Skip to main content

Mystery of life....

Ye shart hay dastak ho agar dust e yaqee'n say
Der chore k devar bhi khul jaye kahin say
Lagta hay k sach much kahin mojood hay duniya
Hum waham bhi kertay hain tou kertay hain yaqee'n say


Zindagi may kabhi kabhi insan apne aap ko ik moti ki manind seep main qaid ker laita hay k koi bhi is k dil ki baat, iska dukh durd , us k mehsoosat na jaan sakay k wo nahi chahta k uski sochon ki rajdahani main koi shareeq ho...

Phir aik waqt aisa ata hay k ik makhsoos dastak k israr per ap derwazay k kawaar khool detay ho per shayad aisa ker k aap apnay liye aik nai aziat ka der khool daitay ho...aur wo jo kabhi aik sakoon ka ik lamha muyasar ata tha wo bhi kho daitay ho....kyoon k darwazay ko choo ker guzarnay wali hawa bhi apko hirasaan sa ker daiti hay...

Kahin perha tha k apnay aap ko aam ker dainay walay log bohat jald faramosh ker diye jatay hain.....Ik sachai hay ye bhi....

Asaani si milnay wali chiez ki hamaray yahan qader hoti he nahi hay...isi insani fitrat ki badolat kabhi kabhi hum hiray ki beqadri ker diatay hain..aur kabhi mitti ko sona samajh ker mehfooz kernay ki koshish kertay hain...aur hamain ahsaas tak nahi hota..k hamari is beqadri nay heeeray ki chamak ko maand ker dia hay aur jis mitti ko hum nay sona samjha tha uski chemistry tou wohi rahi....mittti ki mitti....

Zindagi ki khawahishain kabhi samajh main aye he nahi k jo iski bheek mangta hay wo khali hath aur jo is say mutnafir hota hay ye us k sath saye ki terha chimat jati hay... Wafa iski fitrat main hay he nahi ... ye to bas siskati hay...tarpati hay ... rulati hay... her atay lamhon main ik naya zakhm aik nai choat day jati hay... Bari Zalim hay ye ... kehnay ko zindagi hamari hay aur hum isko guzarnay k paband hain jab tak sansoon ka safar hay ana jana hay... per haqeeqat to kuch aur he hoti hay .... Zindagi hamain guzar rahi hoti hay...aur is baat ka idrak hamain us waqt hota hay jab zindagi ki bachi khuchi sansain hoti hain hamaray pass...

Zalim kahin ki...


Popular posts from this blog

Bolo na....

Akser aisa kyoon hota hy k jin khushyon ki hum tamana krte hain wo milne ka time jab aata hy to tishnigi berhne ki bajaye...hum khud ko mehsoosat se aari mehsos krte hain...Kis qadr pather ho jata hy insan pathron k sheher me reh k...Dekha gaya hy k jo log ajj behiss ya pather hojate hain wo kabhi bht he ziada hassass howa krty thay...apnay se ziada unko dosron ki perwa howa krti thi... Ye duniya aisa kr deti hy aisa kabhi socha bhi na tha...yahan rishte se ziyada paise se pyar kia jata hy....khaloos se ziada , matlab se mila jata hy...sach se ziada, jhoot per aetibaar kia jata hy... Tou kia bura krti thi main k maine in sb se dur rakha tha khud ko...kia bura kia tha k tmne mujhy mere tanhai k taj mehal se la kr is duniya k zandaan me la k khara ker dia...yehi dosti thi, yehi wafa thi, yehi pyar tha tmhara??? Bolo na....??? Fehmida Chaudhary 16 June 2014

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may ...

Bey'niazzi v/s behissi

Kya kaha...??? Main behiss hun??? Tumhain main hiss se aari lagti hun?? Wo jhunjhulaye howe andaz main chir k boli. Pehlay main hansti bolti thi to sb kehtay achi larkiyaan khamosh rehti hain. Maine kaam bolna shuru kerdia balkay youn kaho k ab zarooratun he bolti hun. Her insaan k sochnay ka andaz mukhtalif hota hy. Main kisi b behes main hissa leti to dosry ko b moqa deti bat ka. Apna apna point of view hy keh k bat khatum ker deti. Logon ko lgta main apni chalati. Phir logon k liye mene sun'na shuru ker dia. Apna point of view meray apny pass he store honay laga. Main khamosh reh k kisi ki sun k uska maan to berha sakti hun per jis bat pe dil o demagh raazi na ho. Main haan main haan nhi mila sakti.phir b koi khush na howa. Jo kaam kbhi mene kia he na ho wo b mujh pe daag dia jaye tb bhi chup... kisi ko lagta main taiz hun , kisi ko lagta upper chamber he khali hy...kisi ko janooni lgti tou kisi ko nafsiati. Main chup sunnti hun. Hansti hun khoob hansti hun.  ...