Skip to main content

Raziq kon hay ? ALLAH ya dunyawi na Khuda.....?

Main nay hamaisha say kitabon main perha k rizq Allah deta hay....wo sub k naseeb ka utarta hay... aur ye bhi k us nay ye kam apnay hathon main is liye rakha k agar bandon k hathon main deta tou koi kisi dosray ko khanay ko na deta... per aisa hota kab hay....maine to hamaisha say he dekha k Allah k agay bhaik mangay bagair sub mil jata hay...per jab ye ikhtiar insan apnay hathon main lay le to ...wohi raziq wohi na Khuda hota hay...wohi hota hay phir....wo is nashay main is garoor main ye samajh bethta hay k qadir hay us say munsaliq logon ki pait ki dozak bharnay ka ...aur wo rok leta hay....wo raziq nahi hota per wo ban jata hay...usay un phoolon k murjhaye janay ka bhi kalaq nahi hota jin ko us nay khud apnay hathon lagaya tha..un phoolon ki rangat peeli paray k neeli...usko perwa kia...? usko apni nai duniya naye gulshan ka khumar cherha hota hay...

Khumar tou her shaks ko hay yahan...kisi ko kuch honay ka khumar....tou kisi ko kuch na honay ka ahsas e mehroomi aur her khumar alood shaks apnay say kamzoor ki rasiyan tang ker raha hay...phansi laga raha hay...kahin lafzon ki phansi tou kahin apnay honay k zoam main her galat kam ker k bhi khud ko ahsraful makhlookat k zumray main darj kerwaanay ki....

Mujhay umeed hay jo Allah pathron main gulab uga sakta hay wo sahra main neelay peelay ujray howay nanhay nanhay phoolon ki bhi dekh bhal karay ga ...wo sub dekh raha hay....wo munsif hay....wo Qadir hay...bas usko jalal anay ki dair hay......wo waqt dor nahi itna yaqeen hay mujhay RAB pe...

Fehmida Chaudhary
9th june 2013

Popular posts from this blog

Bolo na....

Akser aisa kyoon hota hy k jin khushyon ki hum tamana krte hain wo milne ka time jab aata hy to tishnigi berhne ki bajaye...hum khud ko mehsoosat se aari mehsos krte hain...Kis qadr pather ho jata hy insan pathron k sheher me reh k...Dekha gaya hy k jo log ajj behiss ya pather hojate hain wo kabhi bht he ziada hassass howa krty thay...apnay se ziada unko dosron ki perwa howa krti thi... Ye duniya aisa kr deti hy aisa kabhi socha bhi na tha...yahan rishte se ziyada paise se pyar kia jata hy....khaloos se ziada , matlab se mila jata hy...sach se ziada, jhoot per aetibaar kia jata hy... Tou kia bura krti thi main k maine in sb se dur rakha tha khud ko...kia bura kia tha k tmne mujhy mere tanhai k taj mehal se la kr is duniya k zandaan me la k khara ker dia...yehi dosti thi, yehi wafa thi, yehi pyar tha tmhara??? Bolo na....??? Fehmida Chaudhary 16 June 2014

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may ...

Bey'niazzi v/s behissi

Kya kaha...??? Main behiss hun??? Tumhain main hiss se aari lagti hun?? Wo jhunjhulaye howe andaz main chir k boli. Pehlay main hansti bolti thi to sb kehtay achi larkiyaan khamosh rehti hain. Maine kaam bolna shuru kerdia balkay youn kaho k ab zarooratun he bolti hun. Her insaan k sochnay ka andaz mukhtalif hota hy. Main kisi b behes main hissa leti to dosry ko b moqa deti bat ka. Apna apna point of view hy keh k bat khatum ker deti. Logon ko lgta main apni chalati. Phir logon k liye mene sun'na shuru ker dia. Apna point of view meray apny pass he store honay laga. Main khamosh reh k kisi ki sun k uska maan to berha sakti hun per jis bat pe dil o demagh raazi na ho. Main haan main haan nhi mila sakti.phir b koi khush na howa. Jo kaam kbhi mene kia he na ho wo b mujh pe daag dia jaye tb bhi chup... kisi ko lagta main taiz hun , kisi ko lagta upper chamber he khali hy...kisi ko janooni lgti tou kisi ko nafsiati. Main chup sunnti hun. Hansti hun khoob hansti hun.  ...