Skip to main content

Good Luck....

Bohat din se momi meri taraf nahi ai thi main uska pata kernay jab us k ghar gai to uski ami ne darwaza khola aur kaha jao wo apnay kamray main hay...main us k kamray ki taraf chal di...darwaza knock kia to ander se uski naheef si bherai howi awaz ai....kon hay .... andar ajao...

Main kamray main dakhil howi to momi jaaey namaz per bethi thi aur uski rundhi howi awaz ki wajah samajh me aye..uska chehra ansoon se ter tha... maine galay lagate howi kaha...kia howa hay momi jaan...wo hamdardi aur pyar k is izhar pay mazeed buluk buluk ker ronay lagi.... aur jab roo k halki hogai to meri taraf dekh ker goya howi....

Apko pata hay wo shuru se he bohat khudgaraz raha hay... kuch kuch magroor bhi...shayad meri beinteha chahat ki wajah se...wo un logon may se tha jin ko mohabat plate may saji sajai milti hay...aur shayad yehi garoor usko had se ziada LA PARWA aur MAGROOR bananey ka sabab bana bhi tha...

momi istehraiyaa hansi k saath phir bolne lagi...

Apko pata hay bohat arsay tak meri begarz mohabat ki hansi urane k saath saath meri tazleel kernay k bad jab wo mujhay chor gaya to usko youn mehsoos honay laga k meri mojoodgi uski zindagi main khushyaan , asaniyaan laati hain... aur meri gair hazri me uski zindagi main usay nuqsanat se do char hona perta hay... 

Per kia he acha hota wo mujhay apnay qadmon main jaga deta ya apni dastaar ka nagina bana ker sir per saja leta....magar...wo khudgaraz jo tehra.... usne na qadmon me jaga di na sir ankhon pay bethaya....usnay apnay faiday aur nafaay k liye kisi palto janwer ki tarha meray galay may patta dal k mujhay apnay saath ghaseetna shuru kerdia....kyoon k usay lagta tha main uski Good LUCK hon...usko ye good luck bhi chaheye thi aur wo bhi apni sharton per...is saath me mujhay kitni gehri chotain ain us se usay zara baraber bhi farq nahi perta tha....wo shuru se he aisa tha....

Aur ab main is aziat se bhi pyar kerne lagi thi per pata nahi kyoon maine Mairaj k din maine RAB se apnay dil se uski mohabat mitanay ki DUA ker dali...shayad qaboliat ka waqt tha ... wo rafta rafta meray dil ki seriyaan uter raha hay...jesay he wo niklay ga bahar...maine bohat mazboot faseel banani hay apnay gird...jisay ab koi fatah na ker sakay....Mujhay sabar agaya hay...Allah nay mujhay apnay imtehan me surkhuru kerdia hay....main shukranay k nawafil he perh rahi thi jab app mere kamre main aain....


Maine jaldi se apnay ansoo saaf kiye aur ALLAH HAFIZ kehti howi ghar ki taraf chal di...

Written by Fehmida Chaudhary
3rd May 2017 


Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.