Skip to main content

Allah ka der...







ALLAH "ka" der
Aur
ALLAH "se" der
Main zameen asman ka farq hy. Jin logon ko Allah ka der hota hy wo aisay kamon se dor he rehtay hain jo Rab ko napasand hon. ALLAH ka der rakhnay wala insaan agr kabhi kisi galti ka murtaqib hojata hy ya phir galti kernay k qareeb hota hy tou Allah Tabarak Tallah us insan ko sarzanish kernay k liye usko azmaish main daal deta hy ya phir dil main us baat ko le k shakook o shubhaat paida ker deta hy. Ya youn keh lain k us galti ka ahsas hojata hy. 
Laikin aisa isliye hota hy k Allah uski niyaat janta hy. Allah kabhi bhi apnay pyaray bandy ko raah se bhatakney nahi deta. Wo dhaanp leta hy. Ansoo ponch leta hy. Mangtey ko khaali nahi lotata.

ALLAH "SE" DARNE wale dawaay to kertay hain k wo dertay hain per phir unper jab shaitaan gaalib ajata hy tou wo insaan aisay tamam kam kerta hy jo Allah nay na kerne ka kaha hy. Duniya ki waqti chakaah'chond uski ankhain khairaah ker deti hain aur wo raah se hat jata hy aur sochta hy k duniya me zindagi to jee loun. Baad ki baad may dekhi jayegi.

Mujhay her us shakhs se der lagta hy jo "Allah ka der " nahi rakhta. "Allah se darta" hy kehta tou hy per ALLAH SE DARTA nahi hy. Yaqeen kijiye aisa insaan kuch b ker sakta hy. Kuch b. Weham se gumaan tk. Bs hum andaza ker he nahi saktay.

Maine is zindagi main ye sekha hy k burai dekh k agr ap usko dhaanp k madad kr sako tou zaror kro per wahan ruko nahi. Aur na he dobara wahan ka rukh karo.

Allah ka der wala insaan jab kisi ki burai dhaanp le tou burai kernay wala apna zarf dekhata hy. Buray waqt se nikaltay he apni kicher sbse pehle ap k pallu se he saff kerta hy. Bohat talkh haqeeqat hy. Per sach yehi hy. Burai kernay wala sheer ho k apko hi zeer krnay pay tul jata hy. Aqseryat aisi he hy. Isliye khamoshi behter hy. 

Written by Fehmida Chaudhary
25 April 2020 1:40 a.m

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.