Skip to main content

Zindagi PANAY aur KHONAY ka nam hay

Zindagi may panay ka ansar bohat he kam aur khonay ka ansar bohat he ziada hay...Her wo cheiz jis say ap bachna chahain wo bar bar samnay aker khari ho jati hay...aur jo ap pana chahtay ho wo dore say dore hoti jati hay...
Dekha jaye to zindagi bhar hum khud ko behlatay rehtay hain...kabhi kisi cheiz ka lalach day ker aur kabhi kisi cheiz ka ... Zindagi ko jitna bhi behlao...ye us waqt tak nahi behalti jab tak khud iska apna mood na ho...Ye bari moody hay aur sirf aur sirf apnay lihaz say he chalti hay...
Zindagi k paich o tab may beshumar kham hain jinhain hum na tou suljha saktay hain aur na he isay mustakil tore per khatum ker saktay hain...Zindagi may agar dukh durd na hotay to shayad zindagi ik he dhab per chaltay chaltay khud he thakan mehsoos kernay lagti...
Ye dukh k jhatkay hamaray liye aisay electric shocks ki manind hain to kisi mareez ki dobti howi sanson ko bahal kernay k liye diye jatay hain...In electric shocks ki zaroorat aur faiday say kisi tore inkar nahi kia ja sukta....
Per ye tou hay...k .... Ye zindagi bari zalim hay...Jab tak dil mae dharkan hay hum rawan dawan hain
Is dil ko to asolan soli charha daina chaheye...Is k akri dam nikalnay tak ...
hay ik nanhi si cheiz aur per tabbah ker k rukh daita hay...agar ik bar kaboo say bahar ho jaye tou.....
Zindagi ik basti hay ...is basti may khawabon k ghar hain aur in gharon may rehnay walon k pass bohat thoray say he pal hain..in chotay chotay pal'on ko jore ker zindagi bananay may kabhi insan bohat hoslay say kam laita hay aur kabhi kahin jazbon k sath aur kabhi kahin samjhoton k sath..
Jab in bikhray bikray pal'on ko hum kisi ki zindagi ki diary ki sorat may likhtay hain tou un ghamon ko apas may jornay walay samjhoton , jazbon aur hoslon ki taraf kisi ki nazar nahi jati...
Asal may ye jazbay he to asal ZINDAGI hotay hain...

Fehmida Chaudhary

Comments

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.