Skip to main content

Ae duniya...

Meray liye zindagi bohat asan hogai hy jab se maine Allah ko apna humraaz bnaya hy. Ye room mujhay do(2) gaaz ki qabr jitna lagta hy jahan main roz apni khud ahtasabi kerti hun. Rang barang k kapray khareed k kabhi wo khushi nahi mili jo khushi khud k liye kafan khareed k hoi. Ab bus is kafan ki safaidi ko daag se bachaney k liye her wo amal kerti hun jis se iski safaidi main chamak aur ujla pan rahy.
Main bohat khush hun "ae duniya"
Tere baray main jab se sochna chora.

Apnay piyare marhoom aziz o aqarib ko esal e sawal k liye bakhshty waqt main apna nam b leti hun. Bara sakoon mehsoos hota hy khud k liye esal o sawab kerna. Rongty kharay ho jatay thy pehly pehel jab ye kaam shuru kia. Phr rafta rafta acha lagne laga k apni zindagi main apnay liye bhi maine kuch kia hy.

Sadqa e jaria ka bhi intizaam kernay ki koshish ki hy. Allah qabool farmaye aur apnay hifz o aman main rakhy. Ameen sum ameen.

Maine teen beej boye bina is tamana k keh mujhy b in beejon se phootnay walay lehlahatey darakht ka saya mileyga. Wafa, khaloos, diyanat dari k pani se inko seerab kia hy. Lalach aur tamah se dur rakhney ki koshish main b Alhumdullilah qamyab tehri hun. Hasad aur keena jesi bemari se mehfooz rakhney k liye bhi Allah ka der, dosron ki khushyon main khush hona, dua dena, acha ker k silay ki umeed na rakhna aur dosron ki izzat kerna aur ahsaan kernay walay ka ahsaan man k uska maan berhana wagaira se hifazat k liye bhi Emaan aur Akhiraat k der ka spray b waqtan foqattan kerti rehti hun. Abhi phaal anay laga hy aur mera guman hy Rab sabr ka, niyat ka hisaab rakhty howe bht shireen phaal dega InshAllah.

Allah is duniya ki buri nazr aur buri aab o hawa  se mere in pod,don ko bachaye rakhy. Ya hafeezu Ya Allah. Ameen sum ameen


Comments

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.