Skip to main content

"Dum" ka marz...

Park ki bench pe bethi wo shayad ro rhi thi. Mujhay to aisa he lga. Tissue paper see apne umandte ansoo pochti us larki ko dekh kr maine apna rukh uski bench ki tarf mor lia. wo mujhy apni taraf aata dekh k sambhal k Beth gai. Us k baraber beth k salam kerhty maine muskura k dostana andaz me dekha to wo b muskurane ki nakam koshish krne lgi. Kia aap yahin qareeb main rehti ho? Maine baat berhai . Wo mere sawal  ko yakser nazrandaz kertay howe boli. Ap roz yahan aati hain? Haan mujhay BP cholesterol control me rukhney k like doctor ne baqaidgi see walk kerne ko kaha Hy aur..... Tum,,,, Kya tum bhi Roz aati ho? Maine tafseel see usay jawab detay howe aik aur sawal daagh dia.
Nahi main kabhi kabhi aati Hun. Mjhy sakoon milta Hy akaily yahan Beth ker. Apko pata Hy mujhy DUM ka marz Hy. Wo is'ter'rai'yaah andaaz me bejaan hansi hasssti howi boli.
Mujhay besakhta hansi aagai us k "DUM k marz" bolne pe. Dum'may ka marz hota Hy DUM ka nahi. Maine uski taseeh krne ki koshish ki. 
Nahi nahi mujhy Dum'may ka marz nhi ,,,, DUM ka he marz Hy. Dono main zameen asman ka farq Hy.
Wo bare aetimaad k saath boli thi.
Achaww... Tou agr bura na mano to mjhy farq samjha do. Maine hairat aur tajas'sus k see andaaz me us se aik aur farmaish ki.
Wo goyaaah howi.
Dum'may k marz me apko sans nhi aati. Apka dum ghut'ta hy. Ap inhailer see apna rukta sans bahal kerte ho.
DUM k marz main is k bilkul ulat hota hy . Dum seene main atak jata hy na niklta hy na teherta hy. Dil ki dharkan kbhi bohat taiz to kabhi bohat halki hojati hy per mushkil ye k rukta nahi. Is marz ki shiddat us waqt urooj per hoti hy jab ye banjer ankhain un logon ki ankhon main be'aetinai, rawaiyon main hee'tak, hmare wajood ki yakser faramoshi dekhti Hain, Jin per apne apni aik aik khawahish, aik aik khawab, apni Ana ki qurbani, yahan tak k apna hona faramosh kia hota Hy...
Shayad dosron k liye apne appko faramosh kerne ki saaza yehi Hy k Wohi hamain faramosh ker dain.
Ye DUM ka marz nizaah k aalam Jesa Hy hoo baahu.  Dum niklay to sakoon milay. Dum atakna moat Zindagi k darmiyaan Jesa Hy . Zindagi ki kashti ya to aar lagay ya paar lagay. Per Dum ka marz kabhi kisi ko na lagay.
Main uski batain sun kr
Sochne lagi shayad hum sub he apni apni jaga dum k marz me mubtila Hain.
Main bench se uth k park k khaariji darwaze ki taraf chal pari.
Written by Fehmida Chaudhary as on 7th May 2019

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.