Skip to main content

Meri MAaa...

Meri maa...aik farishta sift auraat thin. Zehen ki dehleez pe dhundli si yaadain hain. Jin main subah se raat gye tuk hamaisha unko ghar k kamon main masroof paya. Panch waqt ki namaz ki paband aur baqaidgi k saath quran ba tarjuma perhna aur heHir namaz k bad kuch khas zikr kerna b un k mamoolat ka hisa tha. Allah k sath unka bht mazboot rishta tha. Mene apni maa ko kabhi kisi k liye bura sochty ya kehty nhi dekha. Wo akser kehtin thin k achon k sath to sub acha kerty hain baat to tb hy jb tum buray k sath b acha kro. Hamaisha yehi bat sikhai k tum dosron k aeb dhanpo gay to Allah tumhari parda poshi kryga. Koi mehmaan ajaye to izzat aur khalos se uska maan berhana. Mene apni maa ko kabhi bhi Allah se shikwa kerty nhi dekha. Uthtay bethtay ya Allah tera shukr kehna b unki aadat thi. Akser hum behno ko samjhati k aurat ko mard se kbhi b naram ya methay lehjay main bat nhi kerni chahye. Sakht lehja hona chaheye taa keh samne wala apni haad main rahay.
Sabr kerna bardasht kerna b hamari maa ki tarbiat hy. Jawan saal baray bhai ki nagaahani moat per bhi maine unko yehi kehtay suna k ya Allah teri amanat thi tu ney leli. Shikwa na kia bus roo roo k apni ankhain aur sehat tabah kerli.
Maa jesa pyar duniya ka koi rishta nhi de sakta. Alfaaz kam hain aur latadaad khobiyan. Allah pak mere waldain k darjaat buland krain aur karwat karwat jannat naseeb farmain ameen sum ameen

Written by Fehmida Chaudhary

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.