Skip to main content

Zindagi Chahti kia hay.....???

Chahti kia hay? Jan lon main bhi....
ZINDAGI ko sawal kerne do...

Is duniya main bohat say log bura naseeb aur muqadar lay ker paida hotay hain...Dukh, Kharabi aur nakami ka aur unka choli daman ka saath hota hay... Meri qismat bhi aisi he thi...Zakhm he zakhm , Kantay he kantay....
Main phool ko bhi hath lagati hon tou wo bhi angaray sabit hotay hain....

Asman say barasti barishain sub dekhtay hain aur Ankhon se barasti barish kon dekhta hay....???

Barish'ain cha't pe khuli jag'hon pe hoti hain magar....
Ghum wo sawan hay jo in kamron k andar barsay....

Zindagi k dai'yar main qismat nay qadmon main gardab aur masaib k anbar bakhshay hain ...her gam pe aik nai mushkil , aik nai musibat , aik naya hangama muntazir hota hay....Kabhi kabhi youn lagta hay k jaisay ye masaib .....ye musibatain.... ye hangamay meray he HAM'RAKAB hon ....

Ye pur-ashoob dor main koi nahi jo kisi k dil may jhank k dekhay.....Jab zindagi he wabal ban jaye tou insan sisak sisak k zindagi guzarnay per majboor ho jata hay... Zindagi ka bojh bhi utna he dhoya ja sakta hay jitna k dhonay walay ki takat hoti hay...aur ab shayad dum he nahi itna....sans laina bhi bojhal mehsoos hota hay....

Kehte hain insan khaak ka putla hay...uski fitrat khaak he hay tou shayad khaak may mil ker he isko sakoon milay.....k insan ki haqeeqat khaak k siwa kuch hay bhi nahi...........



Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.