Ajj demagh aisay munjamind sa hay k lagta hay k tamam hissyat baraf ban gai hain... koi mausam koi khushboo koi ahsaas is baraf ko pighla he nahi pa raha....
Khud ko khud ka aasra bhi na raha........aisay waqt ka kabhi socha he na tha..
Zindagi k sehra may ja baja andhiyon nay ....
Waqt k berehem shikanjon ki kharashon nay...
Pay der pay zakhom nay...
Dard k jazeeron nay ...
mera kuch na bigara.....
Aur mohabat ki waqfay waqfay say barasti bondhon nay meri rooh may jo shigaff dal diye hain ..wo bhar nahi parahay...
Meri zaat ka akailapan ab khokhalay pan may tabdeel hota jaraha hay.....mujhay andaza nahi.... meri rooh kidhar hai aur main kidhar......
Manzil ki talash main main bhatak rahi hon........kabhi idher kabhi udhar ........na rehbar ka pata ....na masiha k nam tak ka pata ..........k kis nam say pukaro ........jab usko pukarna ho.......kahan dhondon jab usay talashna ho............kahan dhondhon...........kidhar jaon..........