Skip to main content

Ik khat Allah G k naam....

Meray pyare  Allah g apko to sub kuch pata hay k yahan kon kia ker raha hay...Main ye sochti hon k maa aur baap ka koi bhi naimul badal nahi hay...jitna wo apni aulad k saath mukhlis hotay hain utna koi b mukhlis nahi hota...jitne wo fikermand hote hain apni aulad k liye utni fiker koi bhi nahi ker sakta. Apni aulad ki takleef pay wo din raat ka chain ur sakoon kho daitay hain ... Un k labon pay hamaisha apni aulad k liye duain he hoti hain...Zindagi ki her khushi wo apni aulad k sir se waar dete hain....bina kisi badlay ki tawako k ...bina kisi silay ki umeed k ....

Aur phir Allah Rab ul Kareem TU to 70 maaon jesa dil rakhta hay apnay bandon k liye...tou phir kabhi kabhi aisa kyoon lagta hay k TU hamain hamari bardash say ziada azma raha hay...Duniya main maa baap k marnay k bad sub k asal chehre samnay ajatay hain...Maa aur baap k bad ghar k baron per zimaydari ayad hoti hay k agar kisi chotay ko masla ho to bara behen bhai maa baap ban ker sir per hath rakhy...per yahan bara honay ka faida is darjay he uthaya jata hay k bare honey k natay jaidaad apnay naam kerwali...aur koi jeeta hay k merta hay...in say koi unko garz nahi aur garz hay to apnay ap se...dosron ko der der ki thokarain khanay k liye chornay walay ye bhool jatay hain k dosron k liye rehem na rakhne walon k liye Allah b apnay darwazay band ker daita hay...wo jo thokerain khaney ko chor daitay hain apnay he khoon ko wo khud taqdeer ki thokeron k liye apnay ap ko tayar rakhain...kyoon k ajj meri to kal apki bari hay...Zindagi main ups down atay jatay hain kabhi ghum to kabhi khushi. laikin jin logon ko Allah taufeeq deta hay k wo kisi ka saath dain wo bhi Allah k pyare he hotay hain...Aur jinko Allah taufeeq he na day .... wo dosron k liye pather dil aur Allah un k liye ....

Acha ya bura waqt to beherhall kat he jata hay...per buray haal main apnon ki shanakht ho jati hay...wo apnay jo sirf apnay baray main sochte hain ..wo apnay jo khud ko na khuda samajhte hain ...wo apnay benaqaab ho jain to dukh durd ki ik nai kitab raqam hoti hay....aur kitab main likhay alfaz laho ki siyahi se likhy jatay hain...

Tou Allah g wo to bhool gaye hain jin k dil gardalood aur zangalood hain k jinko in logon nay duniya ki thokeron pe chora hay....kal wo log khud ALLAH ki bargah main ...ALLAH k darbar main US k samnay hazir ho k jawabday hongay aur saza k haqdar bhi....Aur wahan agr hum mauf ker bhi dain to wahan maufi chalay gi b nahi....Saza tou mil k he rahay gi...zaroor milaygi....

Mere Allah g ap sub dekh rahay hain na .... video bhi bana rahay hain ...ye video jhoot sach k saray bhaid kholay gi...aur jo jhooti izzat k shimlay sir per rakh k bethay hain ..unki izzat ko khob khob rolay gi....

per ye to teh hain...ab ye pagli kisi se kuch na bolay gi....bas tanhai main ro lay gi....

Fehmida Chaudhary
29th April 2015

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.