Skip to main content

Life Resolution (InshAllah)...

Allah Pak insaan ko us k gumaan k mutabiq he ata kartay hain. Pehle main samajhti thi k iska matlab hy jo b dua krogay wo sb pori hongi. Nahi nahi iska ye matlab nahi hota. Gumaan ka sara ka sara daro'madaar YAQEEN per hota hy. "Yaqeen hy" her insaan yehi kehta hy per yaqeen honay ka bhi sara daro'madar isper hota hy k yaqeen ka mayaar kia hy?
Yaqeen ka mayar ya to MAZBOOT hota hy ya KAMZOOR. Jinka yaqeen mazboot hota hy unki ya to sub duain maqbool hojati hain aur rahain hamwar ya phir us insaan ki khawahishain k rukh aise more diye jatay hain k jab nateejay per hum WALLAH kehtey hain na to banda manta hy k mojzay bhi hotay hain. Aur yaqeen kamzoor rakhne walay log hamaisha kashmakash main he rehtay hain pata nahi Allah pak madad kraingay k nahi.
Mojzay lafz pe akser log mjhy tamuskurana andaaz main dekhne hain. Aur khawab o khayal main rehni wali k taney b martey hain aur ye bhi kehtay hain k zamana wo nahi.
Per kya kisi k knowledge main ye baat hy keh MOJZON ka taluq pichlay zamanay se he mansoob ker k kaha gaya ho keh naye zamany walay is se mustafeed nahi hongey?
Faraiz aur haqooq ka bhi silsila jura howa hy yaqeen se. Jab ap faraiz poray kertay hon aur haqooq na mil rahy hon to umeed kisi insaan se nahi lagani. Allah ki raza ki khatir, mohabat ki khatir, tawajaah ki khatir, sirf aur sirf us k liye sb nibhao to wo bhoolta nahi hy. Kabhi bhi. Hamara hisaab chukta ker k rehta hy.
0Maine haqooq ki shart pe kabhi faraiz nahi nibhaye aur na silay ki umeed rakhi per bilbila jati thi jb agay se burai milti. Per ab mera apnay RAB se promise hy keh main pori koshish ker k ye adat chor dongi. Mera gumaan strong hy to ye sb mjhy zaib nahi deta. Allah ki khushnodi k liye bus. Meray gumaan ki had bs mjhse mere RAB tak (InshAllah)
Written by Fehmida Chaudhary
17th October 2019

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.