Skip to main content

Random thoughts... bus aisey he

Mujhy boht hairani hoti hy jab log kisi ko bhi dekh k apni raiy qaim ker lety hain. Aur phir us raiy ko zehan me mehfooz kr k tuss se muss nahi hoty. Unhe lagta hy jo wo sochty hain bus wohi sachai hy.

Hamara maushra aisa ban chuka hy k burai peeth peechy aur achai to na kisi main nazr aati hy na he bayan ki jaati hy aur na he maani jati hy k "achai hy".

Mera view point hy k hum apni zaat me mojood buriyoon ko dosron main khojtay hain. Jo jesa hota hy usay samnay wala bhi wesa he lgta hy. Jhotay ko pata hy wo jhoot bolta hy tb he usay lgta hy sb he jhoot boltay hain. Aik dhokaybaz ko lgta hy pori duniya he dhokhaybaz hy.

Bilkul isi terha masoom aur mukhlis logon ko bhi aisa he lgta hy k sb he un k jese hongay.

Pehlay mujhy lgta tha log apnay faiday k liye jhoot ka sahara letay hain phir jb duniya dekhi tou pata chala k nahi. Baaz log fitratun jhoot boltay hain.baaz log sirf dosron ki khushi se jal k takleef dene k liye bhi jhoot boltay hain. Baaz logon ko na jhoot ka faida hota na nuqsan wo bhi bus aisay he bol daity hain.

Insaan k pass jo cheez hoti hy wo wohi banta hy. Zarf walay hamisha nuqsan se khud bhi bachty hain aur apny ird gird k logon ko bhi is se mehfooz rakhne ki koshish kertay hain.

Nafratain bantne walon k liye is se berh k kia khasara hoga k wo 2(do) roza zindagi main b apny liye kuch kaama na sakay.

Khud bhi jee'ain aur dosron ko bhi jee lene dain. Phool nhi bant sakhty tou rasty main pary kanty tou utha k side pe rakh sakty hain na.

Niyat ka kamal hy bs warna her dekhaway ka amal wabaal hy, wabaal hy.

Written by Fehmida Chaudhary
18th june 2020


Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.