Skip to main content

Posts

Showing posts from 2017

Qurb....

Her insan ki Zindagi main qurb ki definition alag alag hoti Hy...Momi to aziat'on ko sehte sehte aziatpasand bn chuki thi...ab dukh sehna raas agaya Tha usay...per ye Jo wo abhi abhi keh k gaya Tha "aap k hone na honay see koi farq nhi perta"...wo jahan thi khari ki khari reh gai...saans Jese senay main atuck si gai thi...qurb kisay kehtay Hain? wo ajj samjhi thi... Kesa lgta Hy na jab AP jinko khara kertay kerty khud nidhaal hojao wohi ap k qadmon talay zameen kheench lain...kisi ko acha bnaty bnaty hum khud uski nazron main kitne buray bn jatay Hain...ye ajj Momi samajh Pai thi...room room sulaag rha tha uska... Aur ajj qurb k is makaam pe wo soch rhi thi k apna aap mita k Uska maqaam bnane k chakker main wo to ye bhool he chuki thi k apni zaaat ki nafi kr k wou khud mit'tay mit'tay aik hakeer Zara bn k reh jayegi uski nazar main... Shayad makafaat e Amal Tha ye...usne apni nafi kr k apne bnane Waley k qanoon ki khilaaf warzi thi...tou aj usi Rab ne usko uski

Bewafa....

Der haqeeqat Momi tou aik seedhi saadhi larki this...Jo Chand se pehron batain kr k...baarish ki risti bondon ko dekh kr...qaus o khizaan k bikharty rungon ko dekh kr he khush ho jaati this...Jo wo hansti tou uski hansi Goya mandir Mai bajti guantiyon ki jal tarang ki manind aas pass ki khamosh aur udass fiza Mai rang bhar deti...aur agr wo kabhi udass hoti to Zarah zarah us k gham me uska saath details mehsoos hota... Logon k ravaiye us k nazuk Dil pr gehra asar dalte...aur uski ankhain akser choti choti bat pr bars kr bojhal raha krti thin...would apne rung Mai rang lenay ki salahiat seebhi malamaal thi.... Wo apne gird ik aahinee qilaah bana kr khudko isme muqeed kr k bht mehfoz samajti thi.. MAGAR Aney walay ne aaoo dekha na taao dandanata ghusta Chala Aya us k ird gird ki devarain masmaar kr k...be'takalufi k fun seearaha uski roo'ton ko hansane wali batain aur in baton seeDil mooh lene k gurr se wakif wo shaks Momi k hawaa'son aur Dil pr chaa'ta Chala gaya...Mo

Mera qasoor....

Main jab jab apni guzri howi zindagi pe nazr daalti hun mujhy sare qasoor apne he dikhte hain...main pather b choom lon to wo pather b pehli chot mujhy he marta hy...main khaak ko choo lon to wohi mri ankhon me ghus k mjhy andha kr daalti hy...main khawab dekhlon to wohi toot k mere wajood ko kirchi kirchi kr daalte hain...main jin logon ko apnay room room me basa lon wohi meri rooh ka khoon kr dalte hain...aur jab main thook thook k unhain apne ander se nikalna chahon tou wohi log mjhse sir ankhon se utha k zameen pe patakh dene ki shikayat krte hain....magar kyoon wo aisa krte hain...kia un k gharon me aaina nhi ya wo apni he surat se der jane k khauf se aaina dekhna chor chuky hain Written by Fehmida Chaudhary 13th sept 2017

Dastoor....

Ajab dastoor e duniya hy ...yahan zindon se ziada maray howon ki parwah ki jaati hy...zindagi main anso'on ka tohfa dene wale jab shehr e khamoshan me milne ate hain to qabr ki mitti pe pani ka chirkao kr k goya ansoo'on ki kami pori krty hain...phoolon ki chadar cherha k jane konsi mohabat ka haq ada krte hain... Maine jeetay jee mar k dekha hy...ankhain muntazir he rehti hain k unki pyas bin mangay he sairaab hojaye...dil ki batain bin kahay he samajh li jain...jeetay jee marnay ka ik asool ye b hy k apny jaan se pyare logon ko unki behter aur khobsurat zindagi k liye chor diya jaye...muh mor liya jaye...aur jb apna jism apni he hasraton ki aag me jal k khakster ho jain to us raakh k phoolon ko us shaks k qadmon me paish krdia jaye.... Written by Fehmida Chaudhary 31 august 2017

Dua ....

Allah ki adalat main insaaf hay adal hay...maufi hay...Wo pasand bhi unhe bandon ko kerta hay jo mauf kerna jante hon....Maine bhi zindagi main her us shaks ko mauf kia jisne mera istehsaal kia per ab meri dua hay Ae mere Allah maine jinhain mauf kia TU unhain kabhi mauf na kerna...Adal kerna..Insaaf kerna... Written Fehmida Chaudhary 8th August 2016

Luch'uk....

Haan meri salamati ki wajah meri zaat main mojood luchuk hay ...Yehi wajah hay k tohfaanon ki zad main reh ker bhi kabhi mere qadam dagmagaye nahi... ye luchuk ye her haal main khud ko dhaal lene ki salahiyaat kabhi kamzoor nahi pernay deti...Log khawa kuch bhi kahain k apne haq k liye larne ki himmat nahi ...per sach yehi hay k dil is terha kisi se larne per maa'el he na ho saka...waqt se dosti kaam zaroor ati hay...jis ghaat ka pani ajj hum peetay hain usi ghaat per  waqt seerab logon ko bhi le ker ata hay....kabhi bohat jald aur kabhi kuch dair se..... Written by Fehmida Chaudhary 8th August 2016

Intiqam...

Momi ki diary aksar mere haath lg jati thi aur main b is maukay ka bherpore faida uthaya kerti....ajj bhi wo dost ki taraf gai howi thi...na jane kyoon mjhy lagta k uski kaali diary.... jis main wo apnay shab o roz aur haal ahwal likha kerti thi....mjhy apni aur bulati hy k aoo aur mjhy perho... Uski last likhi gai diary main ribbon se book mark lagaya gaya tha...main ne perhna shuru kia.... Likha tha... Main momi ajj kal bht chup aur bazahir mutmain nazr ane ki bherpor koshish krti hn...magar ye sirf main aur mera Allah he janta hy k main zindagi aur mout ki c kushmakash se guzr rhi hun...sab kuch maloon hotay howey bhi khud ko normal show krna koi asan kam to nhi...mjhy samjhna duniya ka asan tareen kam hy...meri lagi bndhi aadat samajh kr mjhy katputli ki terha apne isharon pr chalana kisi k liye bhi mushkil nhi...aur wo to meri rug rug se waqif tha...pr kehte hain na kabhi b apne muqabil ko kamzoor nhi samajhna chaheye...bs yahin us jese hoshyaar insaan se choak hogai thi... Mo

Muflisi....

Baaz log itne muflis hotay hain k na to wo apne liye logon ki mohabat. Khareed patay hain aur na he kuch moal de k apne liye moat khareed patay hain...muflisi k maray ye log kabhi bebas ho kr zindagi ki taraf dekhty hain aur kabhi moat ki taraf...zindagi bhi ugal deti hy inko aur moat b apna nhi bnati...ye zindagi moat k darmiyan latke lachaar log...kabhi zindagi k aagay rehem ki bheek mangte hain aur kabhi moat k qadmon me girgirate hain...main b muflissi ki maari aik bhikaran hun jo apne khali khushkol ko liye kabhi zindagi se bheek mangti hn aur kabhi moat say....magar mera kassah khali he rehta hy... Written by Fehmida Chaudhary 30th july 2017

Sard jazbat...

Mjhy lgta tha apni sochon,apne dil o demagh per baraf ki aik dabeez teh bicha kr main in sochon ko,in jazbat ko abdi neend sula chuki hun...ye sard baraf taley dab k mar chuke hongay...magr kb ye socha tha k ye barfani cha'taa'nain garam garam behte ansoon se kbhi to pighlain gay aur in me munjamid mere jazbat,meri sochain phr se zinda ho k mere he samne aa khare hongain... Written by Fehmida Chaudhary 30th july 2017

Karb....

Main karb me mubtila hun...but aziat hy...bht durd hy...jism o jaan me jese aik aag hy Jo Meri soch ko bhatti me pakti ent'on ki trha pakah j rakh deti hy...pr ye durd is garam saikh se bhi sakoon nhi pata...kabhi kabhi khud ko bht bebas pati hn aur to deti hn...phir sochti hn khud ko ab k badal dalon pr na Jane kyoon main to pore jee jaan see badalna chahti hn pr badla he nhi jata...koi raasta,,,koi formula,,,koi tarkeeb aisi milti he nhi k jisko ikhtiar kr k main khudko badal dalon...kabhi kabhi mujhay lagta hy change agaya hy...main badal gai hun...pr phir kuch aisa ho jata hy k mjhy yaqeen krna prta hy main wesi he hun...apni asal Hal'ut main...phir aik bechaini ....aik tarap Meri zaat ka aa'hata kr laiti hy...karb mazeed berh jata hy...durd itna hota hy k kulbula uth'ti hun... Apne aap ko badal dalna duniya ka mushkil tareen kaam hy...duniya k sanchay me khud ko dhalna namumkin hy... Khudko badalne k liye mjhy aik aise sach ko apnana hoga jo k SACH to hy pr mjhy

Aaah meri mout.....

Pehle main us k pechay kitna bhagti thi...minaat ker ker bulati thi....aata jati koi sans na thi jab maine usay pukara na ho...per main jitna usko pukarti wo bhagay chalay jati...mujh se dor bohat dor...roo k bhi bohat bulaya...per janay kia khaar thi mujhay dekh ker dor se athlati... muskuraati... tarparti...aur gaib ho jati.... Aur ab jab maine zindagi se dosti kerli  tou  Wo bin bulaye he meri dehleez per a ker barajaamaan ho gaye Lakh shikway kiye...keh jab bulane per na aaye to ab kia irada hay.... per shayad uski tabiat main ye khudgarzi na hoti  tou  wo apna kam kis terha anjaam deti... Aah meri mout....!!! bin bulaye mehman ki terha darwazay per aai bethi hay....  Written by Fehmida Chaudhary 20th May 2017

Good Luck....

Bohat din se momi meri taraf nahi ai thi main uska pata kernay jab us k ghar gai to uski ami ne darwaza khola aur kaha jao wo apnay kamray main hay...main us k kamray ki taraf chal di...darwaza knock kia to ander se uski naheef si bherai howi awaz ai....kon hay .... andar ajao... Main kamray main dakhil howi to momi jaaey namaz per bethi thi aur uski rundhi howi awaz ki wajah samajh me aye..uska chehra ansoon se ter tha... maine galay lagate howi kaha...kia howa hay momi jaan...wo hamdardi aur pyar k is izhar pay mazeed buluk buluk ker ronay lagi.... aur jab roo k halki hogai to meri taraf dekh ker goya howi.... Apko pata hay wo shuru se he bohat khudgaraz raha hay... kuch kuch magroor bhi...shayad meri beinteha chahat ki wajah se...wo un logon may se tha jin ko mohabat plate may saji sajai milti hay...aur shayad yehi garoor usko had se ziada LA PARWA aur MAGROOR bananey ka sabab bana bhi tha... momi istehraiyaa hansi k saath phir bolne lagi... Apko pata hay bohat ars

Dhokay baaz....

Jaan bojh ker dhoka khane waley log bewakoof nhi dil k masoom hote hain...unka had se ziada hasaas hona khud un k liye saza ban jata hy...wo durd ashna b hote hain aur iski aziat se waqif bhi... Ye masoom log dhoka khane k shoqeen nhi hote...inki pori tawajaah us dhokay baaz pr hoti hy jiski khushi k liye wo khud ko barbad ker detay hain... Isi liye siyane kehte hain apny dil ki kisi ko nhi deni chaheye...nakab bhi wohi lagatay hain jinhain sare raston ka pta hota hy...dukh barbadi ka nhi hota...wo jo bahar wale hain unse tou bacha ja sakta hy...masla to us dhokebaz ka hy jo dil k ander ho... Tumhe ne bnaya... Tumhe ne bigara... Kisi dam to kerlo... Ye iqrar hans ker... Fehmida Chaudhary 8th April 2017

Aik sawal....

Janey mout kyoon badnaam hy...wo to aik baar he ani hy...suna hy mout bht aziat naak hy....per kya zindagi se b ziada.....? Zindagi tou lamha lamha durd deti hy...her aney wala din aik nai aziat ki kahani... Kaash Kaash Aati jati sans kabhi to tham c jaye Aur Dhak dhak kerta dil dhak sey reh jaye...... Per ager.... Mar k bhi chain na paya.....? Tou..... Tou....kidher jain gay......? Written by Fehmida Chaudhary 23rd February 2016

Raasta...

Suno....!!! Tmhari khushyon k raaste me mera dil rokawat tha na....tmne apni manzil tk pohanchne k liye mera dil khanderzada kia aur apni manzil milne ki khushi me itna b bhool gaye k is khanderzada dil me dakhly ka darwaza to hy pr nikalne ka nhi....ab tmhari saaza yehi hy k is khander zada dil me asaib ki trha sir takra k apni baaki mandha zindagi k din b pore kro...kyoon k ab k baar maufi k mustahiq b nhi tm.... Written by...Fehmida Chaudhary 5th February 2017