Skip to main content

Mohabat kamai jati hy azmai nhi jati.




Main akser kai jagah mohabat k baray main bari taweel definitions perhti hun tou hans perti hun. Ab mohabat kya hy jesa unwaan perh k logon k demagh main ishq mashooqi walay heer ranjhay ka tasawer he ayega. Magar nhi mohabat kisi b rishtay main ho sakti hy. Maa ki mohabat apny bachon k liye. Baap ki mohabat. Aulad ki maa baap k liye mohabat. Behen ki bhai k liye aur bhai ki behen k liye mohabat. Ya behen ki behen k liye mohabat. Mian biwi ki apaas ki mohabat.
Mukhtasrun rishtay bohat hain. Mohabat ka koi aik thaikay’daar nahi aur na he mohabat kisi aik rishtay ki milkiyaat hoti hy.

Mere nazdeek mohabat jataa ker, baata ker, kisi pai’many se toli nahi jati. Mere nazdeek mohabat ki tafseer baray baray alfazon main kernay walay log, hazar haa daway kernay walay aur mohabat may paimaish kernay walay log, jesay agr koi dawa kry k chand taray paish kerdon jese alfaz jo sara sir laagu aur fazool daway hain. Mujhy is terha k log jo mohabat ko tarazu main toltay hain wo kabhi bhi mukhlis nhi lagty kyoon k moal toal to soda’ger kertay hain. Jahan mohabat main karobari dao paich ajain wo mohabat kahan rehti hy. Phir her cheiz ka bhaow teh kia jata hy. Hmne ye qurbani di to usko bhi ab ziada nhi tou us k baraber qurbani deni chaheye wagaira wagaira.

Mohabat main azmaish lena kam zarf logon ka khasa hy. Rishtay kabhi bhi mohabat ko azmaish me daal k hasil nahi kiye jatay.

Mohabat kisi b rishtay main ho. Usay azmaya nahi jata. Mohabat ko kamaya jata hy. Apni anaa maar k. Zarf ko waseeh ker k. Shak ki gunjaish nahi hoti . Aetimad aisa ho k dil o demagh me gumman ki haad he behaad ho. Yaqeen ka safar mohabat ko amar ker deta hy. Mohabat ka rishta khaloos, aetimaad aur yaqeen se jura hona chaheye. Budgumani jurm hy aur jurm ki saza to milti he hy.

Written by Fehmida Chaudhary
14th April 2020

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.