Skip to main content

Raaste ka intikhab..........

Haan mujhay ye kehnay main koi jhijhak nahi k main ab bhag bhag ker hanp chuki hon...magar ab mujhay na he bhagna hay...na ummedain lagani hay...Na he koi rishta nibhana hay kisi se bhi....Mujhay seerab k peechay mazeed waqt barbad nahi kerna....Mujhay ab kisi se na koi umeed hay na hoge ... Lafzon k khilariyon se milker kia kerna...jinhain soye khawab jagana ata hay usay nibhana nahi...Mujhay aetiraf hay main haar chuki hon....apni zaat se...logon se...maushray se...per main ik jang nahi haari....gir ker sambhalanay wali jang......magar is girnay uthnay main jo zakhm aye hain na mujhay unki kharashon k nishan an=mitt hain....
Aaas ki dori jab tak hath main rehti hay aas rehti hay tabdeeli ki...muqader sanwar janay ki, tanhai se chutkara panay ki....TOU....ab chore di wo dor ....Aass ki dor...

Logon k maqbaray un k mrnay k bad bantay hain....Mere pass tou koi nahi jo ye tarudud bhi karay ga...tou ajj se behissi k cement se apnay wajood ki kirchiyon se bani enton se apnay gird main ik faseel tameer kernay ja rahi hon...aisa faseel jis main darwaza he nahi hoga.. aur is beroni faseel per main nay kantay boo diya hain k koi inko aboor ker k ander anay ki koshish he na ker sakay....

Zindagi nay ab us muqam per la ker khara kerdia hay jab main ye soch rahi hon k KYOON? kyoon aas lagaon...kisi se bhi...Tanhai lakh lakh darjay behtar hay ... na mila karo na gillah karo... Pyar kisi bhi rishte ki sorat main ho NASOOR he hota hay....and i m done with it...

Mujhay kisi aur k likhay howay dramay ka kirdar nahi banna hay... mujhay ab sirf apnay liye sochna hay... Main nay agay kia kerna hay...

Meri zindagi main ab meray siwa kisi aur ki gunjaish nahi...na hoge...

Kia mila mujhay ? tou agay kuch aur umeed karon...

Meri Qabr per meri khawahishain ...meri tamana'ain meray bahaey howay ansoo'on se wazoo ker k roz FATEHA perhnay aainge tou sakoon milay ga mujhay...

No more connections .... No more tears.......I better deserve unseen to those who played with me....

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.