Skip to main content

Posts

Showing posts from 2018

Zaroorat...

Zaroorat k waqt jis cheiz ki talab ho aur wo na milay us waqt tou bad main us cheiz ki wuqat nazron main wo nahi rehti jo zaroorat k waqt agr muyaser hoti tou ahem hoti. Jis terha aik beemar ko bee'mari main dawa ki zaroorat hoti hy. Aur wohi dawa sehatyaabi main us k liye koi ahmiat nahi rukhti. Jis terha aik poday ko hara bhara rukhnay k liye pani, saaey aur khaad ki zaroorat hoti hy. Aur ye sb waqt per muyaser na ho to wo poda sokh jata hy, murjha jata hy. Bilkul isi terha mohabat aur tawajooh agr us waqt na milay jab uski sabse ziada zaroorat ho tou be'tawajuhi ka zeher nason main dortay khoon ki hissiat ko behissi main badal deta hy. Behissi aadhi moat hy. Marta howa insan dum torti sanson se mohabat ki aab'yaari kesay ker sakta hy? Written by Fehmida Chaudhary as on 20 december 2018

Ghataay ka sauda...

Kisi jhootay shakhs/aurat pe mohabat lutana Sara sar ghatay ka sauda hota Hy. Jo shakhs saahi baat ka samna na ker sakay. Wo Zindagi bhaar k liye aapka haath tham k duniya ka samna kesay ker sakta Hy. Jo jhoot bolne pet Allah see nahi derta wo kisi ko chornay ya thaamne k liye kia kisi b nau'yat ka der ya khauf mehsoos kryga.. Written by Fehmida Chaudhary as on 6th Dec 2018

Mukhtalif v/s Munafiq

Maine usey isliye nhi chora k wo Mera nahi thi. Mene usay isliye chora k wo Allah ki batain kerta tha. Usay apni fiker ho to ho . Usay kabhi  Meri namazon ki aadaigi aur Meri mazhabi kamzoriyon ko dur kerne k liye Meri kisi bhi kism ki koshish main Mera kabhi bhi saath nahi dia. Tou phr kaise wo meri duniya sanwar sakta tha, jisko Meri akhraat ki perwa na ho. Mera mukhtalif hona mera qasoor sahi. Per chehron per naqab  badal badal k Roop dikhaney walay log Kia munafiq nahi kehlatey? Mujhy lagta that mukhtalif hona, munafiq honay see behter Hy. Suna Hy munafiqon k liye jhahanum ka sbse akheer aur nichla darja makhsoos Hy. Written by Fehmida Chaudhary as on 6th December 2018

Bukht ki maari howi aurat...

Suno. Tumne pocha Hy na k main kon Hun...??? Main bukht ki maari howi wo aurat Hun Jo kisi ko ankhon ka surma bna k lagaye to wohi Meri ankhon ki beenai cheen lay, kisi ko seenay see lgaon to wohi peeth pay war kry,  kisi ko qadmon see utha k sir pe bethaon to wohi mere pairon talay ki zameen khainch lay, kisi se meethay bol bolon tou wohi zeher ugalne lgy, kisi pe dil waaron to wohi dil ko tukre tukre ker de, kisi pe jaan luta dun to wohi rooh jhanjore k rakh de. Meri pur soz ankhain aur Dil awaiz muskurahat umr bhar ka hasil tehra Hy mere liye. Mera Daman khaali Hy. Khaali tha. Khaali rahay ga. Khaali tha. Written by Fehmida Chaudhary as on 2nd December 2018

Farq...

Bohat farq hota hy àzmaye janey main aur dasey janey main. Azmaish k mayyar pe bnda prkha jata hy. Ya to wo paimaish k mayar pe utr k azmane wale ki nazr main sur'khuru hojata hy. Ya  phir nazr se utr jata hy.. Per jo dasaa jata hy na wo ta'umr maqtal main adh'marey ki terha se apni zindagi guzarta hy. Dasney wale k muh ko ik baar kisi masoom ka khoon lag naye na to wo iska zaiqa bhoolna nahi chahta. Isiliye khoon ki lazzat main jese he kami mehsoos kerta hy. Palat k shikaar pe waar kerta hy. Uski ye pyas tb tk nahi bujhti jab tak uska shikaar is jaan'kani k alam se muqamal azad nahi ho jata. Aur ye azadi us bebas ko sans k akhri zaray k khatum hojane k bad he milti hy. Wo azmane k bad dasi gai thi . Uski rooh nay kurb k dono andaz sahay thy to wo pather na hoti to kia krti. Written by Fehmida Chaudhary as on 17th november 2018

Kanton ki chubhan...

Kabhi kabhi hum apni Zindagi main mojood logon k raaste k kantay hatane aur phoolon see sajaney main itne magaan ho jatey Hain k hamain pta he nhi chalta k hum kb unhe logon k qadmon main , Dil main aur ankhon main kanton ki terha chubhnay lagay Hain. Aur wo hamain ghaa'seet k unhe kantoon main phaink atay Hain .jin kanton ko kabhi humne unki rahon se chunna tha.. Yaqeen mano moat see pehle moat jese aziat hoti Hy jab un ankhon main be be'aetinai dekhnay ko milay, jin k liye apnay apni ankhon ki joat bujha k unki Zindagi k chiragh Roshan kiye hun. Written by Fehmida Chaudhary as on 14 November 2018

Be'nishaan...

Jo log apni Zindagi main jeetay jee apny hony ka ahsaas nhi dila sakty wo maar k kb Dillon main jaga bna patay Hain. Main momi , Dil main hasrat rakhti thi kuch saalon pehle tak keh koi mere Marne pe dil se anso bahaye, jisko ye bhi pta ho k main itni achi nhi thi tou itni buri bhi nahi thi. Jisko mere hony na hony se farq perta ho. Per momi ko Kia pta tha k khawabon khayalon ki bat aur Hy aur duniya kuch aur... Ab momi ki ye khawahish kb ki dum tor chuki Hy. Wo aksar apne RAB see aisi moat mangti hy jisme us k jism k itne maheen tukre ho Hain Jo na nahlaye ja sakain, na kafnaye ja sakain, na samatey ja sakain. Qabr to aik Nishani hoti hay na k Jo is me dafan hy wo kabhi tha. Momi qabr ki nishani b isliye nhi rakhna chahti thi k jese wo hote h owe bhi nahi thi. Wese he Mar k kyoon apne hone ki nishani chorti. Written by Fehmida Chaudhary as on 14th November 2018

Samjhotha...

Apni pasand ki cheiz na milne pe sabr kerna aur apni cheiz kisi ko pasand ajaney per uski pasand ko khud ki pasand pe tarjeeh deny jaisey samjhot'on see bachpan see he main khoob waqif Hun. Aisa nahi hy k bechargi ki had take ja k main ye sub kerti Hun ya kerti thi. Per zarasul mjhy apni khwahishon ko maar k kisi dosre ki khawahish pori hojaney ki Khushi apni Khushi see berh ker hoti. Bina kisi hasad k main dil se koshish kerti Hun k wo maan Jo dosre mujh pe na bhi kertay Hun. Wo maa'an ban Jaye. Aisa nhi Hy main kamzoor Hun . Haq k liye lar nhi sakti. Bus mjhy kisi ki cheeni howi aas, arhuri khawahish ki wajah nhi bn'na. Mjhy kisi cheiz ka badla nahi chaheye. Sabr aur samjhotah krty krty  kabhi thakun b nhi howi mjhy. Per TUM per aa k mere sabr ki, mere jabr ki had khatum hojati Hy. Hasad angraiyaan leta Hy. Shayad ye wo sach Hy Jo chupaya Jana chaheye. Maine apne liye hamaisha he Bar'ba'dian khareedi Hain. Meri Zindagi ki subse bari barbadi tum thy, tum ho aur

Tmne dekha hy kabhi?

Bastiyaan ujaar k bas jaati Hain. Soraj doob k tulluw hojata Hy. Andhairay k bad ujalata b hota hy. Taqdeer k mara b kismat ka dha'nee bn sakta. Per Kia kisi ne dekha Hy kabhi ? aetibar main dasa howa wo shaks Jo be'aetibari k zeher ko nigal k jee paya ho.? Kia dekha Hy tmne jeetey jee haara howa shaks...... Written by Fehmida Chaudhary as on 24 October 2018

Kon kehta hy??

Kon kehta Hy k mujh may himmat ki kami Hy? Main bahadur nahi? Main kuch ker nahi sakti. Mere himmat aur bahaduri ka andaza lgane ko, Kia ye kaafi nahi ? k main her us shaks Jo mjhy barbad kerna chahta ho , us se dugna barbad main khudko ker sakti hun. Pata nhi kyoon her shaks ki had k pata hotey howe bhi mjhy logon ko un k muqam tak pohchane main ajeeb sa maza ata. Kon kehta hay k munfarid hona Mera shauq Hy. Aisa bilkul bhi nahi. Haan magar mjhy wo b nahi bn'na Jo dosre hain. Tou kia ye b galti Meri Hy? Written by Fehmida Chaudhary as on 24 October 2018

Der (fear)..

Aik waqt tha mjhy tanhai -se, tanha reh janey se bohat der lagta tha. Itna der k,,, tanha reh Janey k der se main apni zaat ka iss'teh'saal krwa krwa k logon k qadmon ki khaak tak ban janne pe raazi ba raaza hojati k bus saath na chottay , bhalay mitti samjhy koi. Ankhon ki thandak ya sir ka taaj bannay ka sochna to door ki baat , guman b nhi Kia. Per zindagi k baad -o- baraan k baad jab ye jana k tanhai bohat behter hy jhotay logon see, jhote saharon se. Ab tanhai se der nahi lagta, logon se lagta hy. Written by Fehmida Chaudhary as on 10th October 2018

Rang urr jatey hain...

Jab see Maine insanon ko girgit ki terha rung ( colors) badalte dekha Hy mjhy rungon see nafrat hogai Hy. Safaid rang k aar paar deekha ja sakta Hy. Rung aksar he dhokha detay Hain. Soraj ki timazat pertay he urr jatay Hain. Safaid rung dhoop main mazeed nikher jata hy , na he urr jata Hy aur na he saath chorta Hy. Written by Fehmida Chaudhary as on 10th October 2018

Dohraa mayaar...

Kehtay hain zindagi bohat bara ustaad Hy. Ye Jo sabak deti Hy wo sub insaan kabhi bhi kisi kitab, kisi aalim, kisi mufakir see nhi seekh sakta.Laikin phir bhi Zindagi main bohat see aisay sawal hain jin k jawab taa umr tAlash kertay raho tou jawab naa daard he rehta Hy. Main bhi akser sochti Hun  piyaaz ki perton ki trha chehra der chehra lagane wale lig aisa kyoon kertay Hain. Kyoon wo chehray dhoka detay Hain? Kyoon in logon k qaul o fail main tazaad hota Hy? Kyoon un k zameer murda ho jatay hain? Kyoon dosre logon ka ahtasaab kernay wale aainay may khud ko nhi dekhte? Beherhaal haqeeqat yehi Hy aur nihayat karvi bhi. Baaz chehron PE paray nakaab see hum bohat achi terha aagaah hotey Hain. Lekin hum chahtey yehi Hain keh in chehron PE nakaab pari rahe. Hum hassass log in naqaab main chupay logon k hissau ka kufara ada kertay rehte Hain aur in k hissau ki haya aur lajj bhi hmain kerni perti Hy . Taah k in k unchay shamlon ki Shan qaim rahy. Hum bin kahay he in k man saman k rukhwale

Ye bhi socha hy kisi ne?

Kabhi kabhi mjhy taq pe rakha howa dia bilkul apni terha mehsoos hota Hy. Jesay andheray main us diay ko taq see utha k ujala krny k liye jalaya jata Hy aur zaroorat khatum honey per phir bujha k taq PE rakha dia jata Hy. Aur kabhi kabhi apnay nam ki terha mjhy apna ap aik Guriya sa lagne lagta Hy. Bilkul aik chabi ki guriya ki terha. Na Meri apni pasand, napasand, na mera apna mood manni rakhta Hy. Mujhay to bus her waqt katputli ki terha kabhi kisi ki kabhi kisi ki ungliyon k isharon pe huqum ki bajah awri karni Hy. Jab koi chaheye mjhy hansty see rule de.aur jab chaheye rotay see hansa de...jab tanha rehna chahon mere ird gird mehfil saja de aur jab mehfil ki tamana ho mjhy tanhai k pinjray main qaid kr day...jab honton PE chup ki dabeez teh dikhy to huqum e goyae ajaye aur jab bolna chahon to qaalaam ki pabandi ho...jab bekhawab ankhain pather Hun aur un me khawabon ki fasl bonay ka huqum milay...aur jab khawab dekhna shuru Kia to is padash main ankhain noch di jain. Guriya guriy

Harmaa'n naseeb log...

Hum jesay dhutkaray howe, Kam naseeb logon ko moat bhi qabool nahi kerti wo bhi ugaal deti Hy.. Moat k darwaze pay dastak de de k loat k Zindagi ki qaid main wapis anay ka safar goh k qabil e qabol nahi hota per Zindagi k hathon apni hasti ka zillat bhara safar jaari rakhna bohat ziada mushkil lgta Hy. Zindagi ka ye safar itna kath'in, khaar'daar kyoon hota Hy? Aik taraf Zindagi wehshat Hy tou moat dehshat? Dono main see ziada aziatnaak Kya Hy...Zindagi see bezaar log moat ko galay lagana chahtey Hain tou moat ko ata dekhne wale log Zindagi ki umeed lgaye bethay hotay Hain. Shayad hasil see ziada hum la'hasil ki tamana main bhataktay Hain. Ye dar dar bhatakna hmain faqeer bana deta Hy. Aur faqeer to be'niaz hota hy, wo di ki dhaak dhaak ki laey per raqs e bismal krta Allah Hoo ki sada lagata alag he duniya ka baasi bn jata Hy, jahan Zindagi aur moat jesi cheizain usay mutasir nahi kerti. Wo fana aur baqah ki hadood ki duniya see itna door nikal jata Hy k pechay see aat

Ahsaas...

Jabse mujhay pata Chala Hy k is duniya main jeenay k liye apko behiss hona zaroori Hy. Maine bohat koshish ki k main behissi ki chaddar taan k un logon ki terha ho jaon per lakh koshish k main aisa nhi ker pati k mjhy AHSAAS ki bemari Hy. Jo Meri her koshish ko nakam kr deti Hy..Lakh koshish krlon behissi ki chaddar orhnay ki , ye AHSAAS k gersomay (germs) kahin na kahin see umand atay Hain aur mujhay apni girift may le lety hain. Main in se Tang hun. Pata nahi kon kehta hy sanp dastay hain. Maine to Zindagi main insan ko, insan see dastay he dekha Hy. Sanp munafiq nhi hotay wo pehlay phankaarty Hain tb hamla kerty Hain. Insaan hmaisha dosre insaan ki bekhabari ka faida uthata Hy aur chup k waar krta Hy. Kon kehta Hy sanp zehrelay Hain. Mene to zehr aur bugz see bhare insaan dekhy Hain jo dikhtay kuch Hain,, hotay kuch Hain... Pata nhi aisay log khud ko aainay main kesay dekh patay hongay. Written by Fehmida Chaudhary 23 August 2018

Pas e manzer...

Baaz dafa hum kuch logon ko lambi umr ki Dua isliye b detay Hain k unki rayakaariyan, chalakiyaan, notankiyaan, chaalbaaziyan, Jo wo dosron k saath kerty Hain aur samajhtay Hain k wo akal k betaaj badshah Hain unka koi Kiya bigaar Lega. Us lambi umr ki Dua main dabi aik Aah unki chupkay see intizaar krti hy aur jis waqt unhain apni naiyaa (kashti) paar lgne ka sbse ziada yaqeen hota hy. Tab he wo Aah as k galay lg jati Hy. Aur kinare per he naiyaa ult jati Hy. Tab he to pta chalta Hy k koi Hy. Koi Hy Jo nizam e hasti Chala raha Hy.... wohi KHUDA hy... Written by Fehmida Chaudhary As on 19th August 2018

Kaha tha na...

Kaha tha na mere dilse mat khelo ye bohat zaeef, bohat laagir, bohat kamzoor hogaya Hy. Larz jata Hy, ghanton kanpta rehta Hy, baat baat pe dehel jata Hy, is Dil ki nazuk andami to dekho ye apni he dhaak dhaak se sehem jata Hy. Is Dil ki angint chotain durd krti Hain , bohat ziada durd, per Meray zabt ki intiha tou dekho jo jabhi honton see siski nikli ho, Jo kabhi ankh SE ansoo tapka ho, Jo kabhi durd ko lafzon ki maala main proo ker bayan Kia ho...chaho to kisi se bhi gawaahi lelo. Kaha tha na Mere dilse mat khelo. Ye sehma Dara sa Dil toot jayega Ab toota to tha he rooth bhi gaya Hy. Dil mjhse naraz , main khudse naraz, Zindagi aati jaati sansoon se naraz....Chalo moat ko man'naa lain. Wo to man jayegi, rooth k bhi isay aik din ana he hoga.... Written by Fehmida Chaudhary Date 15 July 2018

Behissi muqadar hy...

Maine yehi suna tha k jis se mohabat ki jaye us se kabhi nafrat nhi ki ja skti.main b yehi samajhti ai abhi tak. Magar aik muddat bad ye Jana k jisko hum meherban jaan k apni zaat ki tamam tar sachaiyaan sonp detay Hain wohi hmari zaat k parukhchay ura detay Hain. Aur jab hmara yaqeen aetibar aur maan raiza raiza ho jata Hy to hmara ikhtiar hmare apnay oper see bhi khatum ho jata Hy. Hmare zehen o Dil per be'hissi ki aik dabeez teh jam jati Hy. Tamam his'siat ,tamam jazbaat is teh talay dab k munjamid ho jati hay. Munjamid mohabat wahin ki wahin dafan reh jati Hy. Behissi ki teh talay munjamid mohabat kesay nafrat main tabdeel ho sakti Hy aur log kehtay Hain mohabat nafrat main tabdeel nhi ho sakti... Aisa bilkul ho sakta Hy magar aik feesad chance Hy . wo bhi tab jab ap k totay howay yaqeen ko,majroo aur zakhmi izzat e nafs ko koi maseeha aetibar ki Patti ker day ya misl e marham un ghamon ka madawah ker day. Per jahan masihaa her marz ka ilaj nishtar samhjay wahan zakhm kab

Shukriya Zindagi...

Wo shayad bhool chuka tha keh maine usay btaya tha keh main had darjay aziat pasand hun. Khud aziati sehna chotay dil walon ka kaam nhi. Is k liye asab mazboot aur Dil chaa'taan hona chahiye. Apnay apko nit nay tareeqay see zich krnay ka alag he maza hy...Aur jo koi dosra aisa kernay ka sochy mere saath to main uska bhi pora pora saath deti hun. Usay lgta tha main toot k giron gi aur mar jaongi. Per aisa to tb hota na jab main is k liye zehni tor per tyar na hoti. Is se berh k kya saath nibhaon  k maine uski likhi kahani k kirdaar ko bagair script ke waisey he nibhaya hay jese wo chahta tha. Ye jo muskurahat hy na mere labon per ye maa'nd nahi perhnay wali. InshAllah Dekh ker undekha krna aur andha honay main bohat farq hota Hy. Alfaaz ka zakhera honay per bhi chup hojana kamzori ki alamat nhi hoti leehaz ka pass hota Hy. Jhoot jantey howay bhi kisi ki khushi k liye her bat sach maan lena bhi aalazarfi hy per kamzarf logon ka Kia lena dena. Written by Fehmida Chaudhary

Khauf...

Suno... Jab tum meri bud'duaon se marne lago to kisi se keh k mujhay itlaah zaroor krwana tah k main "Dua" ker sakon. Haan Dua krongi main ... K jis terha mere wajood aur nas nas se tmne Zindagi nachori hy bilkul isi terha tumhara dam bhi qatra qatra niklay. Suna Hy jab dam nikalta hy to bohat takleef hoti Hy. Dam k saath sub "Khum" bhi nikal jata hy. Pata nahi kyoon??? Main tumhari ankhon main moat ka khauf bilkul aise he dekhna chahti hun jesa khauf Meri ankhon main Zindagi jeenay ka soch kr umad ata Hy... Written by Fehmida Chaudhary 27th June 2018

Na'qabil e yaqeen haqeeqat

Maine apni adhi se ziada Zindagi aik aisay shakhs se rishta nibhane main guzaar di, jisne Meri jhooli main faraib, dhoka, jhoot k siwa kuch nhi dala. Aik saaf Dil jabir gareeb insan k saath aurat guzara kr sakti Hy. Jiska batin aur zahir aik ho. Per aik makaar jhootay aur faraibi k saath kabhi bhi aurat guzara nhi kr sakti. Mard aurat ki khamoshi aur bardasht ko uski kamzori samajh k usper zulm ki had kr daita aur samajhta hy k is aurat nay mera kia beegar laina hy. Bardasht ki had paar kertay he aurat tamam ahsaasat aur jazbaat ko behissi ki neend sula deti hy aur phr aik he lamhay main wo us rondhnay wale shakhs k saye see dur nikal aati hy...us zalim shakhs ki ankhon main hairat aur tahayur ki tasveer dekh k us aurat ki zakhmi izzat e nafs khafeef sa muskurate hay aur wo apni Jane wale qafmon k nishan saath saath mittati b jati hy k wo zabt ki hadood ki ab nigaahbani nhi kr sakti.pechy mur k dekhne ka sawal bachta he nhi... Aur ab main apna aap momi main dekh Rahi thi. Wo zabt ki

Taqq Raat ki maqbool dua..

Main ajj momi ki taraf ai howi thi...main usay mustakil note krhi thi k ajj us k chehray pr balah ka sukoon tha...Maine wese he poch Lia k konsa khazana hath lga Hy mohtarma k...momi ne Meri taraf dekha aur muskura di...apko pata Hy na mjhy geeli mitti ki khushboo kitni bhati Hy..barish ki bondain jab tip tip chehray pr girti hain to mera dil is taal pay morni ki trha nach uthta hy...wo kehti jarahi thi aur mujhy kuch ajeeb nhi Lag rha tha ...kyoon k aesi bey saropa batain wo akser he kerti thi...momi mujhy soch main doba dekh k mera bazoo hilatay Howe cheekhi aap sun rhi Hain na...main ne gardan isharatun HAN main hila di...wo boli apko pta hy na main Hawa see jholtay darakht k nechy kharay ho ker paglon ki trha chilati thi k kitni pyari Hawa Hy na... dil krta Hy hawa k doosh pe ur k gagun ko choo aon.. Apko pata hy rangon se mohabat krne wali momi k sb rang dukhon ki dhoop ki timmazat se ur gaye hain aur ab usay her rung safaid nazr ata Hy... Momi tm pagal hogai ho chup b ker jao..

Durd Raas hy mjhko...

Main momi guriya,,,,na tou ab moom ki Rahi na he guriya jesi. Ghar main rehtay Howe bhi mjhy nhi yaad prta k main aainay k samnay khare ho kr apna jaiza Lia ho...Haan magar ye Hy k jb bahir niklon tab ban than k niklti hun k koi Meri ankhon ,,, mere chehray see merry ahsasat perh na paye...muskurat b lazmi hissa Hy is adakaari ka... Mujhay wo din ajj b yaad Hy jb Maine aainey main tafseeli jaiza Lia apna,,,main itna hansi hun k kehkahay lagaty lagaty shiddat see roo pari....Maine bohat khoja khudko k ye aainey may main to nhi...ye to koi programed shuda insan hay jiska Rona , hasna, bolna, chalna, pehenna orhna ka remote control her us insan k pass Hy Jo mjhse mohabat ka dawa krty Hain...rishtaydaar hon k dost,,, tou phir Main Kahan hun,,,,main tou Rahi he nhi...khudko Kahan dhondun main....??? Baaz dafa main bohat hairan hoti hun k aik chaltay phirty insan ki shaksiat ko mus'k kr k usay apnay bnaye sanchay main dhaal k ap nizaam e qudrat ko challenge nhi kr rhy hotay Kia....? Au

Tumhain kisne kaha tha....?

Tumhain kisne kaha tha arey pagal larki... wo aik zindaan Jo tumhare naseeb main likh dia Gaya tha...us zindaan ki onchi onchi faseelon ko apne nakhun'on see khu'rachne ki koshish main un ungliyoon ko zakhmi kr dalo.... Suno are pagal larki.... Tumhain kisne kaha tha? Andhaire jab muqader BN chukay thay ....to kyoon tmne....? umeed k jugnu jala k roshni ki umeed bandhi thi.... Btao na....tumhain kisne kaha tha...? Wo aik rozun Kia kafi nahi tha sans lene ko....? Tmhain kisne kaha tha khuli fizaon k armaan tm paalo.... Arey pagli, Tumhain kisne kaha tha...? Jagti ankhon k khwab tabeer patay Hain aur muqaddar jaag jatey Hain....? Tmhain kisne kaha tha Tmhain kisne kaha tha.., Written by Fehmida Chaudhary Dated 9th may 2018 12:30a.m

Afsoos....

Mujhy Zindagi main kabhi kisi baat ka pachtawa nhi howa...jab   apney ap se he insaan ki jang ho to wo apnay apko he nit naye tareeqay see pareshan kr k  apney apko masroof rakhta Hy...main hamaisha masroof rehti hun per Meri is masroofiat me apne hissay ki takleef Dene AGR koi ajata Hy to main usay pora pora moqa daiti hun...usay mayoos nhi kerti... Nahi nahi main "farishta" bilkul b nhi ... Na he "wali" hun...main is do(2) roza Zindagi main kisi se hisaab nhi chahti ... Mera maumla,,,main RAB ko sonp daiti hun...wo sb ka hisaab b rakhta Hy aur wo kitaab bhi jisme hr sitam ki kahani darj hoti Hy... Main rehem ka maumla isliye krti hun k mujhse ziada to Mera RAB Raheem o Kareem Hy to kia wo mjhy insaaf na dega...? Jee han umeed Hy AP samajh Gaye hungay main apne saath bura krne walon ko saaza b daemi Dena chahti hun...kyoon k main kisi ko apni ankhon se dukh main nahi dekh sakti... Pehlay Mera nazarya qadraey mukhtalif howa krta tha... Main aam maufi per yaqeen

Bewakoof ....

Pehlay wo bewakoof thi...bohat bewakoof...jab kabhi wo kisi k liye mukhlis hoti...wo matlab nikal ane per usper sb see pehlay sungbaari krta...wo lahu lahan hoti aur uska Dil karchi karchi...wo sungbaari kerne walay ka wahin khare ho k wapis ane ka intizaar krti...saang baari krne wale ki asaani k liye.... rasty k wo nishan Jo us k maare gaye pather howte ... W o un sung'raizon ko wahin jaisa ka Tessa chor deti...shayad uski mukhlisi ki kashish chor k Jane walon ko kahin see thokar kha k yaad ajaye aur wo loat aain...intizaar ki Dore main umeed k moti proo k wo maala bnati k ane wale ka istaqbal kr sakay... aur phir aik taweel arsay k bd woo maala tore dalti...aik nai maala bnane k liye....bewakoof kahin ki...pather k zamane me phoolon see pyari kon krta Hy bhala....! Written by Fehmida Chaudhary 11th April be 2018

Ahsaas

Jism PE pehny melay kapray dhul k dobara jism ki zeenat BN saktay Hain per nazron see gira insaan aur Dil se utray logon ki jagah koraydaan ki so bhi nhi rehti...kyoon k koraydaan bhi safai ka maan ahsaas krte howey kachray ko apni aghosh me pannah de deta Hy...ahsaaas aur ikhlaq ki pasti insaan ko koraydaan see him ziada halka kr deti Hy... Fehmida Chaudhary 1st March 2018