Skip to main content

Insaan...

Kya kabhi apne gaur kia hy k jab aik chalak, munafiq, jhootay, dhokaybaaz insan per koi bhi musibat ya azmaish aati hy to wo is azmaish ko bunyaad bana k waah waila kerta hy aur apni qalti ya kamzoori man'nay k bajaye iski wajah kisi dosray shakhs ko gar'danta hy. Chal'loon aur sazishon k jaal bun'nay walay jab khud in main jakray jatay hain to bohat shor kertay hain. Zulm ki baat to ye hy k jo inki madad ko haath berhatay hain ye unhi ko bahar ane per sbse pehlay nishana banatay hain. Ye wo log hotay hain jinhain kabhi apni galti ya apni zaat main kaami nazr he nahi aati. Her kisi ki tazheek kernay walay khud per tanqeed bardast nhi ker patay. Un k zarf k piyalay may "MAIN" ka kholta dhuwan dosron ko jala to sakta hy per kou faida nhi de sakta.
Jab k aik aq'qil , zaheen aur kamil insaan apni azmaish main sabr, achay waqton main shukr aur galti ki nishaan'daahi per un tamam kamiyon ko koshish ker k pur kernay ki aur khamiyon ko dor kernay ki koshish kerta hy.
Khud'ahtasabi rooh ko nikhari hy. Yaqeen kijiye jo batain hmain dosron main pasand nhi hoti agr hum khud wo sb na krain to ye islaah hy. Hamain apni islaah kerni chaheye na k dosron pay tanqeed. Her insan qabr main apna hisab dega. Kya apne kisi kitab may perha hy k tmhare falan rishtay ya dost ne falan bura kaam kia aur ab natija tum bhugto gay. Dosron k liye asaniyan paida nhi ker sakty tou beshak na kro per bura b na kro. Nafrat k beej se pyar ki fasal kbhi nhi ugti.

Written by Fehmida Chaudhary
15th April 2020

Popular posts from this blog

Bolo na....

Akser aisa kyoon hota hy k jin khushyon ki hum tamana krte hain wo milne ka time jab aata hy to tishnigi berhne ki bajaye...hum khud ko mehsoosat se aari mehsos krte hain...Kis qadr pather ho jata hy insan pathron k sheher me reh k...Dekha gaya hy k jo log ajj behiss ya pather hojate hain wo kabhi bht he ziada hassass howa krty thay...apnay se ziada unko dosron ki perwa howa krti thi... Ye duniya aisa kr deti hy aisa kabhi socha bhi na tha...yahan rishte se ziyada paise se pyar kia jata hy....khaloos se ziada , matlab se mila jata hy...sach se ziada, jhoot per aetibaar kia jata hy... Tou kia bura krti thi main k maine in sb se dur rakha tha khud ko...kia bura kia tha k tmne mujhy mere tanhai k taj mehal se la kr is duniya k zandaan me la k khara ker dia...yehi dosti thi, yehi wafa thi, yehi pyar tha tmhara??? Bolo na....??? Fehmida Chaudhary 16 June 2014

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may ...

Aurat aur Sabr.....

Aurat jis may Rab nay bardash aur sabr ka madah her aik say ziada rakha hay..Bazahir nazuk nazar anay wali ye sinf e nazuk derhaqiqat bohat bahadur hoti hay...Karay say karay imtihan main apnay apko mazboot bana ker her had se guzar jati hay...per kisi ko nahi maloom hota k ye bazahir bahadur nazar anay wali....ander say kitni darpook aur kamzoor hay... Hamaray mazhab Islam nay aurat ko jo rutba dia hay wo kisi mazhab main nahi .... per ye society k thaikaidar Mazhab ki aar main aurat ka ahtisaal kertay nahi thaktay... Jab aurat sabr aur bardast ki tamam manzilain teh ker lay aur phir usko chup lag jaye tou uska matalab hay k wo thak zaroor gai hay magar apnay RAB per us nay maumla chore dia hay...aur wo RAB tou munsif hay aur insaf kernay wala hay...Kisi bhi aurat ki khamoshi k peechay kia kurb palta hay ye koi aurat he jan sakti hay....Ye khamoshi aik aisa jazeera hota hay jahan roz atish fishan phattay hain....laway ubaltay hain magar samander jaisa zarf rakhnay wali wo sinf e n...