Skip to main content

Rait k gharonday girata chala gaya...

Maa aik aisi hasti jo bachpan say apni aulad ki tarbiat kerti ati hay...Hamari society may larkiyon per ziada tawajoo di jati hay...balkay youn kaha jaye k ziada tawajoo di jati THI tou ziada behtar hoga....ajj kal tou maa'ain bhi TIT FOR TAT wali tarbiat deti hain bajay is bat ko samjhanay k k sabr aur bardash may he aurat ki azmat hay...aisa nahi hay k is bardash k chakkar may apnay apko he aurat fanna ker dalay magar ALLAH nay ye husn aurat ki fitrat may he rukha hay k wo sabr aur bardast say kam lay...had say tajawuz to kisi bhi maumlay may behtar nahi rehta..aisa he is case may he hona chaheye...

Bachpan ik bat aksar yaad ati hay...hum bachpan may mitti k gharonday bana ker khailtay hain...kabhi unhain bhai shararat may dha daitay hain ya kabhi koi dost shararat may aker gira jata hay wo mitti ka gharonda...maa say shikayat kernay per ye he sunnay ko milta hay k dobara bana lo...koi bat nahi....

Per ye bat aksar meray dil may ...meray zehan may gardish kerti hay k mitti k gharonday to ik bar deh k ban jatay hain ...per un gharon k kia jin ki mazboot dewarain tou hoti hay per un k makeen aik aisi nafrat ki faseel tameer ker k apnay ko us may mehsoor ker laitay hain k na he andar anay k rastay ka pata daitay hian na he kisi ko ander anay ki ijazat ....unki ana unko her shae say pyari hoti hay....jisko wo aik tamgae ki manind mathay ki lakeeron may izafa ker k apnay sath liye phirtay hain ... AIsay jaisay k wo zameeni Khuda hon...

Aziat ka mukam hota hoga...jab ghar ki chardiwaari tou mazboot ho per ghar k makeenon may riston k beech aik aisi faseel khari ho jo nakabil e taskheer ho....

Kia ye Khuda ki khudai ko lalkarnay wali bat nahi ... kia ye firrooniat may indiraj kernay wali bat nahi...kia ye kufr nahi ALLAH ki naimaton say...Kia he khud apnay liye kharidi gai badnaseebi nahi....

Kash koi Emaan ki aisi aandhi aye jo in faseelon ko .... in nakabil e taskheer dewaron ko dha k guzarti chali jaye....aur pyar ki phuwar yahan dil k viran sunsan sehra may koi pyar ka phool khila day....Garaj baras k he sahi per sawan aye tou sahi...dil ki dharti per jammi gard ko dhoo he dalay.....k dhundlay manzar kuch nikhar he jain.....Allah chahay tou kia nahi ho sakta....
Thats why I ♥ u ALLAH mian....:)
Fehmida

Popular posts from this blog

Bolo na....

Akser aisa kyoon hota hy k jin khushyon ki hum tamana krte hain wo milne ka time jab aata hy to tishnigi berhne ki bajaye...hum khud ko mehsoosat se aari mehsos krte hain...Kis qadr pather ho jata hy insan pathron k sheher me reh k...Dekha gaya hy k jo log ajj behiss ya pather hojate hain wo kabhi bht he ziada hassass howa krty thay...apnay se ziada unko dosron ki perwa howa krti thi... Ye duniya aisa kr deti hy aisa kabhi socha bhi na tha...yahan rishte se ziyada paise se pyar kia jata hy....khaloos se ziada , matlab se mila jata hy...sach se ziada, jhoot per aetibaar kia jata hy... Tou kia bura krti thi main k maine in sb se dur rakha tha khud ko...kia bura kia tha k tmne mujhy mere tanhai k taj mehal se la kr is duniya k zandaan me la k khara ker dia...yehi dosti thi, yehi wafa thi, yehi pyar tha tmhara??? Bolo na....??? Fehmida Chaudhary 16 June 2014

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may ...

Shirk...

 Main jo ye kehti hun keh mjhy mairay marnay k baad be-qutba qabr main dafnaya jaye. Koi nishani ,koi mansaab, koi hawala, tehreer na kiya jaye. Na he koi istaa'ara ho aur na he koi ishara jo yahan mere dafan hone ki kisi torr b nishandahi kry. Nahi...iski wajah kisi se narazi ya nafrat ka sabab bilkul bhi nhi. Suna hy marney k baad aap sub k pyarry ho jatay ho. Wese kitni ajeeb baat hy na ye baat hmay kitni dair se pta chalti hy k Allah ko pyare ho ker he hum sub k pyare bnty hain. Mujhy ye dar tha k " mri duaon mai asr hy" ki khaber agr kuch laghir maloomat aur be-aqeeday k logon ko hoi tou mere baad meri qabr ko mazar na bna dia jaye. Jahan log dhaggay bandhain, nangay pair chal ker aain. Cherhaway cherhain , dhaamal dalain aur manatain mangain. Maine us Rb se hamaisha manga. Usnemjhy us waqt suna jab main akailay thi. Usne mjhy us wat sahara diya jab main besahara thi. Usne mjhy tawakul aur emanh se nawaza tou kyoon krr mai b uski rehmaton ki munkir bn jaon. Main chah...