Skip to main content

Behissi muqadar hy...

Maine yehi suna tha k jis se mohabat ki jaye us se kabhi nafrat nhi ki ja skti.main b yehi samajhti ai abhi tak. Magar aik muddat bad ye Jana k jisko hum meherban jaan k apni zaat ki tamam tar sachaiyaan sonp detay Hain wohi hmari zaat k parukhchay ura detay Hain. Aur jab hmara yaqeen aetibar aur maan raiza raiza ho jata Hy to hmara ikhtiar hmare apnay oper see bhi khatum ho jata Hy. Hmare zehen o Dil per be'hissi ki aik dabeez teh jam jati Hy. Tamam his'siat ,tamam jazbaat is teh talay dab k munjamid ho jati hay. Munjamid mohabat wahin ki wahin dafan reh jati Hy. Behissi ki teh talay munjamid mohabat kesay nafrat main tabdeel ho sakti Hy aur log kehtay Hain mohabat nafrat main tabdeel nhi ho sakti...
Aisa bilkul ho sakta Hy magar aik feesad chance Hy . wo bhi tab jab ap k totay howay yaqeen ko,majroo aur zakhmi izzat e nafs ko koi maseeha aetibar ki Patti ker day ya misl e marham un ghamon ka madawah ker day. Per jahan masihaa her marz ka ilaj nishtar samhjay wahan zakhm kabhi mundamil nhi hotay.
Totay howey log jazbaat se aari ho kr kisi jazbay ko kabhi nibha he nhi saktay mohabat ho k nafrat.
Mohabat khoon k rishton ki ho k dosti ki, ishq jesi ho k bus mohabat ho. Ye ya to hoti Hy ya phir nhi hoti. Jo log dawaah krty Hain k unki mohabat nafrat main badal gai Hy wo Zara sal apnay apko jhoti tassali aur duniya ko bharam kra rhy hotay Hain k wo us shaks ya rishtay k hisaar se nikal aye Hain jab k haqeeqat yehi Hy k wo bazahir nafrat main lipti mohabat ko zinda rakhne k liye nafrat ka dhong rachatay Hain...

Aur Jo log mohabat see nafrat ka dhong nhi krty wo mohabat ko jhatak k behisi ko muqaddar jaan k agay berh jatay Hain. Phir mohabat lakh un k qadmon main ithlaye, itraye ,manaye ya jaan lutaye unka Dil pather, ankh sakit, hont chup hojatey Hain.

Ye sb unki bachi kuchi izzat e nafs ki baqqah k liye hota Hy. Is baqqah ki hifazat unki Zindagi ka aklota mission hota Hy. Phr ass pass kuch bhi unhain mehsoos he nhi hota..

Written by Fehmida Chaudhary
Date 11th July 2018

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.