Skip to main content

Posts

Showing posts from 2019

Zaat aur fitrat...

Aik kuttay ko agr hum "Tommy" kehte hain to us se uski zaat jins ya fitrat badal to nahi jaati na. Kutta rehta to kutta he hy. Bhonkna uski fitrat hy. Haan usme aik wasf "wafadaari" b hy per ye wafadari b nhi rehti jab wo kutta bawalah ho jaye to malik ko bhi pechanta,,, kat leta hy. Isi terha aik shaks ko agr kisi tawasut se izzat mil jaye kisi k tufail se tou wo neech zaat jiska already hazmaa kharab ho ,,, uska demagh b jaga pe nahi rehta uski auqat se berh ker aap janab ki jaye, gandi naali ka keera saaf jaga dekh k bhokhala jata hy. Zaat kay chota pan ki kaami insaan achy kaam ker k pori ker sakta hy per ye jo fitrat hoti hy iska kuttapan he asal main us insaan ka asal chehra hota hy.  10th sept 2019

Pagal ki diary...

Baaz talluqat, wabasti'gi'yaan bilkul us niwalay ki c hoti hain jo halaq main atak jata hy. Halaq main phansa howa ye niwala na he nigla jata hy na he uglaa jata hy. Aik ungli daal ker is atkay niwalay se cheer char kr k usay uksaya ja sakta hy k ulti ki sorut main bahar tashreef ley ayey. Agaye to meherbani warna aisay niwaley k liye wahid hal yehi bachta hy k galay pe chakoo phair di jaye. Niwalay k bahir aney ka bandobst b uo jayega aur is atkay niwalay se halaq ki gullu khalasi b ho jayegi aur is aziat me mubtila k jaan b khaalas aur tamam durdon se nijaat b. App ko bohat ajeeb sa solution lgyga perh k . Magar ap gaur kijiye is tehreer k unwaaan per jo k "pagal ki diary" hy. Zahir hy pagal ki diary koi pagal ge likh sakta hy normal insaan nhi. Apko pata hy normal insaan sirf apna faida dekhta hy jb k pagal insan ko apne galay ki fikr b hoti hy aur us atkay niwalay ki bhi jo bebas ho k reh jata hy jb nikl nhi pata. Baat to choti c hy per yehi bohat bara farq h

Tun pe qabaey kafan sajane ko dil kry...

Jism pay lage ghaow to aik na aik din bhar he jate Hain per rooh agr chaalni ho Jaye tou insan kahin ka nhi rehta... Main momi,,, Zindagi say, titliyon say, Chand se, pyar Kia krti this aur ab moat say minat simajat krti hun k aaye aur mujhay aker is duniya say aur  yahan k logon se dur lejaye. Sach to ye Hy k mujhay logon k do rukhi chehray see khauf aata Hy...Mera dil her nai subha aik aas k saath jagta hy k shayad koi subha aisi roshni ki kiran b laye k ghum k kalay badal choot jain.Per aisa nhi hota wo roshni ki her kiran ko he nigaal jatey hain. Ab jamood taari hy. Meri ankhain koi b rangeen manzer dekhna he nhi chahti. Meray kaan koi sureela nagma sun'na he nhi chahtey. Kabhi muskuranay aur bolnay k shauqeen hont ab hilney se qasir hain. Khush libasi aik he nuqtay pe aa k teher gai hai aur dil murda aisa k bs "Tun pe qabaey kafan sajaney ko dil karay ...." Written by Fehmida Chaudhary 13 july 2019

Umeed...

Yaqeen janeye jb tk ap k dil angaan main umeed ki koi konpal khili rehti hy tb tk ap apnay aapko zinda rakhney ki her mumkin koshish kerty hain per joun he ye umeed maar jati hy ap b mar jaty hain. Main jab jab kisi dukh pe ro nhi pati tou khilkhila k hans deti hun. Aik behiss insaan k in khokhlay qehqahon main chupi aah o baqa ko koi b nhi sunta. Ik samaih wohi sunta hy jo wo sun'na chahta hy aur ik nazir wohi dekhta hy jo wo dekhna chahta hy. Her insan apne liye insaaf ka tarazoo tolta hy aur dosre ko jurm sabit howe bagair mujrim k kat'hehray main. Jab mazloom ilzam seh k aur dukhi ansoo pee k chup ho jaye to shayad nijat ka waqt qareeb he hota hy. Written by Fehmida Chaudhary 13th july 2019

Nasli zeher...

Ye baat to tehkeek se sabit ho chuki hy k agr kisi shakhs k nutfay main laluch, keena,  bewafai, be murawati, matlab parasti, waqt pe metha bn jana aur matlab nikal jane pe mathay pe ankhain rakh lena jesay "khawaas" hun tou lakh ap us shakhs k jism se qatra qatra khoon nachore lo aur usme "pyar k amrit" ka samander ulat do phir b ap us k "khawaas" main "raati bhar" b tabdeeli nahi la sakty. Ye nasli zeher nasl der nasl muntaqil hota hy aur safr chalta rehta hy gaur e qabr tk. Written by Fehmida Chaudhary 12 june 2019

Lafz sarey kho gaye

Jab ik bolta howa insan chup ho jaye to iska ye matlab nahi k wo kisi se khafa hay...aur jab aik larta howa shaks khush ikhlaq ho jaye to uska ye matlab bhi nahi k wo badal gaya hay...baz dafa aisa bhi hota hay k us chalte phirte shaks ka ANDER mar jata hay...aur shairi to nam he ander k jazbat ka hay...jab ander he nahi rehta to lafz sare kho jate hain...aur khoye howe alfaz ko bahar ane ka raasta pta he kab hota hay...?? Written by Fehmida Chaudhary Very old writeup once i wrote it for my own poetry blog description...

Aasteen k saanp...

Pta hy bara he aziatnaak hota hy un saanp ki c fitrat k logon ko,,,, ye jante howe bhi k un k muh ko hmara khoon laga howa hy,,,,,apni he asteen main palna. Mjhy log samjhatey b hain k aik bar dasne waley phir das sakty hain k jinki fitrat main ho dasna wo dasa krty hain. Per main is aas pe inhain asteen main palti rehti hun k shayad meri shah-raag se qareeb reh ker un k zeher  ki kerwahat mere, khaloos ki chashnee se mar jaye. Written by Fehmida Chaudhary 8th june 2019

Hairat...

Mujhy bohat hairat hoti hy jb main duniya main aise logon ko dekhti hun jo dosron se gin gin k badle lete hain phir b un k wajood ki aag thandi he nahi hoti. Aise log dosron k saath khud kuch b ker lain unhain uska der nahi hota k ayaa wo apne kiye ka anjaam khud b bhugat painge ...? Afsos ki bat to ye hy k unhain apne liye hamaisha maufi he chaheye hoti hy. Dosron k liye tangdilli se sochne wale apne zarf ka piyala chota kyoon rakhte hain...? Written by Fehmida Chaudhary 2nd june 2019

Deemak...

Mera bazahir chalta phirta wajood ander he ander ghulta ja raha hy. Mere rooh ko ghun lg gya hy. Na janay kb ander he ander deemak mere jism ko khokhala ker de aur main teey'wara k zameen'bos ho jaon. Written by Fehmida Chaudhary 2 june 2019

"Dum" ka marz...

Park ki bench pe bethi wo shayad ro rhi thi. Mujhay to aisa he lga. Tissue paper see apne umandte ansoo pochti us larki ko dekh kr maine apna rukh uski bench ki tarf mor lia. wo mujhy apni taraf aata dekh k sambhal k Beth gai. Us k baraber beth k salam kerhty maine muskura k dostana andaz me dekha to wo b muskurane ki nakam koshish krne lgi. Kia aap yahin qareeb main rehti ho? Maine baat berhai . Wo mere sawal  ko yakser nazrandaz kertay howe boli. Ap roz yahan aati hain? Haan mujhay BP cholesterol control me rukhney k like doctor ne baqaidgi see walk kerne ko kaha Hy aur..... Tum,,,, Kya tum bhi Roz aati ho? Maine tafseel see usay jawab detay howe aik aur sawal daagh dia. Nahi main kabhi kabhi aati Hun. Mjhy sakoon milta Hy akaily yahan Beth ker. Apko pata Hy mujhy DUM ka marz Hy. Wo is'ter'rai'yaah andaaz me bejaan hansi hasssti howi boli. Mujhay besakhta hansi aagai us k "DUM k marz" bolne pe. Dum'may ka marz hota Hy DUM ka nahi. Maine uski taseeh krn

Durd e la'dawa

Are meray Rab mjhy apse siwaye moat k kuch nhi chaheye. Meray haq me kabhi kisi ki di gai Dua ko bhi qaboliat ka darja na dain. Kuch aisa kijiye k mere demagh ki shiryanain phat Jain aur in me lawa ban k behti aziat see Meri jaan chot Jaye. Mere seenay main atakti sanson ko rawani Miley , ye Dua bhi nahi Hy Meri. Bus meray Murda wajood main chalti ye garam sans ki dori ko alam' e' nizaah ki hichkiyon main badal dijiye. Meri ankhon main timtimate anson see bujhti umeed ki her kiran ko mere saath he gaur e qabr me madfun ker dijiye. Meri nas nas me sira'iyat is durd e la'dawa ko izn e rukhsat ki Naveed suna di Jaye. Zindagi k is zindaan see rihaai chahti hun mere Malik... Karam ki nazr kr wida krdy. Ameen

Kafnaey howay rung...

Bohat ajeeb baat hy k jab jab hum zindagi jeena chahte hain tab tab her masla moat ki dehleez tak pohancha k aata hy... Aur jab jab hum moat ki aarzo kerty hain tab tab ye zindagi bari purjoshi se haath waaa ker k seenay se lgne ko machalti hy. Pata hy jin ankhon se zindagi raang noch k le jati hy na wo jate jate un ankhon ko safeed kafan cherha k jati hy.. aur phir kabhi kabhar ye zindagi us kafan ko uth k ye jaiza lene b aati hy k kahin ye kafnai howi ankhain phir rung sajane ki tyari me to nahi. Aur phr mut'main ho ker wapis kafan daal jati hy. Rangon se uktai howi ankhain kab khawab dekhti hain? Jo ik dafa kafan orh le wo jagta kb hy.? Written by Fehmida Chaudhary As on 10 april 2019

Akhri wasihaat

Momi ki diary ajj phir meray hath lagi thi. "Akhri wasihat" k unwan se aik tehreer meray samnay thi. Main momi apni Zindagi itni jee chuki thi k meray is gosht posth k wajood me ik ik raishaay see Zindagi nachore nachore k mene jee thi. Koi sochay to shayad ye samajh paye k Maine akhri had tak mertay wajood see Zindagi ka urk kasheed Kia tha. Per koi sochay ya samjhayga he kyoon? Mujhay hargiz ye khawahish nahi k Meri moat pe aik jum e gafeer ho. Mujhy ye b manzoor Hy k ik lawaris lassh ki terha dafnai jaon. Per mujhay hergiz ye gawara nhi k Meri zaat k munkir ya mujhay arzaan samajhne walay meray janazy me shareeq Hun. Mujhy ye b manzoor Hy k Meri qabr ko benaam o nishaan rehne dia Jaye. Per ye gawara nahi k qutbay pe Mera naam meray maray wajood ki nishani k Tor per reh Jaye. Main chahti Hun Mera nam b meray saath he dafan hojaye. Ye to bakht tha na Mera... Ye bara he bd'bukht tha... na isne chain se jeenay dia na marnay dia. Kasoor iska sahi per baykasoor to wo bhi

Asr...

Yaqeen janiye kisi b zakhm ka durd, ya kisi jalay ki jalan to kuch muddat may khatum hojati hy. Per wo durd, wo takleef jo apki takleef pe ,kisi apnay ki ankhon me behissi aur honton pe istaraahiya hansi dekh k durd deti hy, uska koi ilaj hy na he mada'wah . Zakhm bhar jata hy. Durd khatum ho jata hy. Per wo wo na'kadri ka ahsas goya jism o jaan aur rooh ko jala k khakster ker daita hy. Bhooli bisri yadon k atishdaan me dehekti hoi koi chingari phir bujhi aag ko shay deti aur aag phr bharak jati . Sir ta paon jalti ye aag mukamal tb hi bujhti hy jab saansain rukti hain. Jalty howe lash'aay raakh hojaty hain aur phr supurd e khaak bhi. Per jane dhuwaan kyoon uth'ta hy abhi bhi in mitti ki dhairiyon se. Qarar jalay howon ko kyoon nhi àta.... Written by Fehmida Chaudhary as on 19 march 2019

Pagàl...

Pagal log bohat he pagal hotay hain kyoon k wo munafiq nhi hoty. Kisi k liye sazishon k jaal nhi buntay. Kisi ka dil nahi tortay. Kisi ki tamanaon ka khoon nahi kerty. Na he kisi k chehray se khushi k rang nochtay hain . Na he kisi k honton se muskuraat cheen'ty hain. Pagal log kabhi bhi kisi ko us aziat se nahi guzarty, jis se wo khud guzry hon. Unko apse he fursat nahi milti k wo kisi aur ko aziat denay k nit naye tareeqay sochain. Bazahir normal nazr any walay log he asal me sbse bary pagal hoty hain. Rayaa'kaari, mak'kaari, chaal'baazi aur shatiraana hut'kundon main masroof ho k wo ye bhool jatay hain k fanà hona he muqader hy. Makafat e amal dair se sahi per atul hy. Dair sawair ho sakti hy per ye b moat ki terha apni shikaar ja pakarta hy. Yahan tk k phr anjaam tk pohancha k he ata hy. Pagalpan aur samajhdaari me farq amal se ziada niat ka hota hy. Niat k burey amal k achy kese ho sakty hain. Parkh ki kasooti pe wohi porey utartey hain jo niat shafaf rakhai

Farq...

Dafnaye howay aur aik baar azmaye howay log meri nazar main aik jesa he muqam rakhty hain. Siwaye aik farq k keh dafnaye howay log mano'n mitti tallay dafnaye jatey hain aur azmaye howay dil k qabristaan main. ********** Baaz dafa aisa b hota hy k kuch log zinda rehte howay bhi mar jatay hain. Farq sirf yehi hota hy keh unko chaar kandh'on pe nahi uthaya jata. Balkay, wo apnay murda wajood ko , apnày kandh'ay pe uthaye phirty hain. *********** Written by Fehmida Chaudhary 15 th February 2019

Akhri dhokà...

Koi ilaj ho is rad e Bala ka... Mere pechay Zindagi perh gai Hy... Suna Hy duaon see takdeerain  badalti Hain tou Kia moat Zindagi k faisley nahi badalte hongay? Duniya main agr koi moat Zindagi ki kash'makash main mubtilaah shakhs jiski Zindagi kisi k liye but zaroori ho. Uski jaan ka sadqa bargaah e ilaahi main qabool ho ker usay Zindagi se nawaza Jaye aur Meri Zindagi usay daan kerdi Jaye. Mere Dil ne Jahan aetibaar, yaqeen k naam per mjhy itne dhokay diye. Is baar ye Dil akhri dhokha de aur dharakna chor de. Moat o Zindagi k in lamhaat me mere haq me ki gai koi b Dua qabooliat k darjay ko na pohanchy. Mere Dil ka ye akhri dhokha mere Dil ki akhri khawahish  Hy. Written by Fehmida Chaudhary as on 6th Jan 2019