Skip to main content

Posts

Showing posts from 2015

Raat dhalti rahi....

Ye saal bhi udaas raha , roth ker gaya... Tujhse milay bagair december guzar gaya... Ajj bhi tery arial mizaj ki terha terhi yaad bin bulaye mehman ki terha meri tanhai main mokhil howi...Meray jism k aatishdaan main tanhai ki aag main mera dil, sookhi lakriyon ki manind jalta raha... chand chamakta raha..., raat dhalti rahi...main sulaghti rahi... Fehmida Chaudhary 31 December 2015

Bohat he shauq tha tumko...

Ab kia howa hay ? Tumhain meray bolnay say  bhi problem thi aur ab na bolnay say bhi.... Kaha bhi tha k mujhay aik khawab he rehnay do ...ik aisa khawab jo tabeer say mehroom hota hay...apnay gird kis qadr mushkil say onchi faseelain tameer ki thi mene ... na main aar dekh sakti thi na paar...per tum to hatdharam thay na...dandanatay howay bila ijazat faseelain masmaar ker k meri zaat k sehra main pani ki bond ki manind a k meri tapti rait jesi zindagi ko sairaab ker gaye... Kaha tha na taqdeer rothi howi rehti hay mujhse...per tumhain zid thi k dua se ye bhi badalti hay...Kaha bhi tha k bohat khardar hay zindagi...per tum phool k shaidai aur phool ki fasal lagane k dawaydaar bhi....per kia aya hath...khaar der khaar he na... Bohat shauq tha tumhain mera dil dukhane ka...dekho ab kuch bhi ho ye mera pather dil na rota hay na hansta hay...ye pather he ho gaya hay..na nafrat na mohabat is pather ko phigla sakti hay na he koooi manter taweez hay is ko moam kernay ka... Tum k

Mohabat daagh jaisi hay....

Mohabat phool hoti hay per ye khaar jaisi hay....Mohabat roshni hay per ye daagh jaisi hay....Mohabat khushboo hoti hay per ye raakh jaisi hay...Aik bar raakh ki kaaluk lag jaye to insan ta umer is kalak ki siyahi ko mita nahi sakta...Mohabat zindagi hoti hay per ye moat jesi hay....Mohabat nam hay abad kernay ka magar ye akser youn he barbad kerti hay...youn to ye shaf'faf hay kanwal k phool ki trha ...per akser ye dekha hay k ye sangsaar kerti hay... Maine jo ab tak dekha hay....Mohabat azaar hay jan ka ...wabal e zindagi hay ...janjal hay jee ka... Fehmida Chaudahry 22 December 2015

mujhay zindagi nay mara hay...

Jo shakhs sub k liye achay buray waqt me saath khara hota hay...jab uska waqt ata ata hay to hamesha khud ko tanha he pata hay...rishta koi bhi ho...chehray badal jatay hain per kahani aik si hoti hay...jab tak ap mukhlis ho ap logon k hath main khilonay ki manind ho ... aur apse faida uthanay walay apna waqt bhool k ap per ungiliyan uthatay rahain gay...ap bus aik dustbin k manind ho....jis k naseeb main kachra he kachra hay .... Maine duniya se ye seekha hay k ap k apnay liye asool kuch aur hotay hain aur dosron k liye kuch aur..aur shayad aisay log he kamyab bhi hotay hain...jhoot faraib matlab parasti he aik insan ko kamyab kerti hay... sacha mukhlis bematlab insan duniya ka bewakoof tareen insan hota hay... Marna bohat zaroori ho jata hay jab insan khud ko jeenay k mayaar se kam pata hay...mujhay bhi marnay ki chah hay ... moat to shayad ik bar aziat deti hay per ye zindagi her din  her lamha her soo aziat he aziat deti hay... Per hairat to ye hay keh mujhay to moat ne nahi

Titli c larki.aur..duniya saanp jaisi hay....

Tum na samjho gay , mere dil per kia guzarti hay... Tum ne dekha nahi aalam meri Tanhai ka.... Maine kab socha tha jeenay ki chah aur muskurane ki khawahish mujhay itni mehngi paray gi k uski qeemat meri rooh ki mout hogi....kab socha tha mehfilon k bajaye tanhai ki aag main jalna hoga...kab socha tha maine k phoolon ki chah main kantay muqadar honge....kab socha tha k roshni ki deewangi main andhaira mera naseeb hoga... Zindagi ki talash main main dukh nagri k akhri kinaray tak gai per kuch bhi hath na aya....dil chalni...zaat raiza raiza....pather soch se apna ap he sangsaar hoga.... Fehmida Chaudhary 13th December 2015

Baray ghum aur chotay ghum

Pehlay main samajhti thi k ghum chotay ya baray nahi hotay .... ghum to bs ghum hotay hain....ye ghum na hon to yahan insan kabhi bhi insan na rahay...ye ghum na hon to khushi ko koi shanakht he na karay.... Ik umr guzar k main nay to ye jana hay k chotay chotay ghum wahwaila kertay hain....shor machatay hain , aur baray ghum insan ko khamosh bana daitay hain...shayad isliye k khamoshi ki chaon main he insan sabr aur bardasht ki manzil teh ker k amer ho jata hay.... Meri khamoshi ki wajah pochnay walay shayad ye nahi jantay....keh.... Baray ghum to akser khamosh he howa kertay hain.... Written by Fehmida Chaudhary 25 Novemeber 2015

Tumhain kisne kaha tha....???

Suno ....!!! Tumhain kisne kaha tha k bakhton ki maari arse se soi howi shehzadi k jism ki soi'yaan nikal do. aur jab sirf ankhon ki soiyan baqi reh jain to duniya ki rangeeniyon ko dekhne ki aarzo may mubtila shehzadi ki ankhain he phorr dalo.... Tumhain kisne kaha tha raakh hote howe wajood ko samait k putla bna do....Tumhain kisne kaha tha be'aetibariyon ki shikar us shehzadi ko aetibar ki wadi ki sair kerwa k raasta bhatka do....Suno Tumhain kisne kaha tha...? Tumhain kisne kaha tha pather ko moam ker dalo...Tumhain kisne kaha tha jism k zandaan main rozun bana do.... Per ajj main kehti hon mera raiza raiza samait k mujhay yakjaa ker k bht dur chor ao...jahan main tum tak aur tum mujh tak kabhi na pohanch pao.... Written by Fehmida Chaudhary 19th november 2015 

Wo chand c larki Mar gayi hy jism k zandaan me.....

Kon kehta hy thokarain insan ko jeena seekhati hain? Sach to ye hy k ye insaan ko raiza raiza ker deti hain... Aur in raizon ko chun'nay wale hath zakhmi he hote hain... Kon hy jo khudko zakhmi ker k kisi k marte wajood ko sambhala day...? Wo kaanch sa dil rakhne wali larki jb zindagi k malbaay talay dab k sisak sisak k jaan de rhi thi to ird gird khare log uski jan'ka'ni ka ka salam dekh k guzarte rahay aur jb wo larki chund aur sans lene ki khawahish me zindagi ki bujhti chingari me jal k raakh hogai to. Ab log uski raaakh me zindagi ki ramak khojnay aur Usko jagane aye hain.... Kabhi khaak aur raaakh ko mujtumah kr saka hay koi? Khaak to band muthi se bhi pusaal jati hy... Raakh siyaahi k siwa kuch nhi deti.... Wo chand c larki B Mar gai thi apne he jism k zandaan me... Wo log jo be'moat marte hain na unki rooh younhe bechain bhatakti phirti hy zindagi k sehraon me...pyasay musafir ki trhan...janay ye pyas kab bujhay gi...Jane rooh ko qarar kb naseeb hoga...? J

Farq...

Mohabat do dilon ka sauda hota by.... Mohabat k is sauday me auraat k naseeb me khasara he khasara hy...Wo is rishte ki miraj k liye apni ana ko bhi soli pe cherha deti by...mitt jati by...apne wajood ko fana kr deti hy...?ohabat ki paich far galiyon me dakhil hote he pichlay raste k qadmon k nishan bhi mitta deti by....Ye jante bojhte bhi k he Sara sir ghatte ka sauda by... Hr karobar e zindagi ki trha mohabat me bhi mard nafay ka sauda krta hy...Wo jis raaste se sath chalta hy wapsi pe akaila wahan we guzrne pe koi ranj, koi pashaimani ka rang us k chehre pe nazr nhi aata.…nafay ka tajir nuqsan ka hissaydar kbhi nhi bnta..Faida hmaisha mard ka hota hy jahan se chalta hy wahin wapis ajata by.... Written by Fehmida Chaudhary 8th July 2015

Rabba'h mere dil da mehrum TU'n...

Haal e dil mehrum e raaz he jaan sakta hy...aur RAB se bara mehrum kon ho sakta hy...so usne apna sub kuch RAB ko he man ker zindagi ki dushwaar kitaab bnd ker k makafaat e amal department me shamil e dafter kerdi RAB k hazoor....aur waiting token le k beth gai result announce hone k intizar me... Wo kuch bhi nhi bholi thi...yadon k dareechy ab bhi dheehan me waa kiye howe thay...wo pehla khawab jo maa baap k angan main usne dekha uski bunyaad Quran Pak ki wo ayaat thin jis me "Naik aurat k liye naik mard hain"  ki naveed di gai thi....aur phir usne bachpan se jawani tk ka safar isi ko manzil bna k teh kia usne....per is khawab ki kirchiyaan naye safar k pehle din he choor choor ho kr ankhoon me paywust ho gai thin....aur uski ankhoon se behta armano ka khoon koi na daikh paye ki koshish me aadhi se ziada zindagi guzar di usne....jab jabhi sarkush dil ne waawela machaya ,,,, khudko zimaydariyon ko anjam dene me masroof kr k laho lahan dil ko mazed zakhmi hone se bacha lia

Aik dam khali DIL........

Kuch dil bohat khas hotay hain aur is dil k malik bohat khas ul khas....Amoman pagal dekhne wale ye log bohat diyalo hotay hain...in k dilon main mohabat ka jazba laba lab bhara howa hota hay... aur wo her khas o aam ko faizyab kertay phirtay hain...gairon per bhi aur apno per bhi.... Aur kuch logon main khudgurzi kot kot k bhari hoti hay...wo behiss hotay hain aur inhain apnay ilawa koi aur nazar he nahi ata...wo nafrat bantay phirtay hain...jesay in k ilawa duniya main her shaks haqeer hay aur tehkeer ka mustahiq bhi..... Mohabat lutanay walay log zindagi k aik mor per aker apnay ap ko badal daltay hain kyoon k wo her shaks ki asliat aur khudgarzi ko pehchan laitay hain aur un k liye ye he wo muqam hota hay jab wo apnay dil ko pather ker laitay hain..aur is pather dil ki charon atraaf ik faseel tameer ker laitay hain keh bahir ka koi shaks dil tak rasaai hasil na ker lay...kyoon k wo thak chukay hotay hain ....dhoka khanay se...perkhay janay say...azmaiye janey se....thukraiey ja

Umeed ka Jugnu.....

bohat mayoos lamhon main wo Jo teray Nam ka in umeed ka jugnu meri muthi main bund tha....aur....jaisay main dukh k , aazar k lamhaat main Tanha haalat se large howe kabhi kabhar muthi khol k is jugnu se roshni paati thi aur kul jahan se nibatne ka hosla bhi....aur wo roshni mere man angan main Charon janib chiragan kr jati thi... Us umeed k jugnu ko Maine rondh dala hy.... Wo umeed ka jugnu.... Jo mera wahid Sahara tha... Jo mera wahid pyara tha... Jo meri zindagi ki Bahaar tha... Phool tha... Aftaab tha... Jo kul asasaa e jaan tha... "HAY" se "THA" tak ka saffar itna mukhtasir bhi nahi k bhula don't sab kuch.... Written by Fehmida Chaudhary 15th May 2015

Kahan gai.....?

Abhi kuch din pehle tou yahan thi..Her waqt sajji sanwrey rehti thi...din ho k raat ho...khizaan ho k baahaar ho....akaili hun k dojja koi sath ho...khush hon k udas hun ....mjhay chori he Nhi thi kabhi....sath sath rehti thi....janay Ruth gai hy shayad...aur Ruthi bhi Aisi hy k wapis anay ka Nam he Nhi leti...wapis aye tou pochon us say "kahan gai thi ae meri Muskurahat.... Written by Fehmida Chaudhary 15th May 2015

Bohat udas hon main...

Zindagi say lartay lartay bohat thak gai hon main....ajj bohat udas hon main....dil kerta hay kisi aisi jaga chali jaon jahan se koi mujhay aur main kisi ko na dekh sakon...main sakoon se rona chahte hon..rote rote kisi achi yaad ko yaad ker k hasna chahti hon...ye meri bachpan se adat hay k rote rote hans perna aur hanste hanste ro perna...aur kabhi kabhi hanste he jaana aur phir betaa'haasha rote he jana...mujhay khud apni ajj tak samajh nahi ai hay...kabhi kabhi aisa bhi hota hay k hum khushq ankhon se bhi rotay hain...wo ansoo ankh se behnay ki bajaye ander he ander hamaray dil pe girtay hain...ye ankhon ka pani jab mustakil dil per girnay lag jaye to dil ko narm kernay k bajaye dil ko is qadr sakht ker daita hay k wo ansoo us pather jese dil main jazb to ho jatay hain magar us main koi narmi paida nahi hoti.. Mera dil bhi pather hay....is main jazb hain zabt k darya bohat.... Fehmida Chaudhary 9th May 2015

Apna pan....

Kon kehta hay yahan is duniya main zindagi apnon se hay...kon kehta hay k apna marta bhi hay to chaon main dalta hay ....apna is qabil chorta he kahan hay k ap dhoop chaon main farq mehsoos ker sakain...ye apnay hain to aag lag jaye aisay apnon ko...ye apnay hain to in se gair achay...kisi aik waqt to wo apna sahi chehra ya sahi roop dekha detay hain na...per ye apnay ye khoon k rishtay ye to chehray pe chehra  cher'ha k milte hain...kahan jaye insan...kis say faryad kry...kis k agay duhai day... Yahan koi kisi ka nahi hay....sirf kagaz k note he maa baap....behen bhai... dost hain.... yahan ab Allah ki ibadat bhi kon kerta hay...ab kagaz k noton ki parustish hay aur bus....itnay munafiq k bat kernay ko dil na karay...itnay faraibi k muh se bad dua niklay in k liye... apna ghum subse bhari lagta hay aur jo apni zaat se dosron ko deta hay insan wo ghum kia howa.... kahan hay amaan...kahan hay saibaan...kahan hay apna ...aur kahan hay apna pan.....is duniya main....??? ab sirf

Gunnahgaar...

Jab insaan mayoosiyon k athaa samander main doob jaye to usay koi bhi khushi ki ramak us andhairay say nahi nikal sakti....Kyoon k umeed k dhagay kachay he is qadr ho chukay hotay hain k khushi ki kashti ko khainch he nahi pate aur phir wo humse dor bht dor hoti jati hay... Apni zaat k mehvar k gird ghoomnay walay log duniya k tamam ranj o aalum say bachay rehtay hain kyoon k unko apni zaat main gum rehnay ki adat he is qadr ho chuki hoti hay k duniya me kia horaha hay iski parwa he nahi rehti.... Main jab tak apni dost thi ..apni raaz daan thi...tab tak totnay say mehfooz thi...jahan mere dost bante gaye  wahan kirchiyan hoti gain meri zaat ki...Main raang o boo ko apni muthi main qaid kerna chahti thi...per mere wajood k to sb rang he ur gaye...main nay samander kinaray rait ko muthi main band ker k khud ko bohat mazboot bohat taqatwar samjha magr jab muthi kholi to rait phisl k hatheli ko viraan ker gai...Maine jab kisi ko apna samjha wohi shaks meri zaat ko fana ker gaya...meri

Moat bhi zaroori hay....

Pehlay jab sochti thi bohat tab sochnay ko bhi bohat kuch hota tha...ab jab say sochna chora hay...khud ko halat k dharay per chora hay...kuch sochnay ko hota he nahi... Kon kehta hay zindagi seekhati hay....ye to bas imtihan leti hay ik zakht geer ustaad ki terha ...aur koi choice bhi nahi deti...her sawal he compulsory hota hay...aur hamain unhain na chahte howay bhi answer kerna perta hay.... Zinda rehna agercheh aik napasandeeda amal hota hay baz logon k liye lakin phir bhi jiye jatay hain...jab tak sans ki dor khud se nahi totti ya sath chorti uska... Moat bhi zaroori hay per kyoon k hum zindagi k aadi ho jatey hain to moat se ghabrate hain...halan k moat to sakoon ka aik safar hay jo zindagi k talatum zada hissay k bad sakoon ki agosh main insan ko lay leti hay...jahan aisa sakoon milta hay k insan zindagi ko bhool jata hay...per is k liye insan k shaur ki ankh ko parakh honi chaheye.... Fehmida Chaudhary 29 April 2015 

Ik khat Allah G k naam....

Meray pyare  Allah g apko to sub kuch pata hay k yahan kon kia ker raha hay...Main ye sochti hon k maa aur baap ka koi bhi naimul badal nahi hay...jitna wo apni aulad k saath mukhlis hotay hain utna koi b mukhlis nahi hota...jitne wo fikermand hote hain apni aulad k liye utni fiker koi bhi nahi ker sakta. Apni aulad ki takleef pay wo din raat ka chain ur sakoon kho daitay hain ... Un k labon pay hamaisha apni aulad k liye duain he hoti hain...Zindagi ki her khushi wo apni aulad k sir se waar dete hain....bina kisi badlay ki tawako k ...bina kisi silay ki umeed k .... Aur phir Allah Rab ul Kareem TU to 70 maaon jesa dil rakhta hay apnay bandon k liye...tou phir kabhi kabhi aisa kyoon lagta hay k TU hamain hamari bardash say ziada azma raha hay...Duniya main maa baap k marnay k bad sub k asal chehre samnay ajatay hain...Maa aur baap k bad ghar k baron per zimaydari ayad hoti hay k agar kisi chotay ko masla ho to bara behen bhai maa baap ban ker sir per hath rakhy...per yahan bara honay

Iss'teh'saal

Main auraat hon... main baap k liye rehmat..bhai k liye maan bana ker bheji gai...mujhay bohat fakhar hay k mere RAB nay mujhay Islam jesa mazab dia jahan aurat ko wo izzat de gai jo kisi mazhab main nahi...magar duniya nay mujhay her jaga apnay matlab k liye he istamal kia.....kabhi jaidad bachane k liye Quran se (Na'Auz billah) nikkah perha dia gaya ...kabhi kaari ker k zinda dafna dia gaya...Islam bohat pyara mazhab hay bohat asaniyan hain is main agr hum samajh pain tou...per hum be zameer log isay sirf apnay matlab k liye istimal kerte hain...islam Quran Allah Qasam ye sub totkay istamal ker k hum khudko aik bharpor musalman sabit kernay ki koshish kertay hain...hum raya kar log hain...kehte kuch hain...hotay kuch aur dikhtay kuch aur hain aur bat kertay hain MOMIN honay ki.. dawa kernay main hum sub bohat shair hain...per amalun hum kuch bhi nahi...

Ab sub durd raas agaye mujhko....

Pehlay kabhi kabhi jab koi takleef milti...koi durd deta ... koi faraib ya dhoka milta...jism o jaan ki aisi halat ho jati thi k kato to goya badan main laho nahi...her mausam apni raanai kho deta tha...sitaron ki roshni bhi madham per jati thi..chand ki chandni goya grehenzada mehsoos honay lagti thi...pasandeeda shairi se goya dil oobh jata tha...rang ba rangay libas bhi go beronaq say mehsoos hotay thay... Kabhi kabhi youn bhi hota tha k ye durd laho main shamil ho k badan main tofan sa macha rakhta tha....aur zaat k parukhche ur jatay thay dukh o durd k in zalzalon k anay say... Aur ab baray say baray dukh per bhi na ankh nam hoti hay na ..dil larazta hay....shayad ik khamosh ka samjhota teh pa gaya hay ... ya meray dil nay in ghamon say dosti kerli hay.. Ab her ghum ka main jashan manati hon Roti nahi hon ab... Bus muskurati hon... Fehmida Chaudhary 28th April 2015

Moam ki Guriya....

Main moam ki guriya thi...Jab tak moam ki trha thi tab tak her shaks jalata raha...moam phigh'lata raha ...Bina ye sochay k moam ki guriya k liye jal jal k moam se pighalne tak ka safar kitna ziat naak hota hoga... Ab pather hon to tou her shaks moam he samajh k waar kerta hay aur jab thoker se choat lagti hay to durd se bilbila uthta hay...Gillah bhi kerta hay k PATHER HO TUM.... Kitna farq hay na Pagli moam ki guriya.... Jab moam phighle jal jal k to koi ahsaas bhi nahi kerta tha...Aur jab pather se choat lagy khudko to bilbila uthta hay... Aziat to aziat hoti hay na... Durd bhi durd hota hay na... Zakhm bhi zakhm he hota hay na... Kasak bhi kasak hoti hay na..... Tou mera aur tera kyoon kertay hain log ... Kyoon ahsaas nahi kertay... Dukh aik se hotay hain na sub... Chotay aur baray nahi hotey... Dukh to dukh hotay hain ... Fehmida Chaudhary 27th April 2015

Mera saaya....

Bila akhir fataah sach ki howi hy...Allah janta hy sb....wo raheem hy, wo kareem hy... Allah k baad mjhy apne us saye se beinteha pyar hy jo mujhse dur ho kr bhi mujhy apne qareeb lgta hy...mujhse bepanah mohabat krne k bawajood wo mjhy btata nhi...mujhy dil ki gehrai se ye iqrar hy k duniya me mjhy us se berh k kuch azeez nhi....mera saya mera hamdam, mera monis e ghum... Fehmida Chaudhary 1st june 2014

Rooh k Qatil....

Qatal krne ki saaza qanoon main mojood hy,,,pr rooh ko kuchalne wale bila khauf o khater azaad ghoomte nazr ate hain...inhain koi saaza e mout kyoon nhi deta...koi daar kyoon nhi cherhata,,,koi harjaana kyon nhi lgata...ye khoon ashaam darinday wajib e qatl hain... Jismani Qatal ho to insaan ik baar he marta hy....per rooh zakhmi ho jaye to insaan paal paal marta hy,,,is zakhm ka ilaaj deryaft he nhi howa...khoon rishta he rehta hy.... Hay koi jo maqtool ko koi aas dilaye,,,qatil ko kafer e kirdar tk pohanchaye....hay koi???? Fehmida Chaudhary 7th june 2014

Funkaar log...

Ajj mujhay bht hansi arahi hy.....ik baat soch kr k zindagi main bhookay marte insaan ki koi sunega nhi...bad me us ki qabr ka mazar bana dainge, phoolon ki chader cherha dainge, gorkan ko us qabr ka khaas khayal rakhne ko kehdainge....per nhi kraingay to us insaan ki zindagi main us ki shunwai na krainge...us waqt ankhain andhi, dil pather hota hy...nam ankhain, bekhawabi, kisi k notice main he nhi aati...jhooty faraibi, makaar zehen is main bhi apna faida dhondte hain...zinda insaan ahsan le k bhool na jaye to isliye murdon k liye acha krte hain k maray howe ki do tareef kr k apna kia howa ahsaan jata sakain...funkaar log hain sb.... Fehmida Chaudhary 7th june 2014

Jise main chor deti hun usy bs chor deti hun...

Meri ye bachpan se aadat hy main jin logon se pyar kerti hn unki zarooriat, unka khayal, unki khushi bin kahay pehchan jati hun aur apna khaloos , waqt, pyar, kidmat me tun man dhun sb luta deti hn...maine kabhi na badla manga na he koi tawakoo rakhi...laikin in chehron k naqab tb utre jb kbhi maine inko pukara apne waqt me... Matlab parast ghinonnay chehre us waqt aise badal jate hain k jese jante na hun... Allah ne hr kam me maslihaat rakhi hy.... Jab hum kisi se dor hon to usme bhi hmari behtari hoti hy... Jo hamain agay k waqton me samajh aati hy... Naya raasta naya der ka ishara bhi uski naimaton main se aik hy....ab munkir kyoon kr hun in naimaton se....jo dhokaybaz hain unko bhi dekha dain k zindagi tmper tamam nhi....chalo ik nai roshni intizaar krhi hy.... Fehmida Chaudhary 8th June 2014

Ankhon ki gawahi....

In ankhon ki chamak mand per gai hai...ye ankhain gawah hain jb rishton ka ahtasal howa tha, jb na badal garja, na asman toota na he toffan aya...per dil ki basti us din se jo ujri to phir bas he na saki...kitni ankhon dekhi haqeeqaton pe lakh parday dalay, sabr kia, maufi b di per phir bhi qasoor dhokebazon ka nhi balkay in ankhon ka he nikla...kon hy jo nhi perh sakta in ankhon ki sachai...dil ki saadgi aur sabr ki intiha nhi jaan sakta....mera dil krta hy in ankhon ko apne hathon phor dalon jo khamosh gawah hain bs....mera muqadma larti he nhi...kese ujar banjer hogai hain per qufl kholti he nhi...khamosh sahay jate hain sb.... Fehmida Chaudhary 9th June 2014

Bolo na....

Akser aisa kyoon hota hy k jin khushyon ki hum tamana krte hain wo milne ka time jab aata hy to tishnigi berhne ki bajaye...hum khud ko mehsoosat se aari mehsos krte hain...Kis qadr pather ho jata hy insan pathron k sheher me reh k...Dekha gaya hy k jo log ajj behiss ya pather hojate hain wo kabhi bht he ziada hassass howa krty thay...apnay se ziada unko dosron ki perwa howa krti thi... Ye duniya aisa kr deti hy aisa kabhi socha bhi na tha...yahan rishte se ziyada paise se pyar kia jata hy....khaloos se ziada , matlab se mila jata hy...sach se ziada, jhoot per aetibaar kia jata hy... Tou kia bura krti thi main k maine in sb se dur rakha tha khud ko...kia bura kia tha k tmne mujhy mere tanhai k taj mehal se la kr is duniya k zandaan me la k khara ker dia...yehi dosti thi, yehi wafa thi, yehi pyar tha tmhara??? Bolo na....??? Fehmida Chaudhary 16 June 2014

Akhri khaat....

Bohat dokha delia apnay apko...ab nahi dena...ab apni zaat main phir gum ho jana hay...jese pehlay thi...yahan konsa hamaisha rehna hay...bari bari sub nay he jana hay...sahi nahi kia kisi nay bhi sahi nahi kia mere saath...maine Allah ko munsif bana lia hay...mera muskurana is bat ki daleel hay k main ne apna dil pather ka ker lia hay...jo log mujhay sata k rulana chahtay hain main unko un k maqsad main nakam kerna chahti hon...aur mera muskurana un k agay anay walay tofaan ki nishan dahi kerta hay....khamosh zuban, aur jab ankhon main ansoo sookh jain to asmaan se afaat uterti hain...baalain naazil hoti hain....aur aahain asman pe ja k dukhon k nishter bn k un logon per baraste hain jo hamara jeena mohal ker k rakhte hain...wohi dekh k marna chahti hon bs....us he manzer ki muntazir ho main... aisa jo kehte hain baray log wo sahi he kehte hain k muh se baddua denay walay se ziada khamosh aah se derna chahye ...ye bohat khaternaak cheiz hay....is ki mar bohat buri hay....bohat buri...

Meri sukh dukh ki SEHAILI.....

Zindagi main kisi bhi purkhuloos shaksiat ki mojoodgi ap k mushkil se msushkil waqt main BOHAT BARA sahara hoti hay... Jab ap bohat ziada aziat main hon....itni aziat k khud apnay ap se bezar ho jain...zindagi se nafrat si ho jaye...ap logon k diye durd ko khamoshi say sahay jain...aur khud apnay ap say bhi bezaar ho jain...jab ap k pass koi bhi na ho...na hamdam na hamdard na ghumgusaar...ap kisi ko apnay dukh se aagah kernay say bhi derte ho...aur akhri sahary k tor per ap k pass qalam aur kagaz he bacha ho...aisay main kisi din kisi meherban ki dastak say apne ap main gum ap chonk k apne zinda honay ka yaqeen kerte howay...yasiat bhari beyaqeeni k saath us se batain kerte ho...rafta rafta zaat ki sari pertain kholte jate ho....

Apni zaat se wafadari....

Hum sari umr apnay ird gird k logon ko khush rukhnay main masroof rehtay hain... Aurat k hissay main ye farz mardon ki nisbat ziada aya hay....main bhi aik aurat hon...tamam umr rishton ko khush rukhnay ki balli cherhne wali aurat....mujhay ghar ko dekhna hay...zara zara chamkana hay...kapre dhonay hain...kapray istre kernay hain...khana banana hay aur wo bhi gazaiyat se bharpor...her shaks ka konsa waqt sonay ka  hay konsa waqt jagne ka ye bhi dehan rukhna hay...mujhay mohabaton k izhar bhi kernay hain aur her aik ki mohabat uski zaroorat k mutabiq sb main taqseem bhi kerni hay...mujhay sub ki pasand napasand bhi maloom hay... Main in sub kamon main taq ho chuki hon per is ghun chakker main aik cheiz main nay siray se he faramosh ker rakhi hay....raat ko thak haar k jab sonay ki koshish kerti hon to meri adhori khawahishat meri samne bain kerti hain..mujhse apnay hissay ka waqt talab kerti hain...mujhse nazr andazi ka gilla kerti hain....mujhay aalam e faramoshi say haqiqat ki duni

Pather bana dia mujhay....

Kehte hain jo zindagi k aik mor pe aker bohat behiss aur pather dil ho jate hain wo gaey waqton main narm dil aur her aik k dukh ko apna dukh samajhne wale reh chukay hotay hain... Zindagi ki choti choti juzyat se khush honay wale ye log aik mor pay aker sardmoher kyoon ho jate hain...kyoon in k dil pather ho jate hain...? Bat ye nahi k ye log zindagi say bezar ho jatay hain...baat ye hay k ye bar bar apna dil toot janay se aur aetibar kirchi kirchi ho janay say jo takleef in k tan man aur rooh ko ghaow lagati hay ..us se tang a chukay hotay hain...in ki sochain  himmat aur aetimad ka khoon ho chuka hota hay...Ye her us shaks se dur ho jana chahte hain jo inhain apnaiyat jataey ya apne oper aetibar kernay per majboor kry....ya apni mohabat ka yaqeen dilanay ki koshish karain.. Mohabat ka jazba in k liye mehez lafz ban ker reh jata hay kyoon k ye hissiyat aur jazbat ko jism k qabristan main dafan ker k usko kufl laga k uski chabi waqt k samander ki teh main phaink atay hain.... Fe

Mujhay hansne ka shauq tha.......

Main deewani pagal mansh bandi....aik acha shair perh k behel janay wali....chand ko dekh k khush ho janay wali...soraj ki kirno k ujalay se roshni paa janay wali...kabhi besakhta kehkahay lagany wali aur kabhi ansoon k derya bahaye janay wali...kabhi badal garajne se sehem k meharban kanday ko talashti nigahain kabhi barish ki boond se apni rooh ko seraab kernay ki dewani ki khawahish kerti howi...wo pehron sochtay rehna aksar he be tuki baton pay....wo kabhi bari se bari bat ko yak dam jhatak dena.. Wo jiska pehla ishq shairi tha...wo jise khobsurat chehron se nahi khobsurat sochon se pyar tha. Wo dusht e zindagi ko uboor to ker ai hay magar ab wo moam se pather ban gai hay...Wo aksar ye sochti hay....Mera qasoor kia hay.......? Main ye bhi jaanti hon mager....Mera qasoor kia tha..... Mera qasoor ye tha .... Mujhay hansne ka shauq tha............... Written by Fehmida Chaudhary

Akhir aisa hota kyon hay....

Main ro rahi hon aur ye aanso tawater se meri chehray se ho k mere dil per ja k gir rahay hain... mujhay samajh nahi araha hay...ye duniya akhir hay kia balaa....Dikhti kuch hay...Hoti kuch hay aur Nazr kuch aati hay.... Zahir aur batin ko aik rakhnay k chakker main maine aik zamanay ko apna dushman bana lia...per zahir aur batin k aik honay say kisi ko kia farq perta hay... log jesay khud hotay hain unhain dosra bhi wesa he nazar ata hay....Maine ye bhi dekha hay k apni zaat main jo aeb mojood hotay hain hum dosron main uski kuraid kertay hain aur na sirf kuraid kertay hain uski bila mawafza tasheer bhi kertay hain...Hum her wo kam kertay hain jo hum dosron k liye shajr e mamnoa qaraar de chukay hon..Hum her shaks ki dukhti raag per hath rakhna apna farz samajhtay hain... Ranj aur durd is baat ka hota hay k akhir aisa hota kyoon hay.... Fehmida Chaudhary 14/4/2015

Naa tamam khawahish....

Shehr e Khamoshaan main lagay ye ja ba ja nanhay nanhay podhay aur kuch faslon pe Astadah ye tanaver darakht dekh k main ye sochti hun k is banjer zameen pe inki mojodgi kahin in aramgaahon main soye bejaan logon ki naa taamam khawahishon aur adhoree arman to nahi..? Kia pta ye apni haryaali k liye namoo inhi se sainchtay hun..? Koi kia janay yehi sach ho.... Fehmida Chaudhary  31 Oct 2014

Mohabat...

Her shaks ki zindagi me mukhtalif qism ki priorities hoti hain... Jin k mutabiq wo apny shab o roz ko tarteeb deta hy....aur unhe k liay bhag dor bhi krta hy...fursat k lamhay mohabat krne k liay mukhtus hote hain...mohabat bheek ki trha khali kashkol me kuch dair itrati hy, ithlaati hy, phir murjhati hay aur sokhy pattay ki manind hawa me ur jati hy....kabhi idhert kabhi udher...kabhi kisi pair k neechay aa k churcharati hy....kabhi benam manzil ki traf belagaam hawa k saang chal prti hy....kisi khanabadoosh ki trha.....aik thikana nhi hota iska..... Fehmida Chaudhary 5 june 2014

Ujray howe log...

Ujray howe log, maslay howe gulab ki manind hote hain....masuck zada patiyaan dekhne me apni khobsurti kho deti hain pr inki khushboo der tak un qatil hathon se aati hy jo inhain masal k be shanakht kr dete hain... Fehmida Chaudhary 7th june 2014

Adhoori Auraat....

Ye jo sadyon se mere wajood me palta dukh meri raag o jaan ko kat raha hy...meri rooh ko chulni chulni kiye jata hay ik muddat sy...Be'zaar, Be'raang din, Be'Kaif ratain aur Be'maqsad hayyat hy... Mere pass waqt he nhi apne liye, kai roz bad aaina bhi na dekhon to khud apne aapka aks bhi shanakht na ker paon... Main apne din bhaar ki thaakaan apni rooh main utar leti hun...Udasi aur bebasi berh jati hy aur tanhai ka ahsaas apni puri shiddat k saath hamla'awer hota hy... Sakoot e shab k andhairon main jab sitary muskurate hain...meri ankgon k kinaray aansoo'on se jhilmilatay hain... Wafoor e qurb se alfaaz labon per he jhulus jate hain... adaigi ki nobat tk pohanchtay he nhi... Mujhay apne jeene k liye bhi saansaain derte derte dosron ki ijazat se mus'taar leni prti hain... Mera dil jab khoon k aansoo rota hy...meri nazrain kisi meherban ko dhondne dor tak jati hain aur phir khali khali lot aati hain... Mere ander se phir khud he aik malamat ki sada aati

Ravaiye.....

Teesri manzil ki khirki se roz bahar ka manzer dekhti hn.... Qareeb he had e nazar tk phaila howa haryali se muzaiyun shehr e khamoshan nazr ata hy.... pehle mitti ki dhairi c hoti hy phir sang e mar mar se us qabr ko saja dia jata hy... Mujhy hairani hy k zinda logon k saath murdon ka sa salook krne wale log... un k marne k bad unki qabr ki sajawat kr k tamam ter haqooq se muberrah ho jate hain... Fehmida Chaudhary 30th March 2014

Ye duniya.......

Janay ab kis daes milaingay onchi zaaton walay log... Naik nigahain, sachay jazbon ki sogaton walay log... Waqt ki urti dhool main apnay naqsh ganwae phirte hain... Rim jhim subhon, roshan shamon , resham raton walay log... Ik bhikaran dhond rahi thi, raat ko jhootay chehron main... Uljhay lafzon, sachi baton ki khairaton walay log... Insaan ko ashraful makhloqat banaya gaya hay...Tamam jin o anus aur degar makhlooqat say afzal kaha jata hay k insan pehle bander ki terha dikhtay thay ...aur phir ahista ahista mosami tabdiliyon k sath banderon jaise dikhne walay insano ki shakl main dhalnay lagay. Ajj ka insan dikhne main bohat khobsurat hay. Dil main kadorat , hasad ka jazba liye munafiqat se bharpur zindagi jee raha hay. Branded ushya kareedne wala aur aala 4 wheel drive main ghoomne wala, wasee lawn aur mehel numa ghar main rehnay wala . Her cheiz ka mayar parukhne wala insan khud aala mayaar ka insan nahi ban pata. Burai hamaisha aik siyaah nuqtay say shuru hoti hay aur phir pori k

Muqadder soo bhi jatay hain.....

Kisi rothay howay dost ko manana asaan hay...Kisi bigray howay kaam ko sanwarna bhi mumkin hay magar baaz dafa muqadder rooth jatay hain...Aur rooth k so bhi jatay hain...Aur wo bhi gehri neend...Aur is gehri neend se jaganay ka na to koi manter hay aur na he koi ilaaj... Koi minat simajat na he koi hilla bahana kariger hota hay....Bara he man moji hota hay ye muqader...Bigarta hay to sanwarnay ka naam he nahi laita...Narootha pan iski fitrat main jesay Allah nay likh dia do... Bohat he kismat walay hotay hain wo log jo kismat k dhani hotay hain...Jo mitti ko bhi haath lagatay hain to wo sona ban jati hay... Manzil tak pohanchnay k liye musalsal koshish ....Allah ki zaat pay mukammal yaqeen aur lagan honi chaheye....Bagair mehnat k koi cheiz hasil nahi ho sakti....Lagan...Justujo...Koshish....aur Khaliq e kainat per mukamal yakeen ....Her namumkin ko mumkin bana deta hay.... Rab raazi to sub raazi....Usko manana koi mushkil kam to nahi...... Written by Fehmida Chaudhary !4th December

Meray Alfaaz rotay hain.....

Kehnay ko to asan hay k dil o demagh ki tamam ter sochain aur batain kirtaas e safhay per muntaqil kerna per is kaam ko anjaam dena utne he mushkil bhi hay...Dil o demagh ki lakhon batain likhtay likhtay kalam ki noak per aaker teher c jati hain...Aur baaz dafa ye batain seenay main he dum tor jati hain ....Aur inhain wajood main aanay se pehle he kafna dia jata hay....Alfaaz ki moat soch ki moat hay aur soch ki moat khud insaan ki roohani moat hay ....Soch ka nikhaar rooh ko nikharta hay aur rooh jab nikherti hay to chehray ki aab o taab aur nikhaar dekhnay se talluq rakhta hay.... Chehray per ul'howi chamak rooh ki pakeezgi aur alfaaz ki sachai say samnay aati hay... Aur jab main sachay kharay lafzon ko kalam se safhay per bakhairti ho to aisa lagta hay k ye kaghaz geelay hain aur meray alfaaz rotay hain .....Aur inhain apnay ansoo'on se bheegotay hain....In alfaaz ki berson main nay apnay zehan k teh khanon may perwarish ki hay...Mujhay in se wesa he pyar hay jo ik maa ko

Kab....??? Kon ? Kisi ka hota hay....?

Dekha jaye to duniya main her shaks tanha hay laikin is zaum main mubtila bhi k ik zamanay hay mera...Jab k yahan per her shaks khud apnay he madaar main gardish ker raha hay ....Uski shuru'aat apni zaat say hoti hay aur khud apnay ap per aker he khatum ho jati hay ....wohi baqol shayer... Her shaks khudi k aalam main bus apni khati jeeta hay..... Hum insan jab say takhleeq howay hain ....Tijaraat k pay'shey se wabasta hain ...Hum lamhay lamhay main tijarat kertay hain ....Roz marrah zindagi main...Rishton main....Jazbon main...her jaga tijaraat he tijaraat ...Hum tijaraat bhi aisay kertay hain jese paidaishi tajir hon.... Hum pyar k badlay pyar mangtay hain ...nafrat k badlay nafrat ka he perchaar kertay hain...Qurbani detay hain tou phir dosron say apnay liye qurbani mangtay bhi hain ...Aur yehi wo waqt hota hay jab hamain pata chalta hay k yahan kon kisi ka hota hay ....Sub matlab parast aur matlabi hain aur us waqt hamain pata chalta hay k hum tanha he thay aur rahain gay.

Khamoshiyaan bolti hain.....

Khamosh rehna aur kuch na kehna...khud dil he dil main apnay ap say batain kerna...khud he sawal kerna aur khud he jawab dena...Apnay ap se ulajhna aur khud he sare maslay ko hal kerlaina....khud ki khud say jang....khud he fateh aur khud he maftooh...Her guthi khud he uljhana aur khud he suljhana... Bari munfarid si jang hay ye...Aur is jang ki ibtida to hay per inteha nahi.... Apni zaat ko pert der pert parukhna aur zaat ki her zaviye say nok palak sanwaarna koi asan kam to nahi...Janay kesay logon ko waqt milta hay dosron ki justujo aur aebjoi ka keh yahan to hamain khud ko khud dse he fursat nahi milti.... Achi hon ya buri hon jesi bhi hon main... Main khudko nahi dekhti auron ki nazar say.... Sub kuch is faani duniya main he reh jana hay...Koi kisi k saath na jayega...sirf aur sirf niyat ka phal saath jayega... Written on 3rd December 2015

Farq...

Ye bhi Rab k karam ki intiha hay k rizk Usne apnay hath rakha hay. Razik wohi hay jo Usko mantay hain aur wo Unko bhi deta hay jo Usko nahi mantay.... Jo agar rizk Allah insan k haath day daita to koi kisi ko khanay ko bhi na deta...Na he kisi dosray ko khatay dekh sakta...Log apnay liye godaam banwa k us me zakheera ker laitay... Aur koi bhooka marta hay tou unki ballah say.... Yehi fark hay Allah aur aam insan main...Wo Raheem o Kareem hay aur insaan zalim....Us Rab ko sab ki fikar hay kyoon k usay apni Khalkaat say pyar hay aur insan ko sirf aur sirf apnay ap say...Aur ye fark asmaan o zameen k fark k baraber hay.... Hum Allah Tallah se ye umeed rakhtay hain k Wo hamaray aebon ki pardaposhi karay ....Jab k hum khud dosron k aebon ki justujo main rahte hain....Hum her maumlay main Allah Tallah say maufi ki umeed rakhte hain aur khud itnay bukheel hotay hain k kisi apnay he jasay dosray insan ko mauf karnay k mauhtamil bhi nahi hotay...Allah malik hotay howay bhi mauf ker deta hay au

Zindagi zeher k amrit

Zindagi aik he baar milti hay aur aik he baar hum isay jeetay hain...kabhi hans ker kabhi roo ker ...aur kabhi kabhi khud ko zindagi k dharay per chor detay hain...hum logon se umeedain rakhtay hain aur unse he wabasta ye umeedain hamain torti hain ....Hum baar baar tottay hain aur phir wohi amal dhoratay hain....Jis se rujo kerna chaheye usi ko bhool bethte hain...wohi jo hamaray achay main hamain yaad nahi rehta wo hamaray buray main bhi hamain nahi chorta ...Us ki taraf palatne ki baat hay...jab wo haath tham leta hay tou hamain kisi aur saharay ki zaroorat rehti he nahi.....waseelay wo banata hay ...saharay bhi wohi deta hay...kabhi kisi sorat kabhi kisi...wo hamain kamzoor say bahadur bananay k is amal main hamari her tarah ki azmaishain bhi leta hay...per wo logon ki terha mukamal tor per hamain chor nahi deta...aik ungli wo hamaisha he thamay rakhta hay...k us ki mohabat ki garmi bhikray howay insan ko loo deti rahay.... isi loo per tap k kundan banta hay insan....

Rishta

Duniya ka sab se khoobsurat rishta wo hota hay jahan apas main ana ya main nahi hoti ... jahan fasla doriyan honay ki bawajood sirf aik muskurahat se ...sirf kisi aik k baat ker lainay se sub kuch pehlay jesa ho jata hay...log aisay logon ko pagal samajhtay hain ya aisa samajhtay hain k un me self respect he nahi hoti ...jab k aisa nahi hota... Jitni bari bari batain ki jain ....jisne nahi samajna nahi samajh paye ga...ye tab he samajh ata hay jab ap khud is amal se guzro...Hum khoobiyon walay shaks ko uski khoobiyon ki wajah se pasand kertay hain aur aisay shaks ko bura samajhtay hain jo apni khamiyan bayan kry....nadan log chamakti cheez ko sona samajhtay hain ...ajj wo dor hay jismay log apnay apko her terha say perfect samajhte hain aur dosron main khamiyan nikaltay hain.....tou azeem to wo howa na jo khud apni zaat k aib bayan kry...pagal logon ki mantaq bhi sirf pagal he samajh saktay hain.....

Ahsaas...

Dekha jaye to insan ki fitri moat tab hoti hay jab wo tibi tor per moat se hamkanar ho jata hay ...per der haqeeqat ye moat to sakoon ki neend ka dosra nam hay ...jab k asal moat to insan ko tab ati hay jab wo ahsaas se aari ho jata hay...ahsaas us waqt merta hay jab insan jeetay jee zindagi se bezaar ho jata hay...Zindagi itni takleef day hoti hay tou moat ka aalam janay kia hota hoga... Jo log zindagi k aik marhalay per aker behiss ho jatay hain wo zindagi k kisi daur may bohat he ziada hassaas hotay hain magar duniya ki thokerain , faraib aur dhokhay unko ahista ahista pather dil aur phir aik bejaan ahsaas say aari putla bna k chorte hain...aur us putlay per kisi cheiz ka , rawaiye ka , mausam ka,,, dukh o khushi ka koi asar nahi hota .... Fehmida Chaudhary 22 December 2014

Teesra jazba....

Main to ye samajh ti thi k jazbay do trha k hogay hain...ik mohabat ka aur in nafrat ka... Meri mohabat k samander ka koi kinara he nahi tha...ye beloas behta rehta tha...Na janay kyoon mohabat jinse hoti hy...nafrat phir Usne ho Nhi Sakti... Mohabat akser kho he jati hy...is k muqader main Allah ne adhurapan he likha hy...Mohabat mil bhi Jaye to usay khona he perta hy....Mohabat baanjh hoti hy...Mohabat ki Kali khil b Jaye tou phool is se Nhi khilta.... Mohabat seraab hy shayad....Mohabat khawab hy shayad... Ab aik haqeeqat ko Maine bohat kuch khola k Jana hy keh Mohabat aik jazba hy... Nafrat dosra jazba... Per Jab na mohabat ho Na,nafrat ho tou... Jazba teesra bhi hy... Haan ye jazba wo hy... JAHAN PER KUCH NAHI HOTA... Written by Fehmida Chaudhary