Skip to main content

""""Zaat k kuttay"""" mard........

In mardon ko Allah nay kitnay baray aezaz say nawaza aur kitna bara rutba ata kia per ye tou duniya main he khud ko khuda samajhnay lagay....Kutton main aur mardon main behad mumasilat shuru se he mahsoos hoti hay....
mardon main kuch mard aadaat k kuttay hotay hain....aur mera ye man'na hay k aadaa'at k kutton k saath insan guzara ker sakta hay...k un main ya tou bhonknay ki aadat hoti hay ya katnay ki...koi lafzon k teer say ghayal kerta hay tou koi zehereelay lafzon say aur baton say....phir bhi koi bhi sabir insan in sub baton ko bardast ker k apni zindagi in jaison k sath guzar he sakta hay...

Magar...

Zaat k kuttay mard un insanon main shamil hotay hain jin k sath ap rehna tou kuja talluq rukhna bhi gawara nahi kertay...zaat ki ye sift nasl der nasl chalti hay...jo jism o jaan ko he nahi rooh tak ko thaka deti hay k in jaison k sath kaisay aur kyoon ker guzara kia jaye.....

Maine apni life main koi aik INSAN ka bacha jo mard bhi ho nahi dekha....sanpon ki si sift rakhnay walay ya phunkarnay walay shahkaar he dekhnay ko milay....had derjay zehereely ....had se ziada na qabil e bharosa....

Apni zindagi main sirf aik raazdan aik sehaili banai aur wo bhi mere wajood ko anginnat tukron main baant gai....mujhay apnay ap say he nafrat hay k main apni zaat k khaul se bahir aye he kyoon...kyoon zindagi k tehkhanay main kisi rozan say ati nanhi si roshni ko sub kuch jaan lia....

Wo jo dosron ki raah main diay jalatay hain wo khud kahan us diay ki roshni say falah patay hain...
naadan thi main.

Fehmida Chaudhary...
29 june 2013


Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.