Skip to main content

Kuch achi batain...

Ibadatguzar banday ka ibadat kernay pe takabur kerna bilkul aisa hy jesay kisi chez ko deemak ander he ander khaa jaye aur akhir may wo cheiz tewara k zameen bose hojaye.

Sari umr apni ibadaton k khumaar main rehnay walay jab Allah ki baargaah main hazir hotay hain tou un ki peeshani ka teeka ya hajj umron ki tadaad,  rozay ki qaboliat ya tadad ka hisaab nahi hota.

Gaur kijiyega. Taadad maani nhi rakhi. Niyat ka ajer dia jayega.

Mene ye observe kia hy k hmare yahan namaz, roza,hajj kerne walay ya kuch hifz kernay walay khud he khudko "Naik" samajh k jannat k haqdar samajh letay hain. Aur bajaye is k keh wo log ajzi ikhtiar krain aur ikhlaq ki passdari kertay howay deen ki mohabat logon k dilon main paida krain. Wo apnay app ko aala tareen musalman samajh ker dosron ki tazleel kerna shuru kr detay hain. Kufr k bad sakht tareen gunnah kisi musalman ki beizzati kerna hy. 

Meri ammi nay hmari jin khatoot pe tarbiat ki hy un main namaz rozay k ilawa b beshumar cheizain hain jin k hum Allah ko jawabdar hain. Maslan...

Kabhi kisi ka nam na bigaro ya uski zahiri shaksiat ki kisi kami ko le kar uska mazak urao ya galat nam se pukaro.

Jab kisi ka koi aeb pta chal jaye to usko dhanpoo. Allah us k badlay may tumhare aeb dhanpay ga.

Hamaisha sach bolo. Mazak main b jhoot na bolo. Jhoot ki gunjaish is sorat may hay k agr kahin nafrat prne ka imkan hy tou jhoot ka sahara lene main burai nahi . Maslan do logon main larai hy aur dono main nafrat b tou hum dosti krwane k liye ye keh dain alag alag dono ko k arey wo to tumhari bht khobiyan bayan krta hy.

Do logon ki sulah kerwane wala jannat me mehel bna leta hy.

Kisi ka aetimad kabhi na toro. Jo usne ap pe kia ho.

Jo wada kro wo pora kro.

Kisi ko jhooti umeed mat do. Bat wohi kro jo nibha sako.

Amanat me khayanat na kro. Amanat ki aik he qism nhi hoti k kuch rakhwa dia jaye aur wapis kr dia jaye mangne per. Iski iqsaam hain bohat . Jiski misaal ye b hy k Meri ami agr mohalay se koi cheiz pak k aati thi to wo plate khali nhi deti thin. Aur aglay din jab tak parosiyon ki plate ko istamal b na kernay deti k ye amanat hy hmare pass unse pochay bagair isko use krna b gunnah hy.
Ye 
Kisi ka raaz b hmaray pass amanat he hota hy. Jis main khayanat ka b gunnah hy.

Tasdeeq k bagair koi baat kerna jhooti afwa phelana bhi gunnah hy.

Batain to hazaar hain kyoon k maa hmaisha he beti ko kuch na kuch nasihaat krti rehti hain.

In baton ko share kernay ka maqsad ye b hy k in sub pe amal krna bhi utna he zaroori hy jitna farzi ibadaat zarori hy.

Written by Fehmida Chaudhary
3rd july 2020
I wish meri ye tamam batain agr Allah ko achi lg jain to unhain meray waldain aur bhai ki maghfiraat ki dua samajh k un k aala darjaat krdain aur unko pasandeeda bandon main shumar kerlain ameen sum ameen.

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.