Skip to main content

Auqaat...





Insaan ki hasiat do terha ki hoti hain.
Aik tou fitri hasiat
Dosra maali hasiat

Fitrati hasiat asal main insaan ka asal hoti hy. Fitri hasiat insaan k ander “build in”nahi hoti balkay ye insaan ki umar k saath saath us k ander paida hoti jati hain aur wo insaan in aadat aatwar ko khud paal poss k “bara” kerta hy. Her insaan ki fitrat aik bachy ki terha hy. Jitne aadab aur lihaz sikhaoge naik fitrat bnyga aur jitna bigaro gay to sarkashi uska khassah banaygi.

Tarbiat kabhi bhi fitrat nahi badal sakti. Insaan ka ander wesa he banta hy jesa wo insaan hota hy. Jis terha hum kisi ki niat nahi bhanp sakty bilkul usi terha fitrat naapnay ka bhi koi paimana nahi.

Aik cheiz jo mjhy zindagi nay sikhai wo ye k kisi insaan ki fitrat sirf usi waqt pata chalti hy jab hum us shakhs ko kisi ko takleef ponchata dekhain ya phir us shakhs ko apni takleefon ka mawazeena dosron ki takleef se kerta dekhogay. Aur hamaisha us insaan ko apna dukh bara he lgyga aur dosry ka dukh hamaisha chota. Jab k dukh to chota ya bara nahi hota. Durd aur dukh sehnay ki salahiat her insan main alag alag hoti hy. Her insan ki CAPACITY k mutabiq he Allah kisi ko dukh deta hy. Bardasht se ziada nahi. Ye jo baray naik waali log hotay hain ye aam insan se ziada bardasht rakhne ki wajah se he tou Allah se jurtay hain. Ye Allah ki azmaish main poray uter ker he tou aala zarfi bardast k asman ko chootay hain...

Fitrat ki achai maal ki kaami ko pora ker sakti hy. Achay ikhaq ki wajah se.

Magar

Maal ki ziadti kabhi bhi fitrat ki khamiyon ko dhanp nahi sakhti. Sonay k pahaar hun ya heeron k haar kabhi bhi fitrat k aeb nahi chupa sakti.

Zarf jitna bara hoga utna he insaan bara hota jayega.

Kia hy na k kaamzarfi k piyalay may zaat ka ochaa pan uchal uchal k bahar aata hy. Piyalay ki wussat bhi is khami ko rok nahi paati.

Zarf may wussat tab bhi paida hoti hy jab aap hassad k hisaar se bahar atay ho. Kisi ki khushi cheen k dukh dey k insaan kabhi bhi bara nahi bnta. Baaz dafa hamaray jhuk k milney ko log hmari kamzori samajhty hain jab k phoolon ki aabyari main kanton se chot to lgti he hy na. Kanton k zakhm us phool ko dekh k mundamil hojatay hain.
Kanton ki chuphan k  daar se kabhi phool uganay bhi chorhtay hain bhala.

Written by Fehmida Chaudhary
3rd May 2020

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.