Skip to main content

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy.

Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya. Qasamain khana khail tamasha aur bat ker k mukr jana baen haath ka khail tha.

Munafiq ki pechan perhi thi kahin k jab bolay jhoot bolay. Amanat may khayanat kry aur wada kry to pora na kry. Amli tafseer jab dekhi tou mera dil bol utha. "Both are made for each other."

Logon se intiqam lene ki aag me jalne walay log kab khud Allah k attab ka shikar ho jain
Pata he nahi chalta.

Mein bohat khush hun k kisi ko tou koi apnay jesa mila.

Ujlay chehray aur kalaay dil se laakh behter hain wo kaalay chehray jin k dil ujlaay hun.

Allah k faislay kabhi bhi galat nahi hotay aur un se ikhtilaaf ker k Allah se jang nhi kerni chahye.

Guzar jannay wali zindagi wapis tou nahi asakti per apni galtiyon pe nidamat mehsoos ker k anay waly dinon ko behter bnaya ja sakta hy. Suna hy tauba rooh ko nikharti hy. Tauba ki taufeeq  b Allah he deta hy aur hidayat tab he milti hy jab niyat naik kerli jaye.

Ap kisi ki zindagi asan nhi ker sakty tou mushkil b na bnain. Jo pather ajj ap kisi ko kamzoor jaan k us k raasty me atk'aingay wo pahaar bn k apki saath nasloon ko bhugatna pryga. Allah jb kisi ko taqat deta hy tou uska zarf azmata hy. Jo taqat ka galat istemal kry wohi uski auqaat hy. Aur jo achy hotay hain wo ajjzi ikhtiar kertay hain aur Allah k Qeher ko dawat nahi detay. Kyoon k Allah ko jalal ata hy to bastiyon ki bastiyan tabab o barbad hojati hain. Firoun is duniya main ibraat ki sbse bari nishani hy.

Acha sochain, acha krain. Aur agr acha kernay ki chahat na ho to bura na kerna ko he apni adat bnalain. Aur Allah naik niyat per b sawab deta hy. Aur tumhain phir b der na lagay to socho qabr ki pehli raat, hisaab kitab aur amaal ki khaali kitab. Kya ab bhi jism pe larza taari nhi howa...?

Written by Fehmida Chaudhary
24 june 2020

Popular posts from this blog

Bolo na....

Akser aisa kyoon hota hy k jin khushyon ki hum tamana krte hain wo milne ka time jab aata hy to tishnigi berhne ki bajaye...hum khud ko mehsoosat se aari mehsos krte hain...Kis qadr pather ho jata hy insan pathron k sheher me reh k...Dekha gaya hy k jo log ajj behiss ya pather hojate hain wo kabhi bht he ziada hassass howa krty thay...apnay se ziada unko dosron ki perwa howa krti thi... Ye duniya aisa kr deti hy aisa kabhi socha bhi na tha...yahan rishte se ziyada paise se pyar kia jata hy....khaloos se ziada , matlab se mila jata hy...sach se ziada, jhoot per aetibaar kia jata hy... Tou kia bura krti thi main k maine in sb se dur rakha tha khud ko...kia bura kia tha k tmne mujhy mere tanhai k taj mehal se la kr is duniya k zandaan me la k khara ker dia...yehi dosti thi, yehi wafa thi, yehi pyar tha tmhara??? Bolo na....??? Fehmida Chaudhary 16 June 2014

Aurat aur Sabr.....

Aurat jis may Rab nay bardash aur sabr ka madah her aik say ziada rakha hay..Bazahir nazuk nazar anay wali ye sinf e nazuk derhaqiqat bohat bahadur hoti hay...Karay say karay imtihan main apnay apko mazboot bana ker her had se guzar jati hay...per kisi ko nahi maloom hota k ye bazahir bahadur nazar anay wali....ander say kitni darpook aur kamzoor hay... Hamaray mazhab Islam nay aurat ko jo rutba dia hay wo kisi mazhab main nahi .... per ye society k thaikaidar Mazhab ki aar main aurat ka ahtisaal kertay nahi thaktay... Jab aurat sabr aur bardast ki tamam manzilain teh ker lay aur phir usko chup lag jaye tou uska matalab hay k wo thak zaroor gai hay magar apnay RAB per us nay maumla chore dia hay...aur wo RAB tou munsif hay aur insaf kernay wala hay...Kisi bhi aurat ki khamoshi k peechay kia kurb palta hay ye koi aurat he jan sakti hay....Ye khamoshi aik aisa jazeera hota hay jahan roz atish fishan phattay hain....laway ubaltay hain magar samander jaisa zarf rakhnay wali wo sinf e n...

Shirk...

 Main jo ye kehti hun keh mjhy mairay marnay k baad be-qutba qabr main dafnaya jaye. Koi nishani ,koi mansaab, koi hawala, tehreer na kiya jaye. Na he koi istaa'ara ho aur na he koi ishara jo yahan mere dafan hone ki kisi torr b nishandahi kry. Nahi...iski wajah kisi se narazi ya nafrat ka sabab bilkul bhi nhi. Suna hy marney k baad aap sub k pyarry ho jatay ho. Wese kitni ajeeb baat hy na ye baat hmay kitni dair se pta chalti hy k Allah ko pyare ho ker he hum sub k pyare bnty hain. Mujhy ye dar tha k " mri duaon mai asr hy" ki khaber agr kuch laghir maloomat aur be-aqeeday k logon ko hoi tou mere baad meri qabr ko mazar na bna dia jaye. Jahan log dhaggay bandhain, nangay pair chal ker aain. Cherhaway cherhain , dhaamal dalain aur manatain mangain. Maine us Rb se hamaisha manga. Usnemjhy us waqt suna jab main akailay thi. Usne mjhy us wat sahara diya jab main besahara thi. Usne mjhy tawakul aur emanh se nawaza tou kyoon krr mai b uski rehmaton ki munkir bn jaon. Main chah...