Are meray Rab mjhy apse siwaye moat k kuch nhi chaheye. Meray haq me kabhi kisi ki di gai Dua ko bhi qaboliat ka darja na dain. Kuch aisa kijiye k mere demagh ki shiryanain phat Jain aur in me lawa ban k behti aziat see Meri jaan chot Jaye. Mere seenay main atakti sanson ko rawani Miley , ye Dua bhi nahi Hy Meri. Bus meray Murda wajood main chalti ye garam sans ki dori ko alam' e' nizaah ki hichkiyon main badal dijiye. Meri ankhon main timtimate anson see bujhti umeed ki her kiran ko mere saath he gaur e qabr me madfun ker dijiye. Meri nas nas me sira'iyat is durd e la'dawa ko izn e rukhsat ki Naveed suna di Jaye. Zindagi k is zindaan see rihaai chahti hun mere Malik... Karam ki nazr kr wida krdy.
Ameen
Akser aisa kyoon hota hy k jin khushyon ki hum tamana krte hain wo milne ka time jab aata hy to tishnigi berhne ki bajaye...hum khud ko mehsoosat se aari mehsos krte hain...Kis qadr pather ho jata hy insan pathron k sheher me reh k...Dekha gaya hy k jo log ajj behiss ya pather hojate hain wo kabhi bht he ziada hassass howa krty thay...apnay se ziada unko dosron ki perwa howa krti thi... Ye duniya aisa kr deti hy aisa kabhi socha bhi na tha...yahan rishte se ziyada paise se pyar kia jata hy....khaloos se ziada , matlab se mila jata hy...sach se ziada, jhoot per aetibaar kia jata hy... Tou kia bura krti thi main k maine in sb se dur rakha tha khud ko...kia bura kia tha k tmne mujhy mere tanhai k taj mehal se la kr is duniya k zandaan me la k khara ker dia...yehi dosti thi, yehi wafa thi, yehi pyar tha tmhara??? Bolo na....??? Fehmida Chaudhary 16 June 2014