Skip to main content

Posts

Showing posts from May, 2016

Makan se ghar hone tak....

Aik aurat makan ko ghar bananay main kitne jatun kerti hay...Apna khoon e jigar pilati hay...Khawahishon k chotay chotay maqbaray apnay dil main bananti hay aur us per sabr aur bardasht ki chadder cherhati hay... Us k jism ka room room dua kerta hay us ashyanay ki salamti k liye... Aur apni itni mehnat aur riyazat k bawajood bhi der o devar ki bunyaad hila di jaye tou wo be yaqeeni aur durd k sagar main dafan ho jati hay.... Zinda dergour ho jane wala ye ahsaas uski saari hisyaat saath le jata hay....aur phir wo bejaan dhancha ban ker reh jati hay... Written by Fehmida Chaudhary 25th May 2016

Choti c dua.........

Ae mere Rab nahi hay koi shikayat mujhay....ranj milay, dukh milay, bewafai mili, ruswai mili....sub kuch hay manzoor mujhay.... Bus Tu kabhi  to befiker neend ki devi ko mujh per meherban ker de.... Fehmida Chaudhary 25th May 2016

Bhook....

Aurat ko apni aulad duniya ki her cheiz se ziada azeez hoti hay...Aur us aulad ki pait ki aag bujhane k liye jab wo apni izzat ko daow pe nahi lagati to ye kaise mumkin hay k jism ki bhook ko mitane k liye wo apne imaan ko daow per laga de... Nafs k ghoray ka sawar gir sakta hay per zameer aur aeman k paon kabhi bhi aabla paa hotay hain na choat khate hain.... Fehmida Chaudhary 18th May 2016

Khud kashi.....

Log kehtay hain k wo zindagi se haar gai thi jab he usne moat ko galay laga lia tha....per sach to ye tha k..... wo jism me phaili howi raag o nass me basay ....sachai aur khaloos ....ko zeher de k marna chahte thi....per mar khud ....WO gai....  Fehmida Chaudhary 16th May 2016

Maseeha.....

Wo log jo mohabat bhi ahsan samajh ker kertay hain na wo kamyaab businessman hotay hain...Hamari dukhti raag per he unki nazar hoti hay....nuqsan ka sauda nahi kertay kabhi ye log....per wo jo dil ki sab se unchi masand per unki zaat ka but humnain nasb kia hota hay na ...wo mujisma dharaam se gir k chakna chor ho jata hay.... Ahsan jatanay walay pyar bhi jataah jataah k dete hain.... Aap ki jin Kamzooriyon ko log nishana bana ker apko let down kertay hain...wohi jab pyar kernay walay k muh se nikle to ...aisa mehsoos hota hay ab tak hum jisay masiha samajh rahay thay usne zakhm see k akhir main mirchain chiraak di hon... Fehmida Chaudhary 16th May 2016

Nateja sifer rehta hay.....

Na janay kyoon hamaisha aisa hota hay....zindagi k exam main meri full tyari hoti hay... main her topic samajhti hon...sahi aur galat ka farq bhi mujhay maloom hota hay....kis dukh ko zabt se bardasht kerna hay...kis dukh pe khul k rona hay.....Kahan hans k dekhana hay...kahan pe khilkhilana hay....Kab kahan kis se milna hay...kis se fasla barutna hay.... magar phir bhi na jaanay kyoon ? total numberon main say hasil numberon ko jab taqseem kerti hon... NATEEJA SIFER REHTA HAY.... Fehmida Chaudhary 13th May 2016

Der....

Misaal apni to hay us darakht ki keh jisay Laga jo sang to badle main phaal giranay laga Bar bar choray janay ka dukh insaan ko is qadr pather bana deta hay k aik waqt aisa ata hay jab us pather main chattan ki si bahaduri ajati hay aur uska tanha reh janay ka khauf bhi kamzoor per jata hay.....  Fehmida Chaudhary 12th May 2016

Phaa'pound lagi mohabat....

Jis terha koi khanay ki cheiz dino tak pari rahay to us pe phaa'pound lag jati hay....usi terha mere ahsaasat, jazbaat aur mohabat bhi phaa'pound zada ho gaye hain.... Kharab cheizain to phaink di jati hain.... Per main kahan  phainkon?? Phaa'pound zada mohabat Phaa'pound zada ahsaasat Phaa'pound zada  jazbaat...... kahin na phainki to ye to mere jism o jaan ko bhi gaalaa de ga......khatum ker de ga Fehmida Chaudhary 07/05/2016

Aurat aik Cut putli...

Jisko jitna moqa mila wohi noch noch kha gaya mujhko...meri apni soch...meri apni marzi....meri pasand napasand...Hatah keh meri he zindagi pay mera bus nahi chalta....Zindagi k her mor per pabandiyon aur zanjeeron se jakra gaya mera wajood aur meri rooh ko taar taar ker dia gaya.... Mera qasoor kia tha?  Wafa, Khaloos, Sachai.... Per meray irdgird munafqat k pairokaar thay aur apni zaat ki parustish kernay walay onchay lambay dekhnay walay....bonay log... Log kuch bhi kahain per maine to yehi dekha hay k jab Allah hamain apnay se qareeb kerna chahta hay na to duniya hamain dhutkarne lagti hay aur hum dikhaway ki mohabat aur mohabat k jhoote dawaydaron ko pehchan ker Allah ki beloos mohabat ki qadr jaan jate hain....Aur RAB k qareeb ho jate hain k jab her koi hamain chor deta hay to tb bhi mera RAB nahi chorta.... Meri halat us tissue paper ki manind hay jo her gandgi saaf kernay k liye istimal hota hay...jab tissue paper apnay ander sb jazb ker laita hay....to wo khu