Skip to main content

Mitti ko mitti main mil ker qarar aye ga....

Hum sub mitti k banay hain,,,,kichar wali mitti....phir bhi khud ko aala samajhtay hain...bakamal samajtay hain....jhuknay main sharmatay hain...galtiyon ker k dandanatay phirtay hain...sachai ko jhatak detay hain ...achai ko bura aur burai ko acha kehtay hain....Garoor say gardan taan k chaltay hain ye sub bhool ker k ye zameen hum se her cheiz ka hisaab mangay gi...hum magan hain ...hum ahsaas bhi nahi kertay....

main bhi mitti ka putla hon....magar ahsaas mar gaye janay kyoon meray...ab kisi bhi baat ka , durd ka , ranj ka , judai ka, khushi ka.......ahsaas he nahi hota....

Duniya main tou kabhi na kisi say zehan mila na dil.....
phool ugati hon khaaar ugtay hain....
piyar deti hon nafratain pati hon....
aetibar deti hon...be-aetibari pati hon...
khushi deti hon...dukh pati hon...

Meri galti ye nahi k main saaf goo hon...meri sub say bari galti ye hay k mera double standard nahi hay....apnay liye kuch aur rules aur dosron k liye kuch aur....ye baat mujh se hazam he nahi hoti hay....bs sari uljhan yehi hay...

Mujh main aik aur bari kami bhi hay...main Ibnul waqt nahi hon....mujhay moqay say faida uthana nahi ata...aur agar ata bhi tou shayad main uthati nahi..ye dil jo sirf aur sirf mohabat ki laeey per dharakta hay ye kisi aur cheiz ki taraf khichta he nahi....

Main nay sabr o qarar ki bohat manzilain teh ki hain... giri...uthi...gir k phir uthi phir giri ...sambhal k chali phir giri per himmat nahi haari ....magar phir bhi mujhay lagta hay main is duniya main misfit hon...main yahan rehnay k qabil hon he nahi....main tou zaat ki mitti hon...siffhat ki mitti hon...aadaat ki mitti hon...mujhay pathreelay jahan main amaan kesay mil sakti hay....? kaisay....

Shayad....
Mujh mitti ki morat ko....
sirf
mitti main mil ker he qarar aye ga.....

Fehmida Chaudhary
21 August 2013

Popular posts from this blog

Bolo na....

Akser aisa kyoon hota hy k jin khushyon ki hum tamana krte hain wo milne ka time jab aata hy to tishnigi berhne ki bajaye...hum khud ko mehsoosat se aari mehsos krte hain...Kis qadr pather ho jata hy insan pathron k sheher me reh k...Dekha gaya hy k jo log ajj behiss ya pather hojate hain wo kabhi bht he ziada hassass howa krty thay...apnay se ziada unko dosron ki perwa howa krti thi... Ye duniya aisa kr deti hy aisa kabhi socha bhi na tha...yahan rishte se ziyada paise se pyar kia jata hy....khaloos se ziada , matlab se mila jata hy...sach se ziada, jhoot per aetibaar kia jata hy... Tou kia bura krti thi main k maine in sb se dur rakha tha khud ko...kia bura kia tha k tmne mujhy mere tanhai k taj mehal se la kr is duniya k zandaan me la k khara ker dia...yehi dosti thi, yehi wafa thi, yehi pyar tha tmhara??? Bolo na....??? Fehmida Chaudhary 16 June 2014

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may ...

Bey'niazzi v/s behissi

Kya kaha...??? Main behiss hun??? Tumhain main hiss se aari lagti hun?? Wo jhunjhulaye howe andaz main chir k boli. Pehlay main hansti bolti thi to sb kehtay achi larkiyaan khamosh rehti hain. Maine kaam bolna shuru kerdia balkay youn kaho k ab zarooratun he bolti hun. Her insaan k sochnay ka andaz mukhtalif hota hy. Main kisi b behes main hissa leti to dosry ko b moqa deti bat ka. Apna apna point of view hy keh k bat khatum ker deti. Logon ko lgta main apni chalati. Phir logon k liye mene sun'na shuru ker dia. Apna point of view meray apny pass he store honay laga. Main khamosh reh k kisi ki sun k uska maan to berha sakti hun per jis bat pe dil o demagh raazi na ho. Main haan main haan nhi mila sakti.phir b koi khush na howa. Jo kaam kbhi mene kia he na ho wo b mujh pe daag dia jaye tb bhi chup... kisi ko lagta main taiz hun , kisi ko lagta upper chamber he khali hy...kisi ko janooni lgti tou kisi ko nafsiati. Main chup sunnti hun. Hansti hun khoob hansti hun.  ...