Skip to main content

Kahan hon "MAIN"....???

Main ik beti hon maa baap ki izzaton pay qurban ho janay wali...Un k her dukh dard main saath nibhanay wali..Un k liye pamal ho janay wali......

Main ik bewi hon  Ik tamana ka sheher jahaiz main saath lanay wali larki..In umeedon k saath k ab meri zindagi main zakhon pay marham laganay wala shah'kaar meri zindagi main agaya hay...ye sochne wali larki...
Per qismat ki siyahi tou aik he thi na muqadar bhi wohi raha.. Wo shaks bhi khilari tha us ko apnay siwa sub bura lagta tha ... Wo khud apna pujari ap tha...Hath berha ker usko ahsaas e kamtari k atha samandar say nikalte howay pata na tha k bahar ate he usne apnay mohsin ko he wapis dakhailna hay ....Aur wo khud kinaray per khara meri hansi urata raha ...kehkahay lagata raha... gungunata raha ...Main doobti rahi...Main roti rahi... Tarapti rahi...Aur phir ghar ko aag lag gai ghar k chiragh se......Maine khamoshi ko apna hamsafar bana lia...Ye naya hamsafar kabhi tou dil k konay main beth ker saray manzer dekhta rehta....aur kabhi dil ki devarain tore ker bahar anay ko beqarar ho jata...bara mushkil tha isko sambhalna...bohat mushkil.......
Shayad khamoshi bara jurm thi....RAB ki nazar main bhi.......Maine koshish he nahi ki wahwaila kernay ki......chup chap saray dard k manzar apnay ander utar liye........

Ye alag bat k roz meri zaat k sehra main ghum k badal garajte aur khoon k ansoon ki barish hoti...
Shayad main pather k nagar main pathron k saath rehte rehte pather ho chuki thi...
Aik aisa pather jis k jazbat freeze ho chukay hon..Bas kabhi kabhi ankhon se sawan ki jhari bin mausam barasti thi....

Main ik Maa hon...Tanha Maa...
Main her rishtay k farz nibhatay nibhatay khud apni bhi nahi rahi...

Ajj main ye jan laiwa iqrar kerti hon k ...Ristay natay , jazbay kuch nahi hotay....kuch bhi nahi...Sub aggraaz k bandhan hain

Rasston ki thakan to utar he jati hay...Per ROOH KI THAKAN ka kia karon main...Kahan jaon main....Kidher jaon main......

Main Khud kahin dore reh gai hon bohat dore ..Kahin kho gai hon main ....Ab kon dhonday ga mujhay ???
Mujhay to khud apna pata nahi hay ...Aur atay qadmon k nishan  tou apnay hathon se main khud he mitta aye thi...Kia mila lambhi musafat say....Aabla pai...Ruswai ....Tanhai.........

Pyar bante bante khud apnay hisaa to main alag kerna bhool he gai.....Haath khali...Dil Khali...Duniya khali...
Aur ik Mera haqeer be-wajood sawali

Fehmida Chaudhary....♥♥♥

Popular posts from this blog

Bolo na....

Akser aisa kyoon hota hy k jin khushyon ki hum tamana krte hain wo milne ka time jab aata hy to tishnigi berhne ki bajaye...hum khud ko mehsoosat se aari mehsos krte hain...Kis qadr pather ho jata hy insan pathron k sheher me reh k...Dekha gaya hy k jo log ajj behiss ya pather hojate hain wo kabhi bht he ziada hassass howa krty thay...apnay se ziada unko dosron ki perwa howa krti thi... Ye duniya aisa kr deti hy aisa kabhi socha bhi na tha...yahan rishte se ziyada paise se pyar kia jata hy....khaloos se ziada , matlab se mila jata hy...sach se ziada, jhoot per aetibaar kia jata hy... Tou kia bura krti thi main k maine in sb se dur rakha tha khud ko...kia bura kia tha k tmne mujhy mere tanhai k taj mehal se la kr is duniya k zandaan me la k khara ker dia...yehi dosti thi, yehi wafa thi, yehi pyar tha tmhara??? Bolo na....??? Fehmida Chaudhary 16 June 2014

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may ...

Bey'niazzi v/s behissi

Kya kaha...??? Main behiss hun??? Tumhain main hiss se aari lagti hun?? Wo jhunjhulaye howe andaz main chir k boli. Pehlay main hansti bolti thi to sb kehtay achi larkiyaan khamosh rehti hain. Maine kaam bolna shuru kerdia balkay youn kaho k ab zarooratun he bolti hun. Her insaan k sochnay ka andaz mukhtalif hota hy. Main kisi b behes main hissa leti to dosry ko b moqa deti bat ka. Apna apna point of view hy keh k bat khatum ker deti. Logon ko lgta main apni chalati. Phir logon k liye mene sun'na shuru ker dia. Apna point of view meray apny pass he store honay laga. Main khamosh reh k kisi ki sun k uska maan to berha sakti hun per jis bat pe dil o demagh raazi na ho. Main haan main haan nhi mila sakti.phir b koi khush na howa. Jo kaam kbhi mene kia he na ho wo b mujh pe daag dia jaye tb bhi chup... kisi ko lagta main taiz hun , kisi ko lagta upper chamber he khali hy...kisi ko janooni lgti tou kisi ko nafsiati. Main chup sunnti hun. Hansti hun khoob hansti hun.  ...