Skip to main content

Posts

Showing posts from November, 2011

Banjer Zameen.....

Insan jis cheiz ko jitni shidat say chahta hay...Us k baray may utni he shidat say adam tahafuz ka shikar ho jata hay... Us shaks ya cheiz k chi'in janay k khauf k but't ko na tou wo masma'r ker pata hay na he usay apnay hamqadam chalnay k liye , us k pair'on may zanjeer dal sakta hay.... Mohabat main paa laina he tou sub kuch nahi hota... Apnay hissay ka kam kiye jaye insan bas.... umeed rakhay he kyoon koi.... k ye tajarat tou hay he nahi.... Ik anhoni si baat is main ye hay k Jab milain gay he nahi tou Juda kia hongay....Jab k hijr ka amal shuru he jab hota hay jab visal ki baat ho.... Kabhi juda na honay wali bat visal k zumray main ati hay... Kabhi na milain gay wali bat Hijr k zumray main ati hay.... Insan musalsal aziat may he rehta hay.... k us k dil per hijr ya visal may say konsa pather pernay wala hay.... Kehte hain k ishq samander gehra gehra phir bhi log isay parr kernay k liye koshan nazar atay hain.... duniya tiyag detay hain... devaron main chunwa diye

Zindagi Chahti kia hay.....???

Chahti kia hay? Jan lon main bhi.... ZINDAGI ko sawal kerne do... Is duniya main bohat say log bura naseeb aur muqadar lay ker paida hotay hain...Dukh, Kharabi aur nakami ka aur unka choli daman ka saath hota hay... Meri qismat bhi aisi he thi...Zakhm he zakhm , Kantay he kantay.... Main phool ko bhi hath lagati hon tou wo bhi angaray sabit hotay hain.... Asman say barasti barishain sub dekhtay hain aur Ankhon se barasti barish kon dekhta hay....??? Barish'ain cha't pe khuli jag'hon pe hoti hain magar.... Ghum wo sawan hay jo in kamron k andar barsay.... Zindagi k dai'yar main qismat nay qadmon main gardab aur masaib k anbar bakhshay hain ...her gam pe aik nai mushkil , aik nai musibat , aik naya hangama muntazir hota hay....Kabhi kabhi youn lagta hay k jaisay ye masaib .....ye musibatain.... ye hangamay meray he HAM'RAKAB hon .... Ye pur-ashoob dor main koi nahi jo kisi k dil may jhank k dekhay.....Jab zindagi he wabal ban jaye tou insan sisak sisak k zindagi guzar

Qabristan...........

Dil pe cho'at hay ankhon main soaz hay Koi jiye kaisay ? Sansoon pe bojh hay? Kis ko sunain apni duain, Chehra morr k Palkain orrh k..... Main nay apnay dil k ander aik qabristan banaya howa hay..jis may latadad choti choti qabrain hain .... khawahishon ki, hasraton ki, shikwon shikayaton ki,, arzoo'on ki ...per ye sub batain un logon say juri hain jo meray apnay thay...kisi dunyawi sheh ka is may koi laina daina nahi... Main samajhti thi...hamari qurbaniyan, hamara pyar, hamari farmabardari, hamara khaloos hamaray apno ko jeetne k liye kafi hota hay.... per nahi ..........pta nahi ajeeb duniya hay ye ...yahan jo apna tan man dhun sub luta daitay hain apnay pyaron ki khushi k liye wo he masloob hotay hain umr bhar .....Aur wo log jo kuch nahi kerte sirf aik jumla mohabat ka bol ker ap per sabqat lay jatay hain...ye kaisa insaf hay logon ka.... Duniya ki is bheer main insan koi tou hoga.... Jo sun lo dil ki cheekh'ain, Kan koi tou hoga... Is materialistic dor may wohi survi

Hawa ki betiyan....

Hain sarbasta agr che raaz meray Sitaray hain magar ghamaz meray Hawa ki betiyan aik insan ki hasiyat se zindagi ki kisi bhi khushi ki utni he mustahiq hain jitna k koi mard...Zindagi k safar main kamyabiyon ki tamanai wo bhi utni he hoti hay ...jitna k koi mard..... Zindagi main is zalim duniya main hawa ki beti ka ye haq tasleem kia he nahi jata...aur mardon k is maushray main kahin kam aur kahin ziada hawa ki beti ko us k her haq say mahroom ker k mard nay apni zalimana soch ka ghulam bana lia hay....Aur us ghulami se inkar pe aurat ko moat tak ki saaza bhi suna di jati hay.... Mardon k is maushray main SUBHA ka bhool sham ko ajaye tou usay bhoola nahi kehtay....kai jaga perha ye sub...per muddat aur tadad nahi batai gai kahin bhi .... kyoon k wo is jangle k qanoon ka badshah bhi hay aur shair bhi.....usko farq nahi perta ... Sab uski nazar ka kamal hay... mitti ko sona samjhay tou SONA ban jati hay.... Sonay ko mitti janay tou Sona mitti ban jata hay... usko bewafai jaiz hay.... ba

Virani ka raasta....

Khud main apna dukha raha hon DIL Us main laikin Khushi usi ki hay Jab ap k kisi bhi amal se dosron ki ankhon k jugnu bujh jain aur in ankhon main khushyon ki ramak k bajaye viraniyon ka baseera ho jaye tou ye jaan lijiye k us ki viran aur be noor ankhon se ap k dil ki virani ka raasta shuru hota hay....

Ikhlaq ka ma'yar...

Her shaks bana laita hay Ikhlaq ka mayar Apnay liye kuch aur, Zamanay k liye aur Main un logon se bhi pyar kerti hon jo mujh se nafrat karain....is liye nahi k un main aisi batain hain k wo pyar k like hain....balkay is liye k main hamaisha say he koi kam copy nahi kerti ... Nafrat ka jawab mohabat say.... gussay ka jawab khamosh ho ker...aur jo zaleel kernay ki koshish karay usko Izzat day ker.... k is say barh ker main kuch ker bhi nahi sakti .... Insano k is gaul main mujhay shamil hona bhi nahi hay... jo dosron per ungliyan uthain ... jo kisi k kuch aeb pakar ker unki chand achaiyon ko bhi neglect ker dain... Nadaan log hain ... Koi kia jannay ALLAH nay jagah jagah kyoon kaha ye sub k .... kisi ko us k kiye gai baray gunnah say na pehchano k kia pata k uski kisi choti c dil say ki gai naiki ko ALLAH qabool ker k usay wo mukam day de jo tumhain hasil na ho sakay.... Allah Ho..........kerne se Allah ka qurb nahi milta....choti choti batain to adopt ker lain hum... baqi to manzil abhi

Jaan se pyare Log...

Duniya main baaz log aisay bhi hotay hain jo hamain jaan se berh ker pyare hotay hain...Jinko hum udas nahi dekh saktay...Unki bechaini hamain bechain ker daiti hay...Unki ankh ka tapka ansoo hamaray dil per girta hay...Dor honay k bawajood uski udasi ka ahsas hamaray dil ko cheer dalata hay... Uska udas chehra hamain udas ker jata hay... Ye pyar hamain us k zahiri wajood se nahi hota....uski rooh ki pakeezgi se hota hay... Dilon ki achai rooh ki achai ban ker jo khushoo daiti hay wo her khusboo say aala hoti hay...aur apki rooh ki ye achai apki zaat ka aik icon ban ker logon k dilon main ap k liye pyar ki fasal uga jati hay.... Afsoos is baat ka hota hay k hum ye baat bata nahi pate...Per jazboon ki sachai ko alfaz ki kia zaroorat ...Ye tou wo khushboo hay jo bin kahay urr ker hamari batain us pyare ko kan main chupkay say sub kuch bata ati hay... Pata nahi magar..... Koi jawab kyoon nahi lati....???

Alfaz nahi milte.................

Log kehte hain mujhay khobsurat mehsoosat ko qalamband karnay ka hunr ata hay... Magar aisa kyoon hay k jab main.... Bohat kuch kehna chahte hon...... Share kerna chahti hon...... Apni feelings ko mujhay batana kyoon nahi ata.... Lagta hay lafzon ka zakheera khatum hogaya.... Pata nahi aisa kyoon hay... I wish i can share .......

Mout bohat zaroori hay.....

Zinda rehnay ko sans laina zaroori hay Sans lainay ko khuli hawa zaroori hay Khuli fiza k liye haray bharay darukht zaroori hay Haryali k liye un darukhton ki aabyari zaroori hay Aabyari k sath sath in sub cheizon ki dekh bhal bohat zaroori hay Per in sub se zaroori aik aur cheiz hay Jo rooh ki dukhun ko kam kerti hay... Jo sub runj o ghum bhula daita hay.... Jo her fikr say azad ker daiti hay... Zindagi k tamam maslon ka hul.... Mout.... Mout bhi zaroori hay.... Mout... Bohat zaroori hay......

Zindagi k Paa'taal main Rooh ka safar.....

Meri zindagi ka safar jari hay...Mujhay na tou WALI banna hay ...Ne he sufi...Na he kisi wali ullah k maazar ka majawar....Apni rooh ko sanwarnay k is safar mae main nay latajad zakhm khai aur kai bar thak haar k hanpnay bhi lagi ...Kai bar thokar khai ... Giri bhi aur gir k phir uth khari bhi howi...Kabhi himmat haar gai tou kabhi fateh alam ki si soch rakhi....Kabhi roo k ....Kabhi hans k ...Kabhi tanhai main aur kabhi yadon ki mehfilain saja ker khud ko masroof rakha... Mujhay nahi maloom k zindagi k atishdan ki bhati main tap ker main kundan ban paey k nahi...Na he ye maloom hay mujhay k main kamyab hon k nakam hon...Magar...Mujhay khushi hay Rooh ko sanwarnay k is safar mae Main nay bohat kuch seekha...Main us daur say bohat agay nikal aye hon jahan logon se umeedain durd deti hain...Hum is durd se tarapte rehte hain...Zindagi se mayoos hote hain...Aur shikway shikayat kerte hain...Mera safar jaari hay...

Meri dua hay.........

Ajj meri dua hay k meray haq main jis jis nay jo badduain ki hain.......ALLAH unhain qabool farmaye.... Zindagi main kabhi bhi koi sukh ka sans naseeb na ho.... Moat aye to rooh nikalnay main utni he aziat ho jitni meray haq main baddua kernay walay chahtay hain.... Meri dua hay k ALLAH unki dil ki muradain pori karay ....wo jaisa chahte hain meray saath waisa he ho..... Apnay Habeeb k sadqay wo meri duain kabool farmaye AMEEN SUM AMEEN..... aur main kari say kari saaza paon.....aur aisa kuch ho meray saath k un subki rooh ko aik he bar qarar hasil ho jaye.........un k saray badlay aik he nishist main poray ho jain ameen.........is say ziada main kisi k liye kuch ker bhi nahi sakti..........thats it.........

Alfaz k nishtar .....

Ajj kuch anookha nahi howa........hamaisha aisa he hota aya hay....jab kabhi main depression main howi hon ird gird k logon ko pehlay say bata dainay k bawajood ....wo apnay hissay k alfaz k nishter meray seenay main zaroor utartay hain k kisi rozan say koi sakoon ki hawa meray wajood main dakhil na ho jaye........ Bohat bhari tha ajj ka din.... Bohat shukriya ahsas na kernay ka.... Bohat shukriya her bat k liye....... Alfaz ki gandagi uchalnay ka ......

Khuddaariyon ka Khoon....

Khuddaariyo.n ke Khuun ko arzaa.N na kar sake ham apane jauharo.n ko numaayaa.N na kar sake hokar Kharaab-e-may tere Gam to bhulaa diye lekin Gam-e-hayaat kaa daramaa.N na kar sake TuuTaa talism-e-ahad-e-mohabbat kuchh is tarah phir aarazuu kii shamaa furezaa.N na kar sake har shay qariib aake kashish apanii kho ga_ii vo bhii ilaaj-e-shauq-e-gurezaa.N na kar sake kis darjaa dil-shikan the mohabbat ke haadase ham zindagii me.n phir ko_ii aramaa.N na kar sake maayuusiiyo.n ne chhiin liye dil ke val-vale vo bhii nishaat-e-ruuh kaa saamaa.N na kar sake Bohat log milte hain duniya main jo dawa kerte hain humse mohabat ka ....ahtaram ka...izzat kerne ka...kabhi khooni rishte ka sahara lay ker...kabhi dosti ka sahara lay ker...Kabhi kuch tou kabhi kuch...Karobar he bana k rukh dia hay jazbon ka .... sachai ka...wafa ka...khoon k nam per dekhaway k pyar ka....Jab k sub fareeb hay... Mujhse ziada ye bat koi nahi jan sakta k apna apna matlab anay per log jhuk bhi jate hain...galti bhi tasleem ke

Akhri keel........

Ajj palkon ki barh per kitni he dafa ansoon ka sailab umund anay ko tayar betha tha ...per kis terha roka isko main nay...hansi k parday main dil k durd ko daba ker kis terha chupaya main nay...mujhay maloom hay...sirf mujhay maloom hay...Per pora din jo guzra so guzra ......raat kat'ti nahi...aik aik lamha ... aik aik yaad dil ko cheer dainay ko tayar khari hay... kab tak rok paon ge....khud ko totnay say....bikharnay say... Magar yaqeen rakho...tum log...tumhari is khushi k moqay per dil say duaon hain meri.....koi gillah nahi...ik khalish si hay... mera qasoor ??? kia tha mera qasoor...? Aisa kia ker dia main nay...? kabhi jawab ban pai tou zaroor batana... Wahwailay machana nahi ata mujhay...durd mushtahir kerna nahi ata mujhay...gillah kerna nahi ata mujhay... Haan magar .........itna yaqeen hay mujhay k sirf aur sirf meri ik chup wo kam ker sakti hay jo tum sub k shikway gillay bol bol ker nahi ker saktay... Meri is chup main mera durd chupa hay...jo ik na aik din tum sub k m

Band Kitab........

Main ik phool hon, wo mujhko rukh k bhool gaya Tamam Umr meri , Ik Kitab main guzri... Baaz log jinhain apni khamiyon aur kamzori ka achi terha say pata hota hay... magar wo in khamiyon aur kamzoriyon ko dor kernay k bajaye.... apni khaa'ft mitanay k liye dosron ki achai ko burai k pairai main uchal ker us achay shaks ki achai ko takta e mashq bana laitay hain....Ye bat bhool ker k unhain unki zaat ki gehri andhairi gaah'ur say nikalnay wala bhi wohi shaks hay jis ko wo nishana bananay chalay hain.... Duniya main aik cheiz jis ne bara ranjeeda kia dil ko ...wo log jo kuch nahi kertay wo sirf aur sirf dosron per tanqeed kerte hain.... Asal main wo dosron ko bol bol ker apnay ander ka khauf bahar nikaltay hian aur ye asal main un k dil ka chore hota hay jo bilawajah he shor machai chala jata hay.... Pata nahi lakh chaha magar kuch tabdilian jo apnay main lana chahen duniya k lihaz say.....wo lakh koshish k bawajood aa he nahi pai fitrat main....Pata nahi kyoon mujhse bari bari b

Andhaira berhta he Aur Mera Dil Ghat'ta hay...

Sardiyon ki shamon main jaisay jaisay sham se he andhaira berhta jata hay ....mera dil ghat'ta jata hay.... mujhay andhairay aur khamoshiyon se shuru se he wehshat si hoti hay.... dum ghut'ta mehsoos hota hay...per ye kaisa insaf hay ae meray Malik k jo insan jis bat say derta hay ...bachta hay tou wohi sub uska muqadar bana daita hay.... aur phir uski bebasi ka tamasha ban k reh jata hay.... Apni zaat main sabr o kana'at ki gantain (knots) laga tou li main nay per jab unko kholna chaha tou wo itni mazboot ho chuki thin k unko khola nahi ja sakta tha..... Apnay ap say lartay ... batain kerte ab thakan si honay lagi hay... k khud apnay wajood say aik bair sa mehsoos honay laga hay...Na janay aisa kyoon ho raha hay..... Apnay ap say bhi khauf anay laga hay.... Main kitna badal gai hon..... k baz dafa khud ko bhi pehchan nahi pati.....Rooh itni pyasi ho gai hay k sairab ho k he nahi deti.... Aik Aik baat khoon rulati hay... Is say acha tou ye tha Ae meray RAB k tera nam lay la

Kash...

Mujhay jo mangna ho RAB say mang laiti hon....day day to bhi sahi na day tou bhi sahi...per kash nahi lagaya kabhi...Kash tou jab lagae koi jab uski zaat se mayoosi ho jaye...per main us say mayoos nahi.....logon say hon...isliye KASH koi aik tou aisa ho jo meray marnay per dil say roye...Mujhay apni moat per hajoom nahi chaheye sirf aik purkhuloos insan jo dil say roye meri moat per........bas shayad isi terha meri rooh ko qarar aye..... meray kash ki had is bat say shuru ho ker isi per khatum hay...KIA bohat ziada manga main nay kisi say...jo wo day na paey.......

Saaza milna muqadar hay....

Apni hasti k khaul say bahar nikalnay ki kuch saza to milti hay... Durd mushtahir ker dia jaye tou dawa tou nahi milti....aik durd e lazawal zaroor milta hay....ati jati sans k saath ye ahsas dilata hay k tujhse apnay durd ki hifazat na ho sakti...ye teri nakami ka jeeta jagta saboot hay...Magar nakami tou unhain dukh daiti hay jo kamyabiyon ki umeedain laga k beth jain...jo khud ko zindagi k agay surrender ker chukay ho un k liye kamyabi ya nakami koi maa'nay nahi rakhti... Dil tou hay dil behal he jata hay...kabhi udasi ka sahara lay ker ....kabhi masnoe hansi ki aar lay ker....waqt kab kahan aur kis k liye rukhta hay...ye to bas chalay he jata hay...Akhir main jab zindagi k kashkool say yaadon k sikkay ginnay betho to pata chalta hay...sub k sub he khotay hain...Aur khotay sikkon ki qadr o qeemat hoti he kahan hay...Jagmagatay sikkon ki chaka chond k agay in khotay sikkon ki kia auqat... Meri zaat bhi usi khotay sikkay ki manind hay... jisko jagmaganay ki aarzo na sahi...Apnay h

Eid phir aye hay......

Aik taraf..... Dil k madham perhtay zakhm phir haray honay lagay.... Zindagi k khunn'der may phir durd pathjhar k mausam ki terha aan khara howa hay Armanon k sookhay patton nay dil ki nagri ko phir tehes nehs ker dala hay..... Aur dosri taraf.... Her chehray per khushi k phool khilay hain..... Bahar k say mausam ki terha pata pata bota bota jagmaga utha hay.... Behisab khushon k chiragh jal uthay hain.... Aik he duniya main ye kaisa tazaad hay..... Sochtay sochtay her soch he munjamind hay .... Zehan main sain sain kerti awazon k siwa kuch aur ata he nahi.... Haa'waas bakhta howay jatay hain..... Suna hay..... Ajjj.......... EID PHIR AYE HAY........ EID PHIR AYE HAY........

Main pagli he thi na.....?

Mujhay talash thi duniya main kisi aik aisay insan ki jo meri tarah ho...jo mujhay samjhay...bin kahay dil ki bat samajh jaye....main kab udas hon...kab khush hon...usko sub kuch pata ho....per afsoos rishta koi bhi ho...her aik nay apnay tore per meri saadgi meray khaloos ka sirf istimal he kia...aur kuch nahi...Sub kuch samajhtay howay bhi na samajh ban ker sub sehnay k bawajood bhi meray hath kuch nahi aya.........Her shaks apnay mafad ki had tak sath chala ... aur bas... Itni zehrili fiza hay k dam ghut'ta hay...Sansain azar deti hain.... Neendon se tou na janay kab say bair banda hay in palkon nay....... anay he nahi deti ............kuch pal ko tou in jan laiwa khayalon say jaan chotay.....Koi lamha tou ho jo is karb say nijat hasil ho..... Kab tak hansi k jhootay nikab pehan ker khud ko fareeb daina hoga.......kab tak... Behiss logon ko apni hassas sochon per zehrilay teer barsatay bardash karna hoga.... Kahan mile ga aaman .......... Kab miley ga...... Meri soch k..... waqt

Panchwan mausam.....Udasi ka mausam

Sochon ka aik sailab meray zehan main mojazan hay.....bahay chala jata hay .... rukta he nahi...Khud apnay ap say sawal kerna aur khud he jawab daina......kabhi khud he rona aur rotay rotay hans perna....kabhi sochna he sochna aur kabhi bolte he jana..........chup na hona.......... Ik bekaran samandar hay ankhon k ander ...jo behne ko beqarar hay.........umdaa chala ata hay..... k kuch tou dil ka gubar niklay.............kuch tou dil k ufaq per chaaey udasi ki dabeez tehh ko hata day aur ik chamakti subha ka payam lay ker aye............ Ab kisi mausam ki pehchan he baqi nahi rahi... Kia khizan .....? Kia bahaar......? Kia pattjhar....? Kia sawan........? Dil main tou bas ik he mausam aker mehman ho gaya hay.........Panchwan mausam........Udasi ka mausam.............

Meri tehreerain........

Meri tehreerain tum logon ko dukh daiti hain............... is sadi ka sub say bara mazak............. Aur meray ansoo......... Mera durd............. Uska kia.......... In alfazon ka sahara na hota mujhay tou shayad ajj main zinda bhi na hoti........ Zindagi k atishdan main sokhi lakri ki terha jal ker bhasam ho gai hoti main........ Meray hath khali hain............ Per in alfaz ki jageer nay mera bara maan rakha hay.............shehzadiyon ki terha rehti hon main yahan...............apni saltanat main................... Yahan sirf aur sirf mera hukam chalta hay..... Yahan meray dil ki adalat nay her khas o aam ko aam maufi day rakhi hay.......... Na koi gillah hay..... Na koi umeed hay.... K umeedain jeenay ki umang paida kerti hain..... Aur main jeena nahi chahti........ Mera khoon tou us din he hogaya jis din tum sub k khoon ka rang safaid howa........ Ab dil dukhta bhi hay tou ..... chand lamhon k liye......... Ye sabr atay atay aya hay...... Main isay khona nahi chhati........ p

Koi Umeed mat rakhna...........

Mera durd perh nahi saktay........... Mera ghum bant nahi saktay........ Aur dawa hay khooni rishton ka....... Baray ajab log hain ye ......... jab rotay hain tou koi pochta he nahi k rotay kyoon ho... durd sehtay kyoon ho..... tanha rehtay kyoon ho......Hum hain na tumharay............Ahhh.....per us waqt kisi ko ahsas nahi hota..... kon kitna tanha hay ........ kis takleef main hay...... na he duniya ki perwa Aur jab kisi khushi k milnay ki arzo ker lo tou duniya ki perwa ho jati hay saron ko........logon say darate hain......... Zindagi tou aik bar he mili hay..........subko.........main kyoon ganwa don apnay hisay ki khushon ko... per shayad apnay armano ka khoon pila pila k main nay he apnay haq main bura kia.... per us waqt asli chehray dekhay ki kab thay.......... wo naqab utray he kab thay......... Ajj sawal uthanay walon.... aik meray sawal ka jawab bhi do......... us waqt kahan thay tum sub......jab mujhe zaroorat thi.......... Ab kisi qurbani k ghat nahi charhna mujhay... Mu

Kia khoya hay...Kia paya hay....

Zindagi k laq o daq sehra may.... Jism o jan k veeran khander main Dil ki banjar zameen Paon may chaahlay Abla pai ka safar Rooh per lagay beshumar zakhm.... Pathrai howi ankhon may tehray howay munjamind khawab... Jazbat ki sard barf ki si jami sil Khawab raiza raiza Tamana khoon khoon... Saath chalnay ki aarzoo.. Aur hay Benishan manzil phir bhi sochi tou main Hath meray kia aya hay..... Tera saath nahi paya... Aur chain bhi gawaya hay.... Pyar ki raah main Itna kuch tou paya hay.. Yehi sub mera SARMAYA hay... Kis se ja ker pochon main.....................??? Is taweel musafat main kia khoya hay....kia paya hay....???