Skip to main content

Tera Karam Maula......

Main ajj khushi ki shiddat say kapkapa rahi hon k Us ki rehmat say sarshar ho ker....per mera dil Allah ki bargah main sajda raiz hay aur Main Uski meherbaniyon karamnawaziyon ka jitna bhi shukar karon wo kam hay..

Jab ye nanhay nanhay poday meri zindagi main aye thay tou meray weham o guman main bhi na tha k inki dekh bhal k liye mujhay akailay sard o garm say larna hoga....mujhay in ki deekh bhaal kerni hogi..waqt per sub kuch hota gaya...kabhi kabhi mujhay bohat der bhi lagta k agar main apni zimmaydariyon main kamyab na ho paye...Khuda na khawasta ye phool murjha gaye tou...Ye mera Allah janta hay k main k main kab kab bekarar ho ker roi ...kab kab thak k ...haar k beth gai aur naye siray say in k liye uth khari howi...Ye himmat meray Maula nay mujhay de...

Jab hum koi bhi beej daltay hain koi poda ugta hay...us per kali phool lagtay hain...hamain bohat khushi hoti hay....per ye khushi dugni ho jati hay...jab in podon ki tareef koi dosra karay ... hamain lagta hay hum nay ik jahan fataah kerlia....

Jab koi insan apni aulad k liye ye sub kerta hay tou uski bhi wohi kafiat hoti hain jo k ik maali ki hoti hay jo chaman ki hiffazat kry aur bahar anay per us chaman main phool aur sabzza ho aur baharon ki jhalak ho....

Phool poday ki dekh bhal kerna bhi utna he mushkil hay jitna kisi bachay ko palna....zamanay ki sard o garm say bachana...achay buray ki tameez karana...deen o duniya dono ki taleem dena...ikhlaqi aur simaji tehzeeb say roshanaas karana....per ye sub bohat asan ho jatay hain jab RAB meherban ho ....Uski hum say mohabat ki aalammat hay k hum ye mushkil marhalay bila akhir aboor ker he laitay hain....

Ami Abu apki duain rang lai hain...ap bhi asman say apni shafqat aur piyar bhejain na.....i miss u both....alot...

Tera karam Maula....
Tera shukar Maula....
Meri jabeen hay sajdaraiz....
Mujhay man'nay say nahi guraiz...
Ye jo sub hay meri kamyabiyan...
Ye sub hain teri meherbaniyan...
Main hon bohat he gunahgar...
Mujhay wo zuban to bukhsh day..
Jo subho o sham karay tera tuzkara...
Mere Maula mujh per ye saaya e karam..
Tah umr rakhna mera bharam....
Meri nahi thi aukaat ye...
Mujhay tu nay itna nawaz dia...
Ye to ansoo hain meri aankh main...
Ye keh rahay hain tujhse ye....
TERA KARAM MAULA>>>>
TERA SHUKAR MAULA>>>>

Fehmida Chaudhary....
23 August 2013

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.