Skip to main content

Saaza milna muqadar hay....

Apni hasti k khaul say bahar nikalnay ki kuch saza to milti hay...
Durd mushtahir ker dia jaye tou dawa tou nahi milti....aik durd e lazawal zaroor milta hay....ati jati sans k saath ye ahsas dilata hay k tujhse apnay durd ki hifazat na ho sakti...ye teri nakami ka jeeta jagta saboot hay...Magar nakami tou unhain dukh daiti hay jo kamyabiyon ki umeedain laga k beth jain...jo khud ko zindagi k agay surrender ker chukay ho un k liye kamyabi ya nakami koi maa'nay nahi rakhti...

Dil tou hay dil behal he jata hay...kabhi udasi ka sahara lay ker ....kabhi masnoe hansi ki aar lay ker....waqt kab kahan aur kis k liye rukhta hay...ye to bas chalay he jata hay...Akhir main jab zindagi k kashkool say yaadon k sikkay ginnay betho to pata chalta hay...sub k sub he khotay hain...Aur khotay sikkon ki qadr o qeemat hoti he kahan hay...Jagmagatay sikkon ki chaka chond k agay in khotay sikkon ki kia auqat...

Meri zaat bhi usi khotay sikkay ki manind hay... jisko jagmaganay ki aarzo na sahi...Apnay honay ka ahsas he kafi hay....Apni qadr o qeemat na kerwanay walay log pairon main rond diye jate hain k ye ALLAH ki taraf se un k liye saaza hay...K apni hasti ko faramosh kerna bhi usko pasand nahi... Main US ki gunahgar hon...Karri saaza ki mustahik....Umr qaid bhi kam hay...Phansi bohat choti saaza hay..

shayad matti may mil ker in saazaon say bach paon main....

Popular posts from this blog

Bolo na....

Akser aisa kyoon hota hy k jin khushyon ki hum tamana krte hain wo milne ka time jab aata hy to tishnigi berhne ki bajaye...hum khud ko mehsoosat se aari mehsos krte hain...Kis qadr pather ho jata hy insan pathron k sheher me reh k...Dekha gaya hy k jo log ajj behiss ya pather hojate hain wo kabhi bht he ziada hassass howa krty thay...apnay se ziada unko dosron ki perwa howa krti thi... Ye duniya aisa kr deti hy aisa kabhi socha bhi na tha...yahan rishte se ziyada paise se pyar kia jata hy....khaloos se ziada , matlab se mila jata hy...sach se ziada, jhoot per aetibaar kia jata hy... Tou kia bura krti thi main k maine in sb se dur rakha tha khud ko...kia bura kia tha k tmne mujhy mere tanhai k taj mehal se la kr is duniya k zandaan me la k khara ker dia...yehi dosti thi, yehi wafa thi, yehi pyar tha tmhara??? Bolo na....??? Fehmida Chaudhary 16 June 2014

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may ...

Shirk...

 Main jo ye kehti hun keh mjhy mairay marnay k baad be-qutba qabr main dafnaya jaye. Koi nishani ,koi mansaab, koi hawala, tehreer na kiya jaye. Na he koi istaa'ara ho aur na he koi ishara jo yahan mere dafan hone ki kisi torr b nishandahi kry. Nahi...iski wajah kisi se narazi ya nafrat ka sabab bilkul bhi nhi. Suna hy marney k baad aap sub k pyarry ho jatay ho. Wese kitni ajeeb baat hy na ye baat hmay kitni dair se pta chalti hy k Allah ko pyare ho ker he hum sub k pyare bnty hain. Mujhy ye dar tha k " mri duaon mai asr hy" ki khaber agr kuch laghir maloomat aur be-aqeeday k logon ko hoi tou mere baad meri qabr ko mazar na bna dia jaye. Jahan log dhaggay bandhain, nangay pair chal ker aain. Cherhaway cherhain , dhaamal dalain aur manatain mangain. Maine us Rb se hamaisha manga. Usnemjhy us waqt suna jab main akailay thi. Usne mjhy us wat sahara diya jab main besahara thi. Usne mjhy tawakul aur emanh se nawaza tou kyoon krr mai b uski rehmaton ki munkir bn jaon. Main chah...