Skip to main content

Rishton k laagan (tax)...

Bachpan say burhapay tak hum mukhtalif nauyat k rishton say juray hotay hain...

kyon k her insan ki soch..behaviour ... shakal adat aur atwar dosray say mukhtalif hotay hian isliye un may zehni hamangi nahi pai ja sakti...

Dekha jaye tou her insan dosray ko sirf us waqt tak samajhta hay jab tak wo khud usko samajhna chahay....warna wo lakh ap k sir patukhnay per ...ap ki minatain kernay per apki bat ko samajhnay k liye tayar hona he nahi hota...aur dawa hota hay apko samajhnay ka ...per kehnay aur kernay may hamaisha he farq hota hay..insan to insan he hay na..

Zindagi ki dagar per chalna itna asan nahi jitna asan lagta hay...apnay apnay zaati mafadat k liye log humse mohabaton k dhong rachatay hain aur jab tak un ki mafadad hamari zaat say wabasta hotay hain wo hamaray sath hotay hain aur jab unhain hum may apna koi faida nazar nahi ata wo chornay may dair nahi lagatay....

Ap k purkhuloos honay ko log apki kam himmati aur kamzori samjhain to dukh hota hay....
Ap k darguzar kernay ko log apki kamzori janain tou dukh hota hay...
Zindagi may rawaiye bohat ahmiat k hamil hain...
Jab rawaiye achay nahi rehtay tou dilon may ahtaram khatum ho jata hay...aur jab ahtaram khatum ho jaye tou baqi kuch nahi rehta...

Zindagi may jo log apnay galat faislon ya baton per datay rahain wo bahaduron ki sif may kharay hotay hain aur jo becharay in rishton k liye purkhuloos hotay hian...tan man dhan laga daitay hain wo kamzor tehertay hain dosron ki nazron may....aur ye kamzor dil purkhuloos log sari umr RISHTON K LAGAAN he ada kertay rehtay hain...bina kisi exemption k ...bina kisi expectation k .....bas achay pay acha kiye he jatay hain...k unhain tou sirf apna farz pora kernay say garz hoti hay....k wo ristay he kia jin ki mohabat may garz shamil ho.....

In rishton k lagan ki koi receipt koi evidence nahi hota per apna zameer EYE WITNESS hota hay....per koi amal reward k liye karain na karain ALLAH ki khoshnoodi k liye zaroor karain k wo jaza dainay wala hay....

ALLAH tallah hamain apni pannah may rakhay ameen sum ameen

Written by Fehmida Ishtiaq

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.