Skip to main content

Fir’oun (فرعون)




Wese he bethay bethay soch rahi thi k shirk ki sirf yehi nishani btai jaati hy k Allah k aik honay main naa’auz billah inkaar kia jaye ya phir RAB ka shareek tehraya jaye tou wo mushrik hy.

Laikin yaka yuk aik baat zehan may ai TOU kia phr wo shirk nahi hy jab hum kisi ko kehtay hain k tum khuda ho kya jo hisaab kitaab ker rhy ho.? Jab k Khuda ki sift tou raheem o kareem hy. Jab k koi b aisa shakhs jo Allah ki wahdaniat ko challenge kerta hy wo FIR’OUN hy. Hisab kitab ka din muqarar hy aur hisab lene wala bhi Wohi Rab e Kainaat hy. Mene tou kahin nhi perha k hisab koi wali, pegumber, ya nabi lega, na he koi farishta is kaam ko kernay k liye muqarer kia gaya hy. Rizq aur mout Allah k haath hy. Jitna rizq likh dia gaya us se aik nieala oper milay ga na he aik niwala kam. Jo raat qabr main likhi hy wo wahin muyasir hogi. Pata nahi kis bat ka garoor hy insaan ko. Us ilm pe itrata hy jo dia bhi usi Rab ne hy.

Allah ki raasi daraz hy per aik jhatka sbki akr nikal deta hy. Dair kerta hy tah k insan waqt pe sambhal k simt badal le. Yaqeenan us k ghar andheer nahi.

Jo log sabr ki sil dil per rakh k sabr kertay hain un k liye kainat ka zarah zarah Allah se uski sifarish kerta hy. Jo log badlay aur hassad ki aag main jaltay hain un k liye samjho unkay seenay main he jahanum jesi dehekti aag sulagti rehti hy. Jab intikam ki aag itna chalta phirta insaan jala k khaakster ker deti hy tou jahanum ki aag tou phr kia he hogi.

Magar hum sb dosron k liye safaak bn jatay hain aur apnay liye maufi k khawast'gar. Firoun bn k logon ko judge kerna chor dain. Apni tyari pakrain kyoon k main apki qabr may aur aap meri qabr main nhi janay walay. Aur wahan Allah b wohi kryga hmare saath jo hum duniya main logon k saath krty hain.

Ana k maray baray baray firoun mout k agay dhair ho chuky hain. Jald ya baa'deer hmari appki baari b anay wali hy.

Written by Fehmida Chaudhary
1st june 2020

Popular posts from this blog

Bolo na....

Akser aisa kyoon hota hy k jin khushyon ki hum tamana krte hain wo milne ka time jab aata hy to tishnigi berhne ki bajaye...hum khud ko mehsoosat se aari mehsos krte hain...Kis qadr pather ho jata hy insan pathron k sheher me reh k...Dekha gaya hy k jo log ajj behiss ya pather hojate hain wo kabhi bht he ziada hassass howa krty thay...apnay se ziada unko dosron ki perwa howa krti thi... Ye duniya aisa kr deti hy aisa kabhi socha bhi na tha...yahan rishte se ziyada paise se pyar kia jata hy....khaloos se ziada , matlab se mila jata hy...sach se ziada, jhoot per aetibaar kia jata hy... Tou kia bura krti thi main k maine in sb se dur rakha tha khud ko...kia bura kia tha k tmne mujhy mere tanhai k taj mehal se la kr is duniya k zandaan me la k khara ker dia...yehi dosti thi, yehi wafa thi, yehi pyar tha tmhara??? Bolo na....??? Fehmida Chaudhary 16 June 2014

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may ...

Bey'niazzi v/s behissi

Kya kaha...??? Main behiss hun??? Tumhain main hiss se aari lagti hun?? Wo jhunjhulaye howe andaz main chir k boli. Pehlay main hansti bolti thi to sb kehtay achi larkiyaan khamosh rehti hain. Maine kaam bolna shuru kerdia balkay youn kaho k ab zarooratun he bolti hun. Her insaan k sochnay ka andaz mukhtalif hota hy. Main kisi b behes main hissa leti to dosry ko b moqa deti bat ka. Apna apna point of view hy keh k bat khatum ker deti. Logon ko lgta main apni chalati. Phir logon k liye mene sun'na shuru ker dia. Apna point of view meray apny pass he store honay laga. Main khamosh reh k kisi ki sun k uska maan to berha sakti hun per jis bat pe dil o demagh raazi na ho. Main haan main haan nhi mila sakti.phir b koi khush na howa. Jo kaam kbhi mene kia he na ho wo b mujh pe daag dia jaye tb bhi chup... kisi ko lagta main taiz hun , kisi ko lagta upper chamber he khali hy...kisi ko janooni lgti tou kisi ko nafsiati. Main chup sunnti hun. Hansti hun khoob hansti hun.  ...