ki bhi to aik apni he zuban hoti hay...  aur ye zuban Allah k pass jab jati hay to phir khud he saaray hisab kitab dene par jatay hain... per yahan bhi maine sabr ka daman na chora...Main Rab ki adalat main usay AAM MAUFI de k us k qaher se bacha lia....k usko zarb ati to zakhm mujhay bhi mehmoos hotay....


Aur ye maufi bhi to zarasal aik aziat he thi na....per farq sirf itna tha k ...
ab ki baar ye mera nahi uska muqadar banay gi....


Fehmida Chaudhary
6the January 2016

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.