Jeevan ki is raah guzer per ajj kadam larkaranay lagay hain..Umeed ki koi kiran nazar nahi ati...Janay kyoon bar bar zindagi azmanay chali ati hay...Hamaray daman may to kuch bhi nahi hay phir bhi azmaishain muqadar banti jarahi hain...Hum na to sahib e jamal hain aur na he sahib e kamal hain jo in azmaishon k pul e sirat per sabit kadam reh sakain..bar bar gir ker sambhalna ...bar bar chote khana...bar bar uljh ker sulajna ... kabhi khud he mulzim banna ..kabhi khud he munsif banna...
Zindagi ki aksar ratain in sochon may guzarti hain k akhir aisa kab tak chalay ga...Ye jo khizan jaisa mausam a k teher gaya hay...Ye waqti hay k musalsal rahay ga....aisa he kuch fazool say sawalat dil o demagh may kulbulatay rehtay hain...Agar koi manzil ho ya usay panay ki justujo ho to dil kisi na kisi sorat abla pai ka ye safar teh ker he laita hay...Umeed k chamaktay sitaray na sahi...jugno he zindagi k safar may humsafar ho jain to shayad zindagi ka ye safar kuch had tak sehal ho jaye...
Janay ye zindagi is more per ab kia chahnay lagi hay... waqt ki mutthi say zeest k sehra ki rait phisal rahi hay...zindagi her nai din k sath kam say kam ter hoti jarahi hay....moat kareeb say kareeb ter...
Ab to dil aur daman dono may he koi gunjaish nahi bachi...Magar jeena to hay he na...jab tak sansain chal rahi hain...Aur kuch nahi to Ghum e dil to apna hay he sath hamaray... Ye to sath chornay wala nahi ...zindagi may bhi sath nibhaye ga aur qabr may bhi sath jaye ga...wafadari karay ga ...
Tou phir kyoon hay ye na umeedi k saye..
Kyoon hay duniya say shikway shikayat ..
Fehmida Chaudhary
Comments
Post a Comment