Skip to main content

Bey'niazzi v/s behissi

Kya kaha...???
Main behiss hun???
Tumhain main hiss se aari lagti hun?? Wo jhunjhulaye howe andaz main chir k boli.

Pehlay main hansti bolti thi to sb kehtay achi larkiyaan khamosh rehti hain. Maine kaam bolna shuru kerdia balkay youn kaho k ab zarooratun he bolti hun.

Her insaan k sochnay ka andaz mukhtalif hota hy. Main kisi b behes main hissa leti to dosry ko b moqa deti bat ka. Apna apna point of view hy keh k bat khatum ker deti. Logon ko lgta main apni chalati. Phir logon k liye mene sun'na shuru ker dia. Apna point of view meray apny pass he store honay laga. Main khamosh reh k kisi ki sun k uska maan to berha sakti hun per jis bat pe dil o demagh raazi na ho. Main haan main haan nhi mila sakti.phir b koi khush na howa.

Jo kaam kbhi mene kia he na ho wo b mujh pe daag dia jaye tb bhi chup... kisi ko lagta main taiz hun , kisi ko lagta upper chamber he khali hy...kisi ko janooni lgti tou kisi ko nafsiati. Main chup sunnti hun. Hansti hun khoob hansti hun. 

Ab roti nahi hun main in ashraf ul makhlooqat k samney. Dhoodh k dhulaay parsa log aur unki aab e zamzam se dhuli batain ab mjhy kuch nhi kehti. 

Lakin main behiss nhi hun.mjhy dosron ko khush dekh k ajj b khushi hoti hy. Ajj b do logon main nafrat perhne se bachanay k liye main apni qurbani de sakti hun. Mjhy dosron ki zindagi me angaray bharne se dar lgta hy. Main tou wo hun jo asteen me saanp palti hy. Tou behiss hoti tou ahsaas na hota.

Behiss aur bey'niazz main farq hota hy. Behiss insan khudgarz hota hy . Usay sirf apni garz se he  garz hoti hy. 

Bey'niazz insan apni guzarish Allah k darbar main paish ker k khud her garz se subuk'dosh hojata hy.
Ye bey'niazi youn he wadiaat nhi hojati insaan ko. 
Tun maan dhun ki qurbani nahi mangti ye. Rooh qurban kerni perti hy. Jaan mangti hy. Yaa to nai'yaa aar lagti hy ya paar. Aar lagti hy to jaan'kani ka aalam aur paar lagay to beniazzi milti inam main.
Ab ainda mjhy behiss kehnay se pehlay hazr bar sochna. Wo dhamki dene k andaz main boli.
Beniazzi ko behissi keh k uski tazleel na kerna.

Written by Fehmida Chaudhary
14th April 2020

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.