Skip to main content

Posts

Showing posts from August, 2012

Ahsaas mar gaye saaray....

Suna tha aasman pay chand nikla tha.... Suna tha Eid aye thi.... Suna tha rang barangay anchal lehraey thay... Suna tha rang hatheli pay mehndi ka gehra tha... Suna hay hathon aur balon main motiye k gajray khusboo phelatay thay.... Manzar badalta hay.... Kahin aik andhairay kamray main... wo aik bebas, bekas si Larki... zindagi k imtihan main... jo nakam tehri thi.... Apnay ansoonon se takye ko  bhigonay main mashghool c larki... Tha rang zard uska Ankhon main halkay paray thay.... Hansi ki oat main uski Ghamon ki daastan rakam thi.... Wo band kamray main bethi na janay kyoon...??? Kisi roshni k intizar main  kai saalon say so nahi pai.... Wo rona chahti tou hay... Per ro nahi pai.... Usko yaqeen nahi ab Kisi mojzay ka zalim........ Wo raah tak rahi hay..... Farishtaah e ajal ka..... Wo muntazir ankhain ab benoor ho chuki hain.... Wo khawahishon k phool kab k murjha chukay hain.... Wo tamanaon k sagar dum kab k tor chukay hain.... Wo zindagi say bherpore Larki Zindagi say kab ki...

Zindagi....ik bala.......

Main bethay bethay na janay kia sochnay lagi k ZINDAGI akhir hay kia bala.....Kabhi meherban si lagti hay ..us maa ki terha jo chotay bachay ko hath paker ker chalna seekhaati hay...kabhi itni shafeeq k girnay ko hotay hain per hath than k sambhal laiti hay...Kabhi itni zalim k naraz ho ker dore kharay ho ker hamain girtay dekhti hay aur hamain koi rond  bhi jaye tou bhi ye tus say mas nahi hoti....dohray roop hain iskay.....kyoon kerti hay ye aisa hamaray sath....rang kyoon badalti hay....dhab kyoon badalti hay....kabhi meherban aur kabhi ajnabi....kabhi hamdard aur kabhi laparwa......Zalim kahin ki......bewafa bhi ho jati hay....jab dil chahey tou....Wafa tou ye kisi say bhi nahi kerti..... Hum zindagi k baray main mukhtalif tujziye kertay rehtay hain aur ye bhool jatay hain k asal main zindagi hamara tajzia ker rahi hoti hay.... Mehez apnay liye jeena tou zindagi nahi hoti....Log kehtay hain k sirf apnay liye jeenay wala aur sirf apnay baray main sochnay wala tanha reh jata hay.

Shehr e Khamoshan.......

Shehr e khamoshan akhri aram gah........jahan na koi chota na bara.....na koi ameer na gareeb...na ghamon ka mara...na khushyon ka karobar.....na haar....na singhar...sub he kuch bekar.........sub kuch....... Aik shehr e khamoshan mere dil k ander........ jahan dafan kiye main nay saray rishtay hon yahan k hon paar saath samander........

Behroopye......

Suno........!!! Tum mard zaat ho...tumko sab jaiz hay...sach ko jhoot...jhoot ko sach....galat ko sahi...sahi ko galat...din ko raat...raat ko din..tum jo kaho bas waisa hay....tum jitnay rang badlo........tumko jaiz hay...dosra badlay tou girgit hay....tum chori karo ...tou jaiz hay.....Dosra karay tou gunahgar hay....Tum behroop badlo aur bat bat pay jhoot bolo...tumko jaiz hay...tum mard hona .....tumko sab jaiz hay....tum bilawajah jhoot k anbar laga do tou jaiz hay....dosra apni dastan e ghum ko chupanay ki khatir bolay wo jhoota .... Tum her jaga fateh e aalam tehray........main nay mana....... Per ye tou bata do ....Kis nam say pukaron ......? Kia nam hay tumhara.....? Bhais badal badal ker nam badal badal ker jo insan khud apnay ap say dhaga karay kia wo sacha hay....Tum to apnay nahi ho.....tum aur kabhi kisi k hogay........Nahi.......Kabhi nahi......... Mera apna nam tou hay.....main achi hon k buri ......mujhay garz nahi....per  main kisi ko kuch kehnay ka haq bhi nahi

Beaetibari nay he bebas kia mujhay.....

Haan...mujh main he kuch kami hay.....k main kisi ko bhi apna nahi bana pati...per main khud ko is duniya k jangle main daswa daswa k thuk gai hon...ab meri rooh tak zeher phail chuka hay...jis ka koi tiryak he nahi...Main bebas hon...Main is beaetibari k hathon bohat bebas hon.... Main jis rang ko bhi hath lagaon wo kacha hota hay....jab tak cherha rehta hay jab tak hath dhoo na lon...phir rangat he zayal ho jati hay iski...... Is beaetibari nay mujhay aur kuch dia ho na dia ho AIK AETIBAR to dia he hay....ye aetibar k ab koi mujhay mazeed tabah nahi ker sakay ga...Haan bas aik ye he aetibar k like bat hay aur kuch nahi.... Fehmida Chaudhary 08th August 2012

Akhri Paraa'o ......

Ajj k nafsanafsi k dor main hum jahan apnay sakhafati ikdar ko bhool bethay hain wahan mazhab ki lailmi nay hamain sahi simt ka tayun kernay say mehroom rakha howa hay.... Hum aik aam insan hain...khattah kerna hamari fitrat main shamil hay...kabhi jantay bojhtay howay kertay hain aur kabhi laa'shauri tor per khattah sirzurd ho jati hay...aur kabhi halaat o waqiyat is k zimmay dar hotay hain ...Achay aur buray doston ki sohbat say bhi bohat farq parta hay...Hamaray mazhab main isiliye hamain rozmarah k kamon ko anjam denay k liye misaalon say, hawalon say,  waqiyat say acha bura samajhnay ki talkeen ki gai hay...Quran aik behter zerya hay zindagi guzarnay k saleeqay  seekhany k liye aur her maslay ka hul aur raah numai is main di gaye hay... Islam main faqat Shirk kerna aisa gunnah hay jis ki maufi nahi hay...Wagerna degar tamam gunnahon k liye ye wazahat bayan ki gai hay k agaer kisi shaks k gunnah aisay hain jis ki maufi nahi hay aur us k nama e amal main aisay naik amal bhi

Mera Taaruf....

Log mujhse mera taaruf pochtay hain ... wo pochtay hain k main kon hon...Main unko kis terha bataon k main kon hon..kyoon k main tou kuch hon he nahi...honay aur na honay k darmiyan hay meri zaat...koi shanakht hay he nahi....koi pata hay he nahi... Main logon ko kis terha bata sakti hon k main wo zinda lash hon jis k armanon nay kafan ka safaid jora pehna hay....jis k khawab andhairay koo'ain main khudkashi ker chukay hain...Jiski tamanain lab per anay say pehlay he dam tore chuki hain....Main kis terha bataon unko....kis terha...? Meri soch mera saath denay say he munkir ho jati hay jab likhna chahon k main kia hon...Apni zaat k khander main khud he do char cheikhain mar k wapis ajati hon k MAIN KON HON??? KON HON MAIN............??? Taa'ruf.... My own nazam.... Loag mujh say mera taa'ruf pochtay hain... Main unko kis terha bataon??? K Main wo zinda lash hon Jis k khawabon nay kafan ka safaid jora pehna hay Jis k chehray pay udasiyon k dairay hain Aur Jahan hijr ka i

Aurat aur Sabr.....

Aurat jis may Rab nay bardash aur sabr ka madah her aik say ziada rakha hay..Bazahir nazuk nazar anay wali ye sinf e nazuk derhaqiqat bohat bahadur hoti hay...Karay say karay imtihan main apnay apko mazboot bana ker her had se guzar jati hay...per kisi ko nahi maloom hota k ye bazahir bahadur nazar anay wali....ander say kitni darpook aur kamzoor hay... Hamaray mazhab Islam nay aurat ko jo rutba dia hay wo kisi mazhab main nahi .... per ye society k thaikaidar Mazhab ki aar main aurat ka ahtisaal kertay nahi thaktay... Jab aurat sabr aur bardast ki tamam manzilain teh ker lay aur phir usko chup lag jaye tou uska matalab hay k wo thak zaroor gai hay magar apnay RAB per us nay maumla chore dia hay...aur wo RAB tou munsif hay aur insaf kernay wala hay...Kisi bhi aurat ki khamoshi k peechay kia kurb palta hay ye koi aurat he jan sakti hay....Ye khamoshi aik aisa jazeera hota hay jahan roz atish fishan phattay hain....laway ubaltay hain magar samander jaisa zarf rakhnay wali wo sinf e n

Mera Ishq .........Mera Khaliq e Kainat.....

Aisa nahi tha k zindagi k kisi lamhay apnay paida kernay walay ko bhooli hon main....Mujhay shuru say he der lagta tha ... k meri zaat se kisi ko agar faida na bhi ponchay tou nukhsan bhi na ponchay...Meri her mumkin koshish hoti k meri zaat se kisi ko koi takleef na ho...ranj na ho...main kabhi kisi k liye bura na sochon...her mumkin kam aon...Main logon ko khush kernay main lagi rahi...aur apna ap bhool gaye...Pata nahi kyoon shuru se he meray sath aisa kyoon hay k main sub ka khayal tou ker laiti hon per apna khayal rakhwana aya he nahi....Aisa nahi k kabhi mujhay sadma nahi howa kisi bat ka ...per main akser ye socha kerti k jo bin kahay hamara khayal na rakahin hum bol ker apnay alfaz ya man kyoon gunwa'ain...Zindagi k roz o shab guzartay chalay gaye aur hasil o hasool ka shumar na bhi kia jaye to apni bekadri zar zar rula deti thi... Log tab tak hamaray hotay hain jab tak hamari zaat un k liye kisi faiday ka mazhar hoti hay...nazar k samnay say gaye nahi k TU kon ya Main ko