Skip to main content

Posts

Showing posts from April, 2020

Bulbul ki kahani _part 01

Main jo bhi kuch likhti hun wo meri he kahani ho aisa bilkul nahi hy per ye sach hy k ye sub jo main likhti hun aap betiyan hain logon ki jinhain main janti hun ya jinse kabhi mili hun. Her insan ki alag alag kahani hy. Bas pardaposhi ki wajah se nam aur jaga ya khandaan btana main zaroori nahi samajhti. Mera maqsad sirf aur sirf ye hota hy k dosron k haalat waqiat hamain sabaq aur tajurbay ki baat btaty hain aur hm pe beeti un k liye ahtiat hoti hy. Insaan ta'umr seekhta hy. Jab insan ye soch ley k wo afzal hy usay sb pta hy to ye uski tabahi ka baiss bnta hy. Ilm kitaab aalim he dars ka baiss nahi. Kuch cheizain hmain seh ker he samajh aati hain. Bulbul meri dost thi jo k ab nhi rahi is duniya main. Ajj bethay bethay yaad aggai. Maa baap apni jaan armaan maar k aik aulad ko paalty hain . Wo kabhi bhi jaan bojh ker aulad k liye bura nahi kertay. Per kuch percent hain bhi jo larkiyon ko bojh samajh k bs apne farz se subukdosh hona chahtey hain. Sub ki apni apni soch hy . Mer

Ghattay ka sauda...

Duniya main kisi k saath kisi bhi qism ki ziadti ker k, dukh pohancha k, neecha dekha k, nuqsan ker k jo bhi log khush hotay hain k unhon ne bohat bara karnama anjaam dia hy. Tou mjhy jahan bhi aisa kuch dikhta hy tou main aziat se muskura jaati hun k bdmast hathi ki terha masoom dilon ko rondnay walay log kitnay ghattay ka soda kerty hain. Zara c dunyawi aker k liye wo apni akhrat kharab kertay hain aur kam khushi k liye daa'e'mee aziat khareed letay hain. Cum pe ziada ka nuqsan krty ye log jb Allah ki adalat may jain gay tou kya hoga....? Written by Fehmida Chaudhary 28 April 2020 3:24 a.m

Allah ka der...

ALLAH "ka" der Aur ALLAH "se" der Main zameen asman ka farq hy. Jin logon ko Allah ka der hota hy wo aisay kamon se dor he rehtay hain jo Rab ko napasand hon. ALLAH ka der rakhnay wala insaan agr kabhi kisi galti ka murtaqib hojata hy ya phir galti kernay k qareeb hota hy tou Allah Tabarak Tallah us insan ko sarzanish kernay k liye usko azmaish main daal deta hy ya phir dil main us baat ko le k shakook o shubhaat paida ker deta hy. Ya youn keh lain k us galti ka ahsas hojata hy.  Laikin aisa isliye hota hy k Allah uski niyaat janta hy. Allah kabhi bhi apnay pyaray bandy ko raah se bhatakney nahi deta. Wo dhaanp leta hy. Ansoo ponch leta hy. Mangtey ko khaali nahi lotata. ALLAH "SE" DARNE wale dawaay to kertay hain k wo dertay hain per phir unper jab shaitaan gaalib ajata hy tou wo insaan aisay tamam kam kerta hy jo Allah nay na kerne ka kaha hy. Duniya ki waqti chakaah'chond uski ankhain khairaah ker deti hain aur wo raah se hat jata

Zindagi...

Maine apnay khayalon main qabr khood rakhi hy. Kafan khareed rakha hy. Bus dafan hona baqi hy. Sansain bohat bhari hain. Dil jazbat se aari hy. Mujhay to moat jesi lagti thi Ye jo zindagi guzari hy. Written by Fehmida Chaudhary 24 April 2020 4:30 a.m

Munfarid...

Zaroori nahi k insaan munfarid bn’nay k chakker may tanha reh jata hy. Kabhi kabhi aisa bhi hota hy k munafiqat se anjaan insaan ko kyon k duniya’daari nahi aati tou wo jo hota hy wohi nazar aata hy. Jo sochta hy wohi zubaan per hota hy. Isi wajah se wo insaan jaald parakh lia jata hy. Aur kyoon k us main koi cheiz bnawaati nahi hoti isiliye us ki aadat o atwaar khuli kitab ki terha hoti hy. Koi b baa’asani sb perh sakta hy, jaan sakta hy. Jab k jin logon k alag alag roop hotay hain aur jo moqay k lihaz se apnay niqab badalty rehtay hain wo hamaisha he HOT CAKE hotay hain kisi b maumlay may apnay apko ajdust kerna unhain khoob ata hy. Jadeed daur k in waqton main jald aur asani se samajh ajane walay log OUT DATED samjhy jatay hain. Aur girgit ki terha rang badalne wale log is daur main IN hain. In aur out ki race main sub he lgy paray hain. Middle kahin aata he nahi. Aur aadha teetar aadha batair he bn k reh gaye hum. Kawa hans ki chal chala to apni bhool gaya. Pata nahi ins

Net Loss...

Zindagi mere liye hamaisha ACCOUNTS k parchay ki terha rahi hy. Jo ginnay chunnay log meri zindagi main thay aur jo mazeed kuch ADD howay. Meri mohabat, khaloos, wafa sub nay TAX ki terha wasool ki AUR maine b kabhi is tax ki aada'e'gi may koo'taahi nahi barti aur na he kisi b qism ki koi EXEMPTION mangi. Magar pata hy kya? Kisi b TAX NETWORK main koi b DEFAULTER ho tou saari CHAIN kharab ho jaati hy. Jis terha PARTNERSHIP AMALGAMATION main dono partners ko ACTIVE rehna parta hy. Bilkul isi terha MOHABAT ka TAX jab exempted howay bagair ada kernay wala insan jb apni zindagi ki BALANCE SHEET bananay bethay aur faraiz k CREDIT COLUMN main laa'taa'daad ENTRIES hotay howay bhi jab wo insan DEBIT COLUMN check kry tou jhoot, dhoka, faraib aur aetibar k khoon k naam pe aik jesi ENTRIES uska muh chira rahi hoti hain. BALANCE SHEET kay END per NET LOSS ki ENTRY uski umar bhar ki mehnat pay paani phair rahi hoti hay. PROFIT ki aas main NET LOSS dekhati ye BALANCE

Insaan...

Kya kabhi apne gaur kia hy k jab aik chalak, munafiq, jhootay, dhokaybaaz insan per koi bhi musibat ya azmaish aati hy to wo is azmaish ko bunyaad bana k waah waila kerta hy aur apni qalti ya kamzoori man'nay k bajaye iski wajah kisi dosray shakhs ko gar'danta hy. Chal'loon aur sazishon k jaal bun'nay walay jab khud in main jakray jatay hain to bohat shor kertay hain. Zulm ki baat to ye hy k jo inki madad ko haath berhatay hain ye unhi ko bahar ane per sbse pehlay nishana banatay hain. Ye wo log hotay hain jinhain kabhi apni galti ya apni zaat main kaami nazr he nahi aati. Her kisi ki tazheek kernay walay khud per tanqeed bardast nhi ker patay. Un k zarf k piyalay may "MAIN" ka kholta dhuwan dosron ko jala to sakta hy per kou faida nhi de sakta. Jab k aik aq'qil , zaheen aur kamil insaan apni azmaish main sabr, achay waqton main shukr aur galti ki nishaan'daahi per un tamam kamiyon ko koshish ker k pur kernay ki aur khamiyon ko dor kernay ki koshish

Mohabat kamai jati hy azmai nhi jati.

Main akser kai jagah mohabat k baray main bari taweel definitions perhti hun tou hans perti hun. Ab mohabat kya hy jesa unwaan perh k logon k demagh main ishq mashooqi walay heer ranjhay ka tasawer he ayega. Magar nhi mohabat kisi b rishtay main ho sakti hy. Maa ki mohabat apny bachon k liye. Baap ki mohabat. Aulad ki maa baap k liye mohabat. Behen ki bhai k liye aur bhai ki behen k liye mohabat. Ya behen ki behen k liye mohabat. Mian biwi ki apaas ki mohabat. Mukhtasrun rishtay bohat hain. Mohabat ka koi aik thaikay’daar nahi aur na he mohabat kisi aik rishtay ki milkiyaat hoti hy. Mere nazdeek mohabat jataa ker, baata ker, kisi pai’many se toli nahi jati. Mere nazdeek mohabat ki tafseer baray baray alfazon main kernay walay log, hazar haa daway kernay walay aur mohabat may paimaish kernay walay log, jesay agr koi dawa kry k chand taray paish kerdon jese alfaz jo sara sir laagu aur fazool daway hain. Mujhy is terha k log jo mohabat ko tarazu main toltay hain wo kabhi bhi mukhli

Bey'niazzi v/s behissi

Kya kaha...??? Main behiss hun??? Tumhain main hiss se aari lagti hun?? Wo jhunjhulaye howe andaz main chir k boli. Pehlay main hansti bolti thi to sb kehtay achi larkiyaan khamosh rehti hain. Maine kaam bolna shuru kerdia balkay youn kaho k ab zarooratun he bolti hun. Her insaan k sochnay ka andaz mukhtalif hota hy. Main kisi b behes main hissa leti to dosry ko b moqa deti bat ka. Apna apna point of view hy keh k bat khatum ker deti. Logon ko lgta main apni chalati. Phir logon k liye mene sun'na shuru ker dia. Apna point of view meray apny pass he store honay laga. Main khamosh reh k kisi ki sun k uska maan to berha sakti hun per jis bat pe dil o demagh raazi na ho. Main haan main haan nhi mila sakti.phir b koi khush na howa. Jo kaam kbhi mene kia he na ho wo b mujh pe daag dia jaye tb bhi chup... kisi ko lagta main taiz hun , kisi ko lagta upper chamber he khali hy...kisi ko janooni lgti tou kisi ko nafsiati. Main chup sunnti hun. Hansti hun khoob hansti hun. 

Keeray ...

Bohat bura hona bhi aik terha se bohat acha hota hy. Mujhy to aisa he lagta hy. Jab aap bohat buray hotay hain, ya youn samajh lain k log hmain bar baar ye baa’wer krwain k burai hum main he hy to hum kisi aur main keeray nikalne k bajaye apni zaat k keeron ki fumigation main lag jatay hain. Per kuch logon ko ye shikayat ho jati hy k dawa naak main cherh gai . Matlab wo khush nhi hotay kisi b terha. Ab main bolongi to sb kahain gay k main bolti hun.... Keeray agr meri zaat main hotay to fumigation se unhain problem hoti Na k jisko shikayat thi mjhse Ap he btain keeray mjh me thy k shikayat kernay walay k demagh main ??? Baat to sach hy magar bat hy ruswai ki :):-)