Skip to main content

Aisa kabhi na karna...

Zindagi may do tarah k log hotay hain..

Aik wo jo zindagi bhar choat khatay hain , ghum uthatay hain aur uska badla dosron say nikaltay hain, un k sath wo sub kuch ker k jo un per khud beet chuka hota hay ..

Dosray wo log jo zindagi ki her muskil ko hans ker aur apnay ALLAH ki azmaish samajh ker usper pora bhi utartay hain aur koshish kertay hain k un per jo beet chuki hay us say dosron ko bacha sakain aur aik deep jala sakain jis ki roshni sy dosron ko faida ponchay...

Laikin amomun zindagi may aisa nahi hota ..

Baz dafa Zindagi k qaid khanay may kisi chotay say rozan say ati howi koi choti si khushi ki kiran bhi aap kisi say chein laitay ho..sirf aur sirf apnay enjoyment aur so called FUN k chakkar may...

Ye sochay samjhay bagair k aap nay kisi say uski wahid aur choti si khushi bhi chein li...aur ap ko khud is bat ka ahsas tak nahi hota...

Apna ahsas to sub he keray hain..bat to tab hay na k ap apnay samnay walay ka bhi wohi ahsas karo jaisa k ap apna kartay ho....

Duniya may her tarah k log hotay hain..per her insan k ahsasat , kirdar ,andaz aik say nahi hotay...Aur na he iska koi formula ya measurement ki machine ijad howi hay jis say her insan ka behaviour, character ya qualtities ko check kia ja sakay...Na he aisa kisi tore mumkin hay....

Zindagi may kabhi kisi ki di gai dua ko na tukrao k tumhain kiski zaroorat nahi hay..Kia pata tumhari kitni he mushkilat is aik shakhs ki di gai dua say eh solve ho rahi hon...
Zindagi may jab hum kisi k sath bura kertay nahi sharmatay to us buray kiye howay per pashaiman honay per kyoon ghabratay hain...

Insan asraf ul makhloqat hay per farishta hergiz nahi...Koi bhi shaksh khobiyon ka mamba nahi hota...Jahan achaiyan hon wahan kuch buraiyan bhi hoti hain...bat nazar shanasi ki hay...Jin k apnay dil o demagh aur rooh achi ho unhain sub acha he dikhta hay...
Aur jo log dosron may khamiyan talash kertay hain wo dara sul apna app dosron may talash ker rahay hotay hain...

Sub say pehlay apni zaat ki tameer honi chaheye dosron ki bari to bohat baad may ati hay...
Allah hum subko aisa kernay sochnay aur amal kernay ki taufeeq ata farmaye ameen sum ameen


Fehmida Chaudhary

Comments

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.