Instagram pay aik post perhnay ka moqa mila jisme kisi mausoof nay makafat e amal se mutalik likha tha k mard ko hi kyoon makafat e amal sehna pryga jo larki maa baap ki izzat daar charhati hy wo b utna he haqdar hy makafat e amal ki. Ye zehniyaat perh k kuch to mae saktay may agai k waah kya taujeeh pesh ki hy. Mere bas me ho tou aesi soch k tamam mard hazrat k demagh ki nasain nikal k aik he dafa aab e zaam zaam se dho k ye lagu'yaat nikal dun. Kash main unko bta skti k Makafat e amal hamaisha un k saath hota hy. Jinki niyaat kisi b kaam ko anjaam dene k liye KHARAB ho. Ye to suna he hoga k aamal ka daro'madar hmaisha NIYAT pr hota hy. Tou jab koi b mard kisi b ghr ki izzat se khelta hy to wo lakh pardon main rakhy apni izzat ki ameen aurton ko. Allah ka teh kia howa qanoon hy k wo qarz us k apnay ghr se ada hoga. Allah se jang hy aisi batain kehna. Subne apni qabron main apna hisaab dena hay. Ap ko kisne kaha hy k CALCULATING MACHINE le k ghr ghr phiro aur un aurton...
Soch ka , samajh ka , ik la'matnahi Karwan.... jiski koi manzil nahi...Jiska koi thikana nahi... Demagh ki bhatti say sochon ka dhuwan nikalta hay aur phir hawa main tehleel ho jata hay... Meray dil k bukharat alfaz k qalib main......FC