Skip to main content

Ikhlaq ka ma'yar...

Her shaks bana laita hay Ikhlaq ka mayar
Apnay liye kuch aur, Zamanay k liye aur


Main un logon se bhi pyar kerti hon jo mujh se nafrat karain....is liye nahi k un main aisi batain hain k wo pyar k like hain....balkay is liye k main hamaisha say he koi kam copy nahi kerti ... Nafrat ka jawab mohabat say.... gussay ka jawab khamosh ho ker...aur jo zaleel kernay ki koshish karay usko Izzat day ker.... k is say barh ker main kuch ker bhi nahi sakti ....

Insano k is gaul main mujhay shamil hona bhi nahi hay... jo dosron per ungliyan uthain ... jo kisi k kuch aeb pakar ker unki chand achaiyon ko bhi neglect ker dain... Nadaan log hain ... Koi kia jannay ALLAH nay jagah jagah kyoon kaha ye sub k .... kisi ko us k kiye gai baray gunnah say na pehchano k kia pata k uski kisi choti c dil say ki gai naiki ko ALLAH qabool ker k usay wo mukam day de jo tumhain hasil na ho sakay....

Allah Ho..........kerne se Allah ka qurb nahi milta....choti choti batain to adopt ker lain hum... baqi to manzil abhi bohat dor hay ....kari musafat hay...... kharr'dar raasta hay......

Jis terha apki zaat main chupay dukh durd koi bahar wala nahi dekh pata ...samajh pata...
Ap k dil ki achai...naikiyan....achai....burai...koi kaisay jaan sakta hay....
Kitab k sarwak ko dekh ker kitab main kia likha hay ....kaisay maloom ho sakta hay bhala......

Na main farishta hon....na bannay ki arzoo he hay... Main tou abhi insan he nahi ban paye...wo insan jo ASHRAFUL makhlooqat kehlata hay.... bohat kamiyan hain...bohat khamiyan hain...manzil ki dhool bhi nahi pa sakti is zindagi main tou .....Na janay kon log thay jo us manzil ko....us miraj ko paa gaye....Yaqeenan khush qismat log he thay....Yahan tou humko khud apna suragh nahi milta.......

Popular posts from this blog

Bolo na....

Akser aisa kyoon hota hy k jin khushyon ki hum tamana krte hain wo milne ka time jab aata hy to tishnigi berhne ki bajaye...hum khud ko mehsoosat se aari mehsos krte hain...Kis qadr pather ho jata hy insan pathron k sheher me reh k...Dekha gaya hy k jo log ajj behiss ya pather hojate hain wo kabhi bht he ziada hassass howa krty thay...apnay se ziada unko dosron ki perwa howa krti thi... Ye duniya aisa kr deti hy aisa kabhi socha bhi na tha...yahan rishte se ziyada paise se pyar kia jata hy....khaloos se ziada , matlab se mila jata hy...sach se ziada, jhoot per aetibaar kia jata hy... Tou kia bura krti thi main k maine in sb se dur rakha tha khud ko...kia bura kia tha k tmne mujhy mere tanhai k taj mehal se la kr is duniya k zandaan me la k khara ker dia...yehi dosti thi, yehi wafa thi, yehi pyar tha tmhara??? Bolo na....??? Fehmida Chaudhary 16 June 2014

Aurat aur Sabr.....

Aurat jis may Rab nay bardash aur sabr ka madah her aik say ziada rakha hay..Bazahir nazuk nazar anay wali ye sinf e nazuk derhaqiqat bohat bahadur hoti hay...Karay say karay imtihan main apnay apko mazboot bana ker her had se guzar jati hay...per kisi ko nahi maloom hota k ye bazahir bahadur nazar anay wali....ander say kitni darpook aur kamzoor hay... Hamaray mazhab Islam nay aurat ko jo rutba dia hay wo kisi mazhab main nahi .... per ye society k thaikaidar Mazhab ki aar main aurat ka ahtisaal kertay nahi thaktay... Jab aurat sabr aur bardast ki tamam manzilain teh ker lay aur phir usko chup lag jaye tou uska matalab hay k wo thak zaroor gai hay magar apnay RAB per us nay maumla chore dia hay...aur wo RAB tou munsif hay aur insaf kernay wala hay...Kisi bhi aurat ki khamoshi k peechay kia kurb palta hay ye koi aurat he jan sakti hay....Ye khamoshi aik aisa jazeera hota hay jahan roz atish fishan phattay hain....laway ubaltay hain magar samander jaisa zarf rakhnay wali wo sinf e n...

Shirk...

 Main jo ye kehti hun keh mjhy mairay marnay k baad be-qutba qabr main dafnaya jaye. Koi nishani ,koi mansaab, koi hawala, tehreer na kiya jaye. Na he koi istaa'ara ho aur na he koi ishara jo yahan mere dafan hone ki kisi torr b nishandahi kry. Nahi...iski wajah kisi se narazi ya nafrat ka sabab bilkul bhi nhi. Suna hy marney k baad aap sub k pyarry ho jatay ho. Wese kitni ajeeb baat hy na ye baat hmay kitni dair se pta chalti hy k Allah ko pyare ho ker he hum sub k pyare bnty hain. Mujhy ye dar tha k " mri duaon mai asr hy" ki khaber agr kuch laghir maloomat aur be-aqeeday k logon ko hoi tou mere baad meri qabr ko mazar na bna dia jaye. Jahan log dhaggay bandhain, nangay pair chal ker aain. Cherhaway cherhain , dhaamal dalain aur manatain mangain. Maine us Rb se hamaisha manga. Usnemjhy us waqt suna jab main akailay thi. Usne mjhy us wat sahara diya jab main besahara thi. Usne mjhy tawakul aur emanh se nawaza tou kyoon krr mai b uski rehmaton ki munkir bn jaon. Main chah...