Skip to main content

RAB ka kam ... RAB he janey...

Instagram pay aik post perhnay ka moqa mila jisme kisi mausoof nay makafat e amal se mutalik likha tha k mard ko hi kyoon makafat e amal sehna pryga jo larki maa baap ki izzat daar charhati hy wo b utna he haqdar hy makafat e amal ki.

Ye zehniyaat perh k kuch to mae saktay may agai k waah kya taujeeh pesh ki hy.

Mere bas me ho tou aesi soch k tamam mard hazrat k demagh ki nasain nikal k aik he dafa aab e zaam zaam se dho k ye lagu'yaat nikal dun.

Kash main unko bta skti k Makafat e amal hamaisha un k saath hota hy. Jinki niyaat kisi b kaam ko anjaam dene k liye KHARAB ho. Ye to suna he hoga k aamal ka daro'madar hmaisha NIYAT pr hota hy. Tou jab koi b mard kisi b ghr ki izzat se khelta hy to wo lakh pardon main rakhy apni izzat ki ameen aurton ko. Allah ka teh kia howa qanoon hy k wo qarz us k apnay ghr se ada hoga. Allah se jang hy aisi batain kehna.

Subne apni qabron main apna hisaab dena hay. Ap ko kisne kaha hy k CALCULATING MACHINE le k ghr ghr phiro aur un aurton ki izzat aur haya ki percentages naptay phiro.

Ahtisaab kerna aur saza o jaza tajweez kerna Allah k kaam hain . Hum aam insano ko tou apni aamal ki kitab ki noak palaak sanwarney se he fursat nahi honi chahye.

Auraat ko her waqt tarazu main na tolain. Usay insan samjhain gajjer moli nahi.

Jo shaks apni nzron ki hifazat kryga us k ghar ki aurat Allah ki panah k hissar main hoti hain.

Mard bhi utna he gunagar hy kisi b gunnah ka murtakib ho k jitna gunahgaar auraat hoti hy kisi gunnah ko kerty howay.
Maine ajj tak koi hadees koi kahawat koi ayat nahi perhi jisme sirf "mard" hona bakshish ki wajah bna ho.

Mard ka bht uncha martaba rakha hy Allah ne. Baap ki sorat main, bhai ki sorat main, betay ki sorat main, shohar ki sorat main. Auraat ka darja mard se kam raakh k uski izzat main kami nahi ki gai hy. Balkay mard ko us k wajood ki hifazat k liye GUARD bna k uski nizakat ko naaz bukhsha gaya hy.
Izzatdaar mard uski b izzat kerta hy jiski izzat koi b nahi kerta.

Hmari society main mard ki pardaposhi k liye keh dia jata hy k ye to mard hy. Ya jawani main sb mard ye kerty hain. Matlab kisi b mard k gunah ki justification ye hy k mard hy.

Justifications duniya main chalaingi sirf. Kyoon k ye human made justification dunyawi jhooti tassali'yaan hain. Allah k yahan insaf ka tarazoo tulta hy. Jahan jins ka taayun kiye bagair aamal tolay jainge aur wahan hee'lay , waseelay kaam nahi anay. Na naam o nasb ki shujraay kam aney hain.

Fehmida Chaudhary arz kerti hain

Ker bhala ho bhala...
Berhta rhy
khair ka ye silsila...

Hoti nahi jinse hazam
Hmari khushi...
Khain wo Dabar ka Hajmola...😉😁😄

Written by Fehmida Chaudhary
28th june 2020

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.