Skip to main content

Fitrat...

Haan hotain hain kuch mjh jesay pagal bhi. Taan dhapney ko tou pori balkay lambi aasteenain pehentay hain. Maqsad sirf taan dhanpna he nahi balkay ye hmari asteen bohat se sanpon ko chader b deti hy. Mausam k garam sard se bachati hy aur saath saath khoorak ka intizaam b hojata hy. Hmari shah rag se qatra qatra khoon inki mehboob gheeza ban jata hy. Jab piyas lgi tishnigni bujha li. Ye aab o hawa tab tk in ko raas aati hy jab tak shah raag se akhri khoon ki bond nhi nachor detay. Zaroori nahi koi khas he hun baaz dafa raah chalty befaiz logon ko bhi hum panah de detay hain k panah dena aur khoorak dena to sift e Khudawandi hy. Kisi insaan ko chun k he tou Allah ye guun deta hy k wo aison ka waseela bana dia jata hy.
Kabhi kabhi mera bhi dil chahta hy k main bhi aik aisi he asteen ka saiban dhondo phir us saiban ki shah raag k qareeb beth k jainamaz pe us asteen k waseelay k liye khoob duain mango aur us k saath laad kron. Duniya ko btadon k her asteen main panah guzeer honay wala sanp nahi hota. Sanp ki fitrat kabhi nahi badal sakti wo ya tou dasay ga ya phir kainchli utar day ga. Fitraatun zahrely log bhi aisay he hotay hain. Apne zeher ki numaish k liye unhe ye zeher dosron k dilon main utar k usay tarapta dekhna acha lgta hy. Aisay log na khud khush rehtay hain na dosron ko dekhna bardasht kertay hain. Maine b aik naagin k saath bachpan guzara aur dekh bhaal ki aur dekhtay he dekhtay wo azdahaa bn k meray poray wajood ko nigal gai. Uska dasa pani nahi mangta yehi kehtay hain log. Per mera pora jism usne nigal to lia hy per na ugal rahi hy na nigal rahi hy. Meri jaan kani ka manzar itna dil faraib lgta hy usay .
Main chahon tou dil pe war ker k naya paar lgon per haye wo meray jism o jaan ki raag raag se nichora howa khoon jo us k muh ko laga howa hy. Meri fitrat main murawat ki nami mjhy aisa kernay se rokti hy.

Fehmida Chaudhary
9th May 2020

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.